Mohabbat Zinda Rehti Hai

A Lovely Poetry of Khalil Ullah Farooqi and Beautiful Design created by Creative Sign. His Real Name is Waseem Abbas. Creative Sign is not just a great urdu artwork designer, he is also a nice poet.

Amazing Watermelon Art

Such an Amazing and So Beautiful Watermelon Artwork by an Unknown Artist.

Lakeeren Jhoot Bolti Hain

Very Nice Poetry and Beautifully Designed by Queen Victoria. Her real Name is Shabnam Iqbal. She is one of the Most Renowned Urdu Poetry Designers.

All Because Of You

I awake each day with a smile, And greet it with a laugh, The world is a treasure to me, Because of you...

Mohabbat Sath Deti Hai

Very Beautiful Poetry and Such a Lovely Design Created by Guddo. His Real Name is Munir and His Creations are Always Most Likeable. He use Beautiful Natural Objects in his Most Creations.

Site Updated Daily.. Keep Visting :)

Aankhon Main Aankhen Daal Kar ( Designed by Shakeel Khan )

Click on pic for full view
Aankhon Main Aankhen Daal Kar Dekha Na Kijiye
Dekhiye Dekhte Hain Log Aisa Na Kijiye

Mujhe Tum Se Mohabbat Hai ( Poetry by Aatif Saeed n Designed by Passion Creations )

Click on pic for full view
Mujhe Aksar Ye Kehti Thi
K Itni Bar Kehte Ho
Mujhe Tum Se Mohabbat Hai
K Ab Seene Pe Ye Sunne Se
Asar Koi Nahi Hota
Magar Jab Aaj Danista
Nahi Bola Usey Main Ne
Mujhe Tum Se Mohabbat Hai
To Us Ki Aankh Bhar Aai.

Aatif Saeed

Rooh Tak Teri Beqarari Tera Ehsas ( Designed by Imran Ahmad )

Click on pic for full view
Ishq Sufiyana Mera Ishq Sufiyana
Rooh Tak Teri Beqarari Tera Ehsas Hai Jiger Main
Her Dua Main Teri Sada Hai Main Karta Hon Tere Sajde

Humen Tum Se Mohabbat Hai ( Poetry by Aleena Itrat Rizvi n Designed by Musa Art )

Click on pic for full view
Kaha Nazron Se Nazron Ne Humen Tum Se Mohabbat Hai
Labon Se Hum Kahen Kaise Humen Tum Se Mohabbat Hai
Zameen K Phool Sare Aasman K Dil Main Khil Uthey
Zameen Ne Jab Kaha Hans K Humen Tum Se Mohabbat Hai
Aleena Itrat Rizvi

Khud Kalami Main Is Qadar Wehshat ( Designed by Bisma's Art )

Click on pic for full view
Khud Kalami Main Is Qadar Wehshat
Koi Dushman RuBaru Ho Jaise

Zindagi Mohabbat Hai Aur Pyar Jeevan Hai ( Poetry by Sada Hussain Sada n Designed by S M Arshad )

Click on pic for full view
Zindagi Mohabbat Hai Aur Pyar Jeevan Hai
Sath Hai Tumhara To Pur Bahar Jeevan Hai
Chahte Hain Kitna Tum Ko Sanam Bataen Kia
Her Adaa Pe Teri Dil Kia Nisaar Jeevan Hai
Kia Kahen Sambhale Bhi Dil Nahi Sambhalta Ab
Lout Kar Chale Aao Beqarar Jeevan Hai
Sada Hussain Sada

Khawab Aur Khushbu ( Designed by Raja Azhar )

Click on pic for full view
Khawab Aur Khushbu
Dono Hi Azad Ro Hain
Dono Qaid Nahi Ho Sakte
Mere Khawab
Tumhari Khushbu...!!

Mohabbat K Ye Saare Rang ( Poetry by Fakhira Batool n Designed by Jawaid Khan )

Click on pic for full view
Koi Kab Bhool Sakta Hai
Kabi Zeest Main Saare Warq
Purzon Ki Soorat Ho Chuke Phir Bhi
Wo Pehla Rang Jo Aankhon Main Jaga Tha
Wo Pehla Naam Jo Acha Mere Honton Ko Laga Tha
Wo Gaon Ki Kachi Si Pagdandi
Wo Pehli Rut Ki Mohabbat
Wo Ik Anjan Sa Sandesa Teri Shokh Aankhon Ka
Haya Se Wo Mera Palken Jhuka Dena
Wo Na Karte Huey Masoom Sa Iqrar Kar Dena
Wo Haan Kehte Huey Besakhta Inkar Kar Dena
Mohabbat K Ye Saare Rang
Koi Kab Bhool Sakta Hai
Fakhira Batool

Aankhen ( Poetry by Khalid Malik Sahil, Fakhira Batool, Alam Khursheed n Designed by Shakeel Khan )

Click on pic for full view
Sham Se Beqarar Hain Aankhen
Dam Bah Dam Intezar Hain Aankhen
Hath Main Dil Nahi Raha Sahil
Aur Beikhtiyar Hain Aankhen
Khalid Malik Sahil

Ye Chand Ye Sooraj Ye Sitara Teri Aankhen
Sagar Ki Ye Mojen Ye Kinara Teri Aankhen
Poocha Gia Khawabon Ka Khalasa Bhi Koi Hai?
Besakhta Her Shakhs Pukara Teri Aankhen
Fakhira Batool

Agarcha Khud Ko Bohat Sharamsaar Karti Hain
Magar Ye Kaar-e-Janoon Bar Bar Karti Hain
Ab Apni Palken Kabi Jhapakti Nahi Kabi Aankhen
Bas Intezar..... Faqat Intezar Karti Hain
Alam Khursheed

Raat Yon Dil Main Teri Khoi Hui Yaad Aai ( Poetry by Faiz Ahmed Faiz n Designed by Rapunzel )

Click on pic for full view
Raat Yon Dil Main Teri Khoi Hui Yaad Aai
Jaise Veerane Main Chupke Se Bahaar Aa Jaye
Jaise Sehraon Main Holey Se Chale Baad-e-Naseem
Jaise Bemaar Ko Bewaja Qarar Aa Jaye
Faiz Ahmed Faiz

Make glittering picute in photoshop: Glitter text/effects tutorial in Urdu language ( Tutorial by Aks )

Click on pic for full view

Assalam Aliykum!
Glitter text/effects tutorial in urdu
Tutorial credits goes to Aks from Urdushanas.
Lets start... :)
Make Pictures in .gif format










Result

US Rotating logo by Squarened


 Contact here for questions.

Ik Us K Lams Ka Ehsas Ho Aur Hayat Lout Aaye ( Poetry by Faisal Shabir n Designed by Waheed's Art )

Click on pic for full view
Jo Kahi Us Ne Sargoshi Main Wo Baat Lout Aaye
Teri Yaad Ho Sath Aur Wisal Ki Her Soghat Lout Aaye Aaye
Ye Mousam-e-Hijer Tall Jaye Aur Khil Uthey Bahaar
Ik Us K Lams Ka Ehsas Ho Aur Hayat Lout Aaye
Main Nahi Tanha K Wo Shamil Hai Mujh Me Is Qadar
Jo Wo Nikle To Tanhai Main Meri Zaat Lout Aaye
Na Ho Paas-e-Aadab-e-Talab Ab Jab K
WO Sath Ho Mere Aur Wisal Ki Ik Raat Lout Aaye
Is Chashm-e-Sehra Ko Ab Ashk Ki Boond Bhi Hasil Nahi
Ik Lamha Jo Deedar Ho Tera To Barsat Lout Aaye
Ab To Tabeer Ki Hasrat Nahi Rahi Mujh Ko Faisal
Jise Dhondta Hon Main Her Shab Wo Khawab Lout Aaye
Faisal Shabir

Na Teri Soch Ne Rehai Di Na Teri Yaad Se Nikal Paya ( Poetry by Aatif Saeed n Designed by Bisma's Art )

Click on pic for full view
Aik Muddat Guzar Gai Lekin
Dil Ka Mousam Nahi Badal Paya
Na Teri Soch Ne Rehai Di
Na Teri Yaad Se Nikal Paya
Aatif Saeed

Ishq Ko Bhi Ishq Ho To Phir Main Dekhon Ishq Ko ( Designed by Black Pearl )

Click on pic for full view
Ishq Ko Bhi Ishq Ho To Phir Main Dekhon Ishq Ko
Kaise Tarpe Kaise Roye Ishq Apne Ishq Main

Dekhta Hon Soorat-e-Yaar To Aata Hai Rashk ( Designed by Anamika )

Click on pic for full view
Dekhta Hon Soorat-e-Yaar To Aata Hai Rashk
Her Baat Lajawab Hai Bas Bewafa Na Hota

Aankhen, Zulfen, Jhumke, Chehra, Kangan, Bindiya ( Designed by Shakeel Khan )

Click on pic for full view
Aankhen, Zulfen, Jhumke, Chehra, Kangan, Bindiya
Haye Dil Haar Gaye Hum Tujhe Be Naqab Dekh Kar

Kabi Tum Kuch To Bolo Na ( Poetry by Nusrat Naseem n Designed by Passion Creations )

Click on pic for full view
"Kabi tum kuch to bolo na"
Jo dil main Hain wo sab baten,
Judai k ye tapte din kaise bit'te mujh bin,
Guzarti kaise Hain raten,
Jalati Hain tere dil ko b Kia saawan ki barsaten,
Kabi tum kuch to bolo na
Jahan bhi jao tum meri Kami mehsoos karte ho,
Dekhai deti hai Surat meri her ik chehre main
Mere bin zindagi hi ajnabi mehsoos karte ho,
Bohat din se sulagte Hain hum is aag main janaa
Agr dil main koi jazba panapta hi nahi to phir
Km az km itna hi keh do
Tumhari zindgi main hum koi ma'ani nahi rakhte,
Khudara chup na raho yon
Qafl-e-lab ko khulo na,
"Kabi tum kuch to bolo na"
Nusrat Naseem

Dasht-e-Gham-e-Hayat Mera Hosla To Dekh ( Designed by Raja Azhar )

Click on pic for full view
Dasht-e-Gham-e-Hayat Mera Hosla To Dekh
Main Dhoondne Chala Hon Tera Dosra Sira

Us Ko Jana Tha Chor Kar Warna ( Poetry by Syed Athar Ali n Designed by Pasha Shah )

Click on pic for full view
Us Ko Jana Tha Chor Kar Warna
Baat Ye Thi K Baat Kuch Bhi Na Thi
Syed Athar Ali

Aankh Se Door Na Ho Dil Se Utar Jaye Ga ( Designed by Nida's Art )

Click on pic for full view
Aankh Se Door Na Ho Dil Se Utar Jaye Ga
Waqt Ka Kia Hai Guzarta Hai Guzar Jaye Ga

Hum Aur Tum ( Poetry by Aleena Itrat Rizvi n Designed by Shakeel Khan )

Click on pic for full view
Raat, Khawab, Khamoshi Aur Hum
Meelon Lambe Raste Aur Tum
Aleena Itrat Rizvi

Ishq ( Poetry by Ghulam Farid n Designed by Bisma's Art )

Click on pic for full view
Ishq Saarre Tan Mera

Ghulam Farid

Yaad Piya Ki Aaye ( Designed by Abu Hamza )

Click on pic for full view
Yaad Piya Ki Aaye
Ye Dukh Saha Na Jaye Haye