Mohabbat Zinda Rehti Hai
A Lovely Poetry of Khalil Ullah Farooqi and Beautiful Design created by Creative Sign. His Real Name is Waseem Abbas. Creative Sign is not just a great urdu artwork designer, he is also a nice poet.
Amazing Watermelon Art
Such an Amazing and So Beautiful Watermelon Artwork by an Unknown Artist.
Lakeeren Jhoot Bolti Hain
Very Nice Poetry and Beautifully Designed by Queen Victoria. Her real Name is Shabnam Iqbal. She is one of the Most Renowned Urdu Poetry Designers.
All Because Of You
I awake each day with a smile, And greet it with a laugh, The world is a treasure to me, Because of you...
Mohabbat Sath Deti Hai
Very Beautiful Poetry and Such a Lovely Design Created by Guddo. His Real Name is Munir and His Creations are Always Most Likeable. He use Beautiful Natural Objects in his Most Creations.
Showing posts with label Alam Khursheed. Show all posts
Showing posts with label Alam Khursheed. Show all posts
Yaqeen Karo Na Karo Tum Magar Gaye Hain Hum ( Poetry by Alam Khursheed n Designed by Anamika )
Click on pic for full view
Yaqeen Karo Na Karo Tum Magar Gaye Hain Hum
Jidhar Koi Nahi Jata Udhar Gaye Hain Hum
Mian! Ye Rah Tumhare Liye Naie Ho Gi
Zamana Guzra Udhar Se Guzar Gaye Hain Hum
Alam Khursheed
Tere Paas Aane Main Aadhi Umer Guzri Hai ( Poetry by Alam Khursheed n Designed by Anamika )
Click on pic for full view
Tere Paas Aane Main Aadhi Umer Guzri Hai
Aadhi Umer Guzre Gi Tujh Se Door Jane Main
Alam Khursheed
Aankhen ( Poetry by Khalid Malik Sahil, Fakhira Batool, Alam Khursheed n Designed by Shakeel Khan )
Click on pic for full view
Sham Se Beqarar Hain Aankhen
Dam Bah Dam Intezar Hain Aankhen
Hath Main Dil Nahi Raha Sahil
Aur Beikhtiyar Hain Aankhen
Khalid Malik Sahil
Ye Chand Ye Sooraj Ye Sitara Teri Aankhen
Sagar Ki Ye Mojen Ye Kinara Teri Aankhen
Poocha Gia Khawabon Ka Khalasa Bhi Koi Hai?
Besakhta Her Shakhs Pukara Teri Aankhen
Fakhira Batool
Agarcha Khud Ko Bohat Sharamsaar Karti Hain
Magar Ye Kaar-e-Janoon Bar Bar Karti Hain
Ab Apni Palken Kabi Jhapakti Nahi Kabi Aankhen
Bas Intezar..... Faqat Intezar Karti Hain
Alam Khursheed
Jab Tak Khuli Nahi Thi Israr Lag Rahi Thi ( Poetry of Alam Khursheed n Design by Musa Art )
Jab Tak Khuli Nahi Thi Israr Lag Rahi Thi
Ye Zindagi Mujhe Bhi Dushwar Lag Rahi Thi
Mujh Per Jhuki Hui Thi Phoolon Ki Aik Daali
Lekin Wo Mere Sir Per Talwar Lag Rahi Thi
Alam Khursheed
Ye Baat Waqt Se Pehle Kahan Samjhte Hain (Poetry by Alam Khursheed n Designed by Musa Art)
Ye Baat Waqt Se Pehle Kahan Samjhte Hain
Hum Ik Saraye Ko Apna Makaan Samjhte Hain
Yaqeen Kisi Ko Nahi Apni Be Sabati Ka
Sab Apne Aap Ko Shah-e-Zamaan Samjhte Hain
Alam Khursheed
Aik Hum Hain K Kabi Yaad Bhi Aaya Na Gia ( Poetry by Alam Khursheed n Designed by Anamika )
Click on pic for full view
Aik Hum Hain K Kabi Yaad Bhi Aaya Na Gia
Aik Wo Hai K Kabi Us Ko Bhulaya Na Gia
Us Ki Tasweer Hataye To Zamana Guzra
Phir Bhi Deewar Se Tasweer Ka Saya Na Gia
Is Tarha Toot K Bikhra Hai Koi Khawab K Phir
Dosra Khawab In Aankhon Main Sajaya Na Gia
Alam Khursheed
Subscribe to:
Posts (Atom)