Mohabbat Zinda Rehti Hai

A Lovely Poetry of Khalil Ullah Farooqi and Beautiful Design created by Creative Sign. His Real Name is Waseem Abbas. Creative Sign is not just a great urdu artwork designer, he is also a nice poet.

Amazing Watermelon Art

Such an Amazing and So Beautiful Watermelon Artwork by an Unknown Artist.

Lakeeren Jhoot Bolti Hain

Very Nice Poetry and Beautifully Designed by Queen Victoria. Her real Name is Shabnam Iqbal. She is one of the Most Renowned Urdu Poetry Designers.

All Because Of You

I awake each day with a smile, And greet it with a laugh, The world is a treasure to me, Because of you...

Mohabbat Sath Deti Hai

Very Beautiful Poetry and Such a Lovely Design Created by Guddo. His Real Name is Munir and His Creations are Always Most Likeable. He use Beautiful Natural Objects in his Most Creations.

Site Updated Daily.. Keep Visting :)

Main Bhi Aam Si Larki Hon ( Poetry of Rabia Basri n Designed by Guddo )

Main Bhi Aam Si Larki Hon
Tum Ne Mujhe Koi Sangi Mujasma Hi Samjha
K Jis Per Koi Baat, Koi Dukh
Koi Takleef Asar Nahi Karti
Mere Dosto!
Dhoop Ki Chubhan Mujhe Bhi Hoti Hai
Kisi Ka Sakht Lehja Mujhe Bhi Mehsoos Hota Hai
Baton K Teer Mujhe Bhi Lagte Hain
Kisi Mazboot Bazu Ka Hassaar Mujhe Bhi Chahiye
Aik Aitbar Mujhe Bhi Chahiye
Aik Ghar Aik Dareechey Ki Khawahish Mujhe Bhi Hai
Main Koi Sangi Mujasma Nahi Hon
Bohat Aam Si Larki Hon
Kash! Tum Ne Mujhe Kabi Khas Na Samjha Hota
Rabia Basri

Ajeeb Mousam-e-Dil Jaan K Paar Utra Hai ( Poetry of Nusrat Naseem n Designed by Passion Creations )

Ajeeb Mousam-e-Dil Jaan K Paar Utra Hai
Dhanak K Rang Main Saara Ghubar Utra Hai
Main Is Ka Shukar Karon Ya Karon Koi Shikwa
Khizan Ki Rut Main Jo Mousam-e-Bahar Utra Hai
Teri Khushi Isey Samjhon K Apni Mehroomi
Gham-e-Firaq Jo Be Ikhtiyar Utra Hai
Naya Nai Azm Naye Raston Pe Chal Niklen
Purani Rahon Se Jab Aitbar Utra Hai
Main Is Ko Kaise Sambhalon Ye Kaise Sambhale Ga
Jo Tere Baad Mere Dil Pe Baar Utra Hai
Nusrat Naseem

Haasil-e-Zindagi Justaju Hai ( Poetry of Aisha Baig Aashi n Designed by Passion Creations )

Haasil-e-Zindagi Justaju Hai
Haasil-e-Justaju Sirf Tu Hai
Roshni Urr Rahi Hai Junoon Ki
Roshni Ko Teri Aarzu Hai
Orrh Kar Chandni Teri Khushbu
Saans Ki Raat Main Chaar Soo Hai
Jald Aa Kar Badal Mousam Jaan
Dhoop Hai Habs Hai Zard Loo Hai
Chashm Basta Ho Aashi K Waa Ho
Aik Soorat Hi Bas RuBaru Hai
Aisha Baig Aashi

Lout Aao K Tum Bin Guzara Nahi ( Poetry of Sada Hussain Sada n Designed by Passion Creations )

Lout Aao K Tum Bin Guzara Nahi
Kon Si Shab Tumhain Yon Pukara Nahi
Tairgi Nochti Hai Shab-o-Roz Kyon
Kia Muqaddar Main Koi Sitara Nahi
In Ghamon Ka Mere Kuch Madawa Kare
Yaan Koi Dost Aisa Humara Nahi
Sada Hussain Sada

Wo Mujhe Mila Hota ( Poetry of Mehroo Ali n Designed by Shahid Ali Kiyani )

Aasman K Maalik Se
Do Jahan K Khaliq Se
Sirf Itna Chaha Hai
Sirf Itna Manga Hai
Roz-o-Shab Riyazat Ka
Pur Khaloos Chahat Ka
Be Panah Mohabbat Ka
Itna To Sila Hota
Wo Mujhe Mila Hota
Mehroo Ali

Ranjishen Hi Sahi Dil Hi Dukhane K Liye Aa ( Poetry of Ahmed Faraz n Designed by Fozi Creations )

Ranjishen Hi Sahi Dil Hi Dukhane K Liye Aa
Aa Phir Se Mujhe Chor K Jane K Liye Aa
Kis Kis Ko Bataen Gey Judai Ka Sabab Hum
Tu Mujh Se Khafa Hai To Zamane K Liye Aa
Ahmed Faraz

Ik Tera Sath Juft Hone Ko ( Poetry of Fakhra Gul n Designed by Passion Creations )

Taaq Raton Main Hum Ne Manga Hai
Ik Tera Sath Juft Hone Ko
Fakhra Gul

Sukhan Aarai Baki Reh Gai Hai ( Poetry of Noshi Gillani n Designed by Anamika )

Sukhan Aarai Baki Reh Gai Hai
Yehi Sachai Baki Reh Gai Hai
Sajana Chahte They Mehfil-e-Dil
Magar Tanhai Baki Reh Gai Hai
Mujhe Bhi Shoq-e-Manzil Tha Magar Ab
Shakista Pai Baki Reh Gai Hai
Gharoor-e-Zindagi Banne Ko Ab To
Meri Ruswai Baki Reh Gai Hai
Zameen K Sare Manzar Chup Gaye Hain
Magar Beenai Baki Reh Gai Hai
Noshi Gillani

Mere Khawab Mujh Se Kabi Baat Kar ( Poetry of Naheed Virk n Designed by Abu Hamza )

Mere Khawab Mujh Se Kabi Baat Kar
Mere Taalu Se Chipke Huey Saare Wo Lafz Parh Jo
Kabi Tujh Se Main Keh Na Pai
Mere Khawab Tu Meri Takmeel Kar
Koi Jugnu, Mohabbat, Dua Ban Kar Tabeer Main Dhal
Kisi Lams Ka Koi Marham Meri Rooh K Ghao Per Rakh
Nahi To
Shab-o-Roz Ka Khokhla Silsila Khatam Kar
Jahan Phaili Tanhai Ki Aag Main
Rooh Ko Yon Na Jalna Pare
Dukh Ki Lehron K Phaile Huey Jaal Main
Paon Apna Na Dharna Pare
Naheed Virk

Bana K Faqeeron Ka Hum Bhais Ghalib ( Poetry of Mirza Ghalib n Designed by Falak Creations )

Bana K Faqeeron Ka Hum Bhais Ghalib
Tamasha-e-Ehl-e-Karam Dekhte Hain
Mirza Asad Ullah Khan Ghalib

Main Ne Tum Se Tumhain Manga ( Designed by Guddo )

Shikwa
Main Ne Tum Se Tumhain Manga
To Tum Muskura Diye
Tum Ye Bhi To Keh Sakte They
K...
Apni Cheezain Manga Nahi Karte

Zamana Roye Ga Barson Humain Bhi Yaad Kar K ( Designed by Creative Art )

Zamana Roye Ga Barson Humain Bhi Yaad Kar K
Ginen Gey Sab Humari Khoobiyan Jab Hum Na Hon Gey

Qasam Tum Ko Mere Sir Ki Mere Pehlu Se Na Sarko ( Designed by Shakeel Khan )

Qasam Tum Ko Mere Sir Ki Mere Pehlu Se Na Sarko
Agar Sarko To Yon Sarko Qalam Kar K Mere Sir Ko

Mohabbaton Main Humen Wo Misaal Hona Hai ( Poetry of Wasi Shah n Designed by Creative Sign )

Milen Gi Hum Ko Bhi Apne Naseeb Ki Khushiyan
Bas Intezar Hai Kab Ye Kamaal Hona Hai
Her Aik Shakhs Chale Ga Humari Rahon Per
Mohabbaton Main Humen Wo Misaal Hona Hai
Wasi Shah

Kuch Kaghaz Gungey Lafzon K ( Poetry of Athar Hamdani n Designed by Sunny Shah )

Amaanat
Kuch Kaghaz Gungey Lafzon K
Kuch Rang Barangi Si Yaden
Kuch Sookhey Phool Gulabon K
Kuch Khawab Adhoori Raton K
Un Khawabon Ki Kuch Tabeeren
Kuch Gungi Behri Tasweeren
Mere Pas Amaanat Hain Teri
Jab Chaho Aa Kar Le Jana!!!
Athar Hamdani