Mohabbat Zinda Rehti Hai

A Lovely Poetry of Khalil Ullah Farooqi and Beautiful Design created by Creative Sign. His Real Name is Waseem Abbas. Creative Sign is not just a great urdu artwork designer, he is also a nice poet.

Amazing Watermelon Art

Such an Amazing and So Beautiful Watermelon Artwork by an Unknown Artist.

Lakeeren Jhoot Bolti Hain

Very Nice Poetry and Beautifully Designed by Queen Victoria. Her real Name is Shabnam Iqbal. She is one of the Most Renowned Urdu Poetry Designers.

All Because Of You

I awake each day with a smile, And greet it with a laugh, The world is a treasure to me, Because of you...

Mohabbat Sath Deti Hai

Very Beautiful Poetry and Such a Lovely Design Created by Guddo. His Real Name is Munir and His Creations are Always Most Likeable. He use Beautiful Natural Objects in his Most Creations.

Site Updated Daily.. Keep Visting :)

Mujhe Ishq K Par Laga Kar Urra ( Designed by Bisma's Arts )

Click on pic for full view
Mujhe Ishq K Par Laga Kar Urra
Meri Khaak Jugnu Bana Kar Urra

Yaqeen Karo Na Karo Tum Magar Gaye Hain Hum ( Poetry by Alam Khursheed n Designed by Anamika )

Click on pic for full view
Yaqeen Karo Na Karo Tum Magar Gaye Hain Hum
Jidhar Koi Nahi Jata Udhar Gaye Hain Hum
Mian! Ye Rah Tumhare Liye Naie Ho Gi
Zamana Guzra Udhar Se Guzar Gaye Hain Hum
Alam Khursheed

My Beautiful, Darling Wife


ღღღ A gentle word like a spark of light,
Illuminates my soul
And as each sound goes deeper,
It's YOU that makes me whole

There is no corner, no dark place,
YOUR LOVE cannot fill
And if the world starts causing waves,
It's your devotion that makes them still

And yes you always speak to me,
In sweet honesty and truth
Your caring heart keeps out the rain,
YOUR LOVE, the ultimate roof

So thank you my Love for being there,
For supporting me, my life
I'll do the same for you, you know,
My Beautiful, Darling Wife. ღღღ

Raat Ko Aksar Aisa Hota Hai ( Poetry by Gulzar n Designed by Bisma's Arts )

Click on pic for full view
Raat Ko Aksar Aisa Hota Hai...!! Parwane Aa Kar
 Table Lamp K Gird Agathey Ho Jate Hain
Sunte Hain...!! Sir Dhante Hain
Sun K Sab Ashaar Ghazal K
Jab Bhi Main Deewan-e-Ghalib
Khol K Parhne Bethta Hon
Subha Ko Phir Deewan K Roshan Safhon Se
Parwano Ki Raakh Uthani Parti Hai
Samporn Singh Gulzar

Zindagi Khushguman Ho Jaye ( Poetry by Naz Butt n Designed by Queen Victoria )

Click on pic for full view
Zindagi Khushguman Ho Jaye
Waqt Gar Meharban Ho Jaye
Tu Agar Hath Tham Le Mera
Ye Zameen Aasman Ho Jaye
Naz Butt

Hum K Shaheen Hain Zad Per Nahi Aane Wale ( Poetry by Dr. Ali Ahmed Jaleeli n Designed by Shakeel Khan )

Click on pic for full view
Un Se Keh Do Jo Nishana Hain Lagane Wale
Hum K Shaheen Hain Zad Per Nahi Aane Wale
Dr. Ali Ahmed Jaleeli

Meharban Ho K Bula Lo Mujhe Chaho Jis Waqt ( Poetry by Asad Ullah Khan Ghalib n Designed by Atif Saad )

Click on pic for full view
Meharban Ho K Bula Lo Mujhe Chaho Jis Waqt
Main Gia Waqt Nahi Hon K Phir Aa Bhi Na Sakon
Zohf Main Ta'ana-e-Aghyar Ka Shiqwa Kia Hai
Baat Kuch Sar To Nahi Hai K Utha Bhi Na Sakon
Zehar Milta Hi Nahi Mujh Ko Sitamgar Warna
Kia Qasam Hai Tere Milne Ki K Kha Bhi Na Sakon
Mirza Asad Ullah Khan Ghalib

Din nikle to soch alag sham dhale wajdan alag ( Designed by Atif Saad )

Click on pic for full view
Din nikle to soch alag sham dhale wajdan alag,
Umeed alag aas alag sukoon alag tufan alag,
Tashbeeh don to kis se k tere husn ka her rang,
Neel alag zamurd alag yaqoot alag marjan alag,
Teri ulfat k takaze bhi ajab andaz k they,
Iqrar alag takrar alag tehzeem alag farman alag,
Gar sath nahi ab de sakte to bant do yakjan lamhe,
Masroor alag nidhal alag purkaif alag preshan alag,
Waqt-e-rukhsat alvida ka lafz jab kehne lage,
Aansu alag muskan alag betabi alag hijan alag,
Jab chor gaye tab dekha apni aankhon ka rang,
Hairan alag pasheman alag sunsan alag biyaban alag.

Mohabbaton main bhi hum izzaton k qaail they ( Poetry by Nusrat Naseem n Designed by Passion Creations )

Click on pic for full view
Mohabbaton main bhi hum izzaton k qaail they
Anaa k butt they so apni hi rah main haail they
Usey jo paya to phir kho diya usey hum ne
Ajeeb log they hum qismaton se ghaail they
Humen to gham k samundar main doobna hi tha
Safeene apne agarche qareeb-e-sahil they
Saleeqa mangne ka bhi na aa saka hum ko
Gaye jo daaman-e-khali se hum wo saail they

 Qadam they sholon pe honton pe muskurahat thi
Tumhare ishq main kuch aur bhi marahil they
Nusrat Naseem

Kon Kehta Hai Nafraton Main Dard Hai Mohsin ( Poetry by Mohsin Naqvi n Designed by Waheed's Art )

Click on pic for full view
Kon Kehta Hai Nafraton Main Dard Hai Mohsin
Kuch Mohabbaten Bhi Bari Aziyatnaak Hoti Hain
Mohsin Naqvi

Baraye Farokht ( Designed by Bisma's Arts )

Click on pic for full view
To Phir Wo Ishq Ye Naqd-o-Nazar Baraye Farokht
Sakhan Baraye Huner Hai Huner Baraye Farokht
Main Pehle Qoofa Gia Us K Bad Misar Gia
Idhar Baraye Shahaadat Udhar Baraye Farokht

Mout Ki Pehli Nishani Ye Nazar Aai Hai ( Poetry by Fakhra Gul n Designed by Passion Creations )

Click on pic for full view
Mout Ki Pehli Nishani Ye Nazar Aai Hai
Mere Balon Main Safedi Si Utar Aai Hai
Aahaten Sard Hawaon Ki Ye Batlati Hain
Phir Kisi Aankh Main Be Waja Nami Aai Hai
Fakhra Gul

Ab Aa Bhi Jao K Sham-o-Sehar Khule Huey Hain ( Poetry by Adnan Khan Asar n Designed by S M Arshad )

Click on pic for full view
Ab Aa Bhi Jao K Sham-o-Sehar Khule Huey Hain
Tumhare Wastey Aankhon K Dar Khule Huey Hain
Adnan Khan Asar