Mohabbat Zinda Rehti Hai

A Lovely Poetry of Khalil Ullah Farooqi and Beautiful Design created by Creative Sign. His Real Name is Waseem Abbas. Creative Sign is not just a great urdu artwork designer, he is also a nice poet.

Amazing Watermelon Art

Such an Amazing and So Beautiful Watermelon Artwork by an Unknown Artist.

Lakeeren Jhoot Bolti Hain

Very Nice Poetry and Beautifully Designed by Queen Victoria. Her real Name is Shabnam Iqbal. She is one of the Most Renowned Urdu Poetry Designers.

All Because Of You

I awake each day with a smile, And greet it with a laugh, The world is a treasure to me, Because of you...

Mohabbat Sath Deti Hai

Very Beautiful Poetry and Such a Lovely Design Created by Guddo. His Real Name is Munir and His Creations are Always Most Likeable. He use Beautiful Natural Objects in his Most Creations.

Site Updated Daily.. Keep Visting :)

Wafa Kahan Ki Aur Bewafai Kaisi Hai ( Poetry of Nusrat Naseem n Designed by Passion Creations )

Wafa Kahan Ki Aur Bewafai Kaisi Hai
Milan Hua Hi Nahi Phir Judai Kaisi Hai
Rahi Hon Sath Usi K Nahi Tha Jo Mera
K Dil Ne Rasm-e-Mohabbat Nibhai Kaisi Hai
Nusrat Naseem

Kash! Khushiyon Ki Tarha Dard Bhi Hijrat Karte ( Designed By Pasha Shah )

Qaafley Raakh Huey Dasht-e-Janoon Main Kitne
Kash! Khushiyon Ki Tarha Dard Bhi Hijrat Karte

Naie Subhain, Naie Shaamen, Naye Lamhe, Naye Saathi ( Poetry of Amjad Bukhari n Designed by Night Jasmine )

Saal-e-Nau
Naie Subhain, Naie Shaamen, Naye Lamhe, Naye Saathi
Magar Ik Main.....
K Jo Waise Ka Waisa Hon!
Furat-e-Waqt Pe Bikhre
Guzishta Saal Ki Saari
Adhoori Khawahishon K
Ann-ginat Tukron Ko Chunta Hon!
Unhain Ik Aik Kar K Jorta Hon
Shakal Deta Hon.....
Main Phir Ik Khawab Bunta Hon...!!
Amjad Bukhari

Tujhe Chahne Ka Jurm Hi To Kiya Tha ( Designed by Ali Abbasi )

Tujhe Chahne Ka Jurm Hi To Kiya Tha
Tu Ne Pal Pal Marna Meri Saza Kar Di

Kia Kahon Tum Se Main K Kia Hai Ishq ( Poetry of Meer Taqi Meer n Designed by Deepless Eyes )

Kia Kahon Tum Se Main K Kia Hai Ishq
Jaan Ka Rog Hai Balaa Hai Ishq
Ishq Hi Ishq Hai Jahan Dekho
Saare Aalam Main Bhar Raha Hai Ishq
Meer Taqi Meer

Tanziya Lehja Munafqat Dil Jhoote Wadey Aur Lafzon K Jaal ( Designed by Khan Jan )

Tanziya Lehja Munafqat Dil Jhoote Wadey Aur Lafzon K Jaal
Ibn-e-Aadam! Kia Tu Waqihahi Ashraf-ul-Makhluqat Hai...?

Hum Apni Jaan Tak Us Pe Luta Den Gey ( Designed by Pasha Shah )

Hum Apni Jaan Tak Us Pe Luta Den Gey
Koi Humari Tarha Hum Se Mohabbat To Kare

Chashm-e-Baddoor Hain Jadu Aankhen ( Poetry of Dr. Ali Ahmed Jaleeli n Designed by Shakeel Khan )

Chashm-e-Baddoor Hain Jadu Aankhen
Aaine Se Na Laraa Tu Aankhen
Wo Mere Dil Main Chupe Bethey Hain
Dhondti Hain Jinhen Her Soo Aankhen
Dr. Ali Ahmed Jaleeli

Hum Ye To Nahi Kehte Koi Tere Liye Dua Na Mange ( Designed by Khurram Warsi )

Hum Ye To Nahi Kehte Koi Tere Liye Dua Na Mange
Hum To Bas Ye Kehte Hain Koi Tujhe Dua Main Na Mange

Bheegi January Phir Lout Aai Hai ( Designed by Guddo )

Wohi Galiyan Wohi Kooche Wohi Sardi Ka Mousam Hai
Isi Andaz Se Apna Nizam-e-Zeest Barham Hai
Ye Husn-e-Itefaq Aisa K Nikhri Chandni Bhi Hai
Wohi Her Simt Veerani, Udasi Tishnagi Si Hai
Wohi Hai Bheer Sochon Ki Wohi Tanhaiyan Phir Se
Musafir Ajnabi Aur Dasht Ki Pehnaiyan Phir Se
Mujhe Sab Yaad Hai Kuch Saal Pehle Ka Qissa Hai
Wohi Lamha To Veerane Ka Aan Abaad Hissa Hai
Meri Aankhon Main Wo Ik Lamha Mojood Ab Bhi Hai
Wo Zinda Raat Ki Tanhai Main Sargoshiyan Ki Thien
Kisi Ki Narm Guftari Ne Dil Ko Loriyan Di Thien
Kisi Ne Meri Tanhai Ka Sara Karb Banta Tha
Kisi Ne Raat Ki Chunri Main Roshan Chand Taanka Tha
Chamakte Jugnuon Ka Sell Ik Bakhsha Tha Raton Ko
Dharkta Sa Naya Unwan Diya Tha Mere Khawabon Ko
Mere Shairon Main Ilhaam Ki Soorat Wo Utra Tha
Maani Ban K Jo Lafzon Main Pehli Baar Dharka Tha
Wo Jis K Hone Se Zindagi Naghma Sarai Hai
Usey Kehna! Bheegi January Phir Lout Aai Hai

Meri Zindagi Hai Tu ( Designed by Pasha Shah )

Meri Saari Umer Main
Aik Hi Kami Hai Tu
Meri Zindagi Hai Tu

Hum Tum Se Chasham Rakhte They Dildariyan Bohat ( Poetry of Meer Taqi Meer n Designed by Atif Saad )

Hum Tum Se Chasham Rakhte They Dildariyan Bohat
So Altfaat Km Hai Dil Aazaariyan Bohat
Dekhen To Kia Dikhaye Ye Afrat-e-Ishtiaq
Lagti Hain Teri Aankhen Humen Pyariyan Bohat
Meer Taqi Meer