Click on pic for full view
Tehwar-e-Eid
Na Main Ne Chand Ko Dekha
Aur Na Koi Tehniyat Ka Phool Khirki Se Uthaya
Mera Malboos Ab Bhi Malgja Hai
Hina Se Hath Khali Aur Choori Se Khali
Na Mere Paas They Tum Aur
Na Mere Shehar Se Guzre
Main Kia Afshan Lagati
Maang Main Sindoor Bharti
Rang Aur Khushbu Pehanti
Chand Ki Janib Nazar Karti
K Meri Lazzat-e-Deedar Tum Ho
Mera Tehwar To Tum Ho
Parveen Shakir
Click on pic for full view
Pro Diye Mere Aansu Hawa Ne Shakhon Main
Bharam Bahar Ka Baqi Rahe Nigahon Main
Saba To Kia K Mujhe Dhoop Tak Jaga Na Saki
Kahan Ki Nend Utar Aai Hai In Aankhon Main
Kuch Itni Taiz Hai Surkhi K Dil Dharakta Hai
Kuch Aur Rang Pas-e-Rang Hai Gulabon Main
Spurdgi Ka Nasha Tootne Nahi Paata
Anaa Samai Hui Hai Wafa Ki Bahon Main
Badan Pe Girti Chali Ja Rahi Hai Khawab Si Barf
Khanak Spedi Ghuli Ja Rahi Hai Sanson Main
Parveen Shakir
Raat Abi Tanhai Ki Pehli Dehleez Pe Hai
Aur Meri Janib Apne Hath Barhati Hai
Soch Rahi Hon In Ko Thamon
Zeena Zeena Sannaton K Tehkhanon Main Utron
Ya Apne Kamre Main Thehron
Chand Meri Khirki Per Dastak Deta Hai
Parveen Shakir
Kabi Thak K So Gaye Hum Kabi Raat Bhar Na Soye
Kabi Hans K Gham Chupaye Kabi Monh Chupa K Roye
Meri Dastan-e-Hasrat Wo Suna Suna K Roye
Mujhe Aazmane Wale Mujhe Aazma K Roye
Shab-e-Gham Ki Aap Beeti Jo Sunai Anjuman Main
Koi Sun K Muskuraye Koi Muskura K Roye
Parveen Shakir