Site Updated Daily.. Keep Visting :)

Ajnabi Sham ( Poetry by Samina Raja n Designed by Arabian Artist )

Click on pic for full view
Ajnabi Sham Aankhon K Raste Main Thehri Hui Hai
Khmoshi K Jaisi Hawa Narm Ro Hai
Hawa Ki Nashebi Guzargah Per
Apne Saye Samete Huey
Sab Shajar Sadhuon Ki Tarha Chup Khare Hain
Kisi Dehaan Main Gum...Kisi Jaap K Sehar Main
Baad-e-Sar Sabz Ka
Koi Chanchal Sa Jhonka Jo Guzre
To Sab Chonk Uthte Hain
Pat Jharr Se Surkhaye Kuch Paat Jharte Hain
Aur Door Tak Raston Per Bikhar Jate Hain
Bareek Boondon Ki Rim Jhim Se Halki Hawa Main Nami Hai
Fiza Surmai
Aur Mere Dil Main Ik Aashna Ki Kami Hai
Samina Raja

0 comments:

Post a Comment