Mohabbat Zinda Rehti Hai

A Lovely Poetry of Khalil Ullah Farooqi and Beautiful Design created by Creative Sign. His Real Name is Waseem Abbas. Creative Sign is not just a great urdu artwork designer, he is also a nice poet.

Amazing Watermelon Art

Such an Amazing and So Beautiful Watermelon Artwork by an Unknown Artist.

Lakeeren Jhoot Bolti Hain

Very Nice Poetry and Beautifully Designed by Queen Victoria. Her real Name is Shabnam Iqbal. She is one of the Most Renowned Urdu Poetry Designers.

All Because Of You

I awake each day with a smile, And greet it with a laugh, The world is a treasure to me, Because of you...

Mohabbat Sath Deti Hai

Very Beautiful Poetry and Such a Lovely Design Created by Guddo. His Real Name is Munir and His Creations are Always Most Likeable. He use Beautiful Natural Objects in his Most Creations.

Site Updated Daily.. Keep Visting :)

Mohabbaton Ka Mehakta Mousam ( Poetry of Fakhra Batool n Designed by Musa Art )

 Mohabbaton Ka Mousam
Wohi Wafa Hai Wohi Jafa Hai
Jahan Main Kuch Bhi Naya Nahi Hai
Mohabbaton Ka Mehakta Mousam
Suno Abi Tak Gia Nahi Hai
Fakhira Batool

Wo Aankh Jis Ko Tera Intezar Ab Bhi Hai ( Poetry of Faiz Ahmed Faiz )

Khuda Wo Waqt Na Laye K Tujh Ko Yaad Aaye
Wo Dil K Tere Liye Beqarar Ab Bhi Hai
Wo Aankh Jis Ko Tera Intezar Ab Bhi Hai
Faiz Ahmed Faiz

Ghairat-e-Muslim Ab Zinda Na Rahi ( Designed by Khan Jan )

Khawab Main Dekha Aanchal Hawwa Ki Beti K Sir Per Na Tha
Tabeer Batati Hai K Ghairat-e-Muslim Ab Zinda Na Rahi

Jab Main Dooba To Samundar Ko Bhi Hairat Hui ( Designed by Creative Art )

Jab Main Dooba To Samundar Ko Bhi Hairat Hui
Ajeeb Shakhs Hai Kisi Ko Pukarta Hi Nahi

Koi Aisa Bhi Lamha Ho ( Poetry of Nusrat Naseem n Designed by Passion Creations )

Koi Aisa Bhi Lamha Ho
Koi Aisa Bhi Lamha Ho
Pukaron Jab Tujhe Janaa!
Sadaa Pohnchey Tere Dil Tak
Tujhe Main Dekhna Chahon
Tu Meri Dastras Main Ho
 
Koi Aisa Bhi Lamha Ho
K Rah-e-Zeest Main Janaa!
Tu Mere Sath Ho, Hathon Ko Mere Thaam Rakha Ho
Agar Main Dasht-e-Ulfat Main Qadam Rakhon
Tu Mera Humsafar Bhi Ho
Tu Mera Rehbar Bhi Ho
 
Koi Aisa Bhi Lamha Ho
Main Tere Sath Ho Jaon
To Meri Zindagi Aasaan Ho Jaye
Jo Tu Ne Mujh Se Bhandha Tha Kabi Janaa!
Wohi Toota Hua Pemaan Hi Sahi
Phir Se Wohi Pemaan Ho Jaye!
To Kuch Din Aur Jeene Ka Mujhe Imkaan Ho Jaye
Nusrat Naseem

A Friend is the hope of the Heart

A Friend is the hope of the Heart

Tehreeron Main Simat'te Kahan Hain Dilon K Dard ( Designed by Night Jasmine )

Tehreeron Main Simat'te Kahan Hain Dilon K Dard
Behla Rahi Hon Khud Ko Zra Kaghazon K Sath

Ishq Samundar Hai Behar Main Nahi Hota ( Poetry n Design by Wafa Ghulam Nabi Shaikh )

Tum Rakho Arooz-e-Ishq Ka Dars Pas Apne
Ishq Samundar Hai Behar Main Nahi Hota
Wafa Ghulam Nabi Shaikh

Hijer Ka Karb ( Poetry of Aamir Vardan n Designed by Passion Creations )

Hijer Ka Karb
Tum Ne Dekha Hai Kabi
Dil Garifta o Dil Figaar Koi
Wo Jis K Chehre Se
Hijer Ka Karb Ayaan Hota Hai
Jis Ki Muskan Taley Aksar
Soz-e-Jaan Pehnaan Hota Hai
Kal Raat Main Ne Janaa
Aisa Hi Ik Shakhs Achanak Dekha
Us Ka Chehra Tha K Dard Tha Dehakta Hua
Us K Izterab Main Hijer Tha Mehkta Hua
Logon Ki Bheer Main Bhi Usey Tanha Dekha
Kia Tumhain Pata Hai Janaa
Kal Muddat Baad Main Ne Aaina Dekha
Mohammad Aamir Vardan