Mohabbat Zinda Rehti Hai

A Lovely Poetry of Khalil Ullah Farooqi and Beautiful Design created by Creative Sign. His Real Name is Waseem Abbas. Creative Sign is not just a great urdu artwork designer, he is also a nice poet.

Amazing Watermelon Art

Such an Amazing and So Beautiful Watermelon Artwork by an Unknown Artist.

Lakeeren Jhoot Bolti Hain

Very Nice Poetry and Beautifully Designed by Queen Victoria. Her real Name is Shabnam Iqbal. She is one of the Most Renowned Urdu Poetry Designers.

All Because Of You

I awake each day with a smile, And greet it with a laugh, The world is a treasure to me, Because of you...

Mohabbat Sath Deti Hai

Very Beautiful Poetry and Such a Lovely Design Created by Guddo. His Real Name is Munir and His Creations are Always Most Likeable. He use Beautiful Natural Objects in his Most Creations.

Site Updated Daily.. Keep Visting :)
Showing posts with label Classical Shairy. Show all posts
Showing posts with label Classical Shairy. Show all posts

Kuch Dair Bharakte Huey Sholon Ka Dhuwaan Aur ( Designed by Bisma's Arts )

Click on pic for full view
Insan K Bikhre Huey Ajzaye Anaa Dekh
Tann Aur Hai Mann Aur Hai Dil Aur Zuban Aur
Aatish Kada-e-Ishq Main Khashak-e-Khird Daal
Kuch Dair Bharakte Huey Sholon Ka Dhuwaan Aur

Hum K Shaheen Hain Zad Per Nahi Aane Wale ( Poetry by Dr. Ali Ahmed Jaleeli n Designed by Shakeel Khan )

Click on pic for full view
Un Se Keh Do Jo Nishana Hain Lagane Wale
Hum K Shaheen Hain Zad Per Nahi Aane Wale
Dr. Ali Ahmed Jaleeli

Meharban Ho K Bula Lo Mujhe Chaho Jis Waqt ( Poetry by Asad Ullah Khan Ghalib n Designed by Atif Saad )

Click on pic for full view
Meharban Ho K Bula Lo Mujhe Chaho Jis Waqt
Main Gia Waqt Nahi Hon K Phir Aa Bhi Na Sakon
Zohf Main Ta'ana-e-Aghyar Ka Shiqwa Kia Hai
Baat Kuch Sar To Nahi Hai K Utha Bhi Na Sakon
Zehar Milta Hi Nahi Mujh Ko Sitamgar Warna
Kia Qasam Hai Tere Milne Ki K Kha Bhi Na Sakon
Mirza Asad Ullah Khan Ghalib

Baraye Farokht ( Designed by Bisma's Arts )

Click on pic for full view
To Phir Wo Ishq Ye Naqd-o-Nazar Baraye Farokht
Sakhan Baraye Huner Hai Huner Baraye Farokht
Main Pehle Qoofa Gia Us K Bad Misar Gia
Idhar Baraye Shahaadat Udhar Baraye Farokht

Kahan Reh Gaien Meri Manzilen ( Poetry by Ahsan Mirza n Designed by Passion Creations )

Click on pic for full view
Kahan Reh Gaien Meri Manzilen Kahan Ruk Gia Hai Mera Safar
Kahan Le Gai Mujhe Raftgan Mere Haal Mujh Ko Talash Kar
Main Bhi Khak Hon Teri Rah Ki Meri Tishnagi Tera Ishq Hai
Mujhe Goondh Kar Isi Ishq Main Tu Sanwaar De Mere Kooza Gr

Ahsan Mirza

Zindgani Hai Sadaf, Qarah Neesaan Hai Khudi ( Poetry by Allama Iqbal n Designed by Queen Victoria )

Click on pic for full view
Zindgani Hai Sadaf, Qarah Neesaan Hai Khudi
Wo Sadaf Kia Jo Qatre Ko Gahar Kar Na Sake
Ho Agar Khud Nagar-o-Khud Gar-o-Khud Geer Khudi
Ye Bhi Mumkin Hai K Tu Mout Se Bhi Mar Na Sake
Allama Iqbal

Wo Sawan Jis Main Zulfon Ki Ghata Chai Nahi Hoti ( Poetry by Qateel Shafai n Designed by Bisma's Arts )

Click on pic for full view
Wo Sawan Jis Main Zulfon Ki Ghata Chai Nahi Hoti
Jo Barse Bhi To Serab Apni Tanhai Nahi Hoti
Janab-e-Ishq Karte Hain Karam Kuch Khas Logon Per
Her Insan K Muqaddar Main To Ruswai Nahi Hoti
Samundar Pur Sakoon Hai Is Liye Gehra Bhi Hai Warna
Machalti Nadiyon Main Koi Gehrai Nahi Hoti
Ye Wa'az Hai, Nahi Taqreer Main Rakhta Jawab Apna
Magar Us Shakhs Ki Baton Main Sachai Nahi Hoti
Qateel Shafai

Farigh Na Janiye Mujhe, Masroof-e-Jang Hon ( Designed by Bisma's Arts )

Click on pic for full view
Farigh Na Janiye Mujhe, Masroof-e-Jang Hon
Us Chup Se Jo Kalam Se Aage Nikal Gai

Ajnabi Sham ( Poetry by Samina Raja n Designed by Arabian Artist )

Click on pic for full view
Ajnabi Sham Aankhon K Raste Main Thehri Hui Hai
Khmoshi K Jaisi Hawa Narm Ro Hai
Hawa Ki Nashebi Guzargah Per
Apne Saye Samete Huey
Sab Shajar Sadhuon Ki Tarha Chup Khare Hain
Kisi Dehaan Main Gum...Kisi Jaap K Sehar Main
Baad-e-Sar Sabz Ka
Koi Chanchal Sa Jhonka Jo Guzre
To Sab Chonk Uthte Hain
Pat Jharr Se Surkhaye Kuch Paat Jharte Hain
Aur Door Tak Raston Per Bikhar Jate Hain
Bareek Boondon Ki Rim Jhim Se Halki Hawa Main Nami Hai
Fiza Surmai
Aur Mere Dil Main Ik Aashna Ki Kami Hai
Samina Raja

Ashaaq K Taeen Hai Ajz-o-Niaz Wajib ( Poetry by Meer Taqi Meer n Designed by Anamika )

Click on pic for full view
Ashaaq K Taeen Hai Ajz-o-Niaz Wajib
Hai Farz-e-Ain Rona Dil Ka Gadaaz Wajib
Meer Taqi Meer

Talab Ko Ajar Na Don Fiker-e-Rahguzar Na Karon ( Poetry by Mohsin Naqvi n Designed by Sunny Shah )

Click on pic for full view
Talab Ko Ajar Na Don Fiker-e-Rahguzar Na Karon
Safar Main Ab K Hawa Ko Bhi Humsafar Na Karon
Ubharte Doobte Suraj Se Tor Lon Rishta
Main Sham Orrh K So Jaon Aur Sehar Na Karon
Ye Mere Dard Ki Dolat Meri Mata-e-Firaq
In Aansuon Ki Wazahat Main Umer Bhar Na Karon
Ujaar Shab Ki Khalash Ban K Ban Main Kho Jaon
Main Chandni Ki Tarha Khud Ko Dar Badar Na Karon
Wo Aik Pal Ko Dikhai To De Kahin Mohsin
Main Jaan Ganwa Kar Bhi Us Pal Ko Mukhtasir Na Karon
Mohsin Naqvi

Jankani Main Mareez-e-Hasti Hai ( Poetry by Aitbar Sajid n Designed by Jia Khan )

Click on pic for full view
Jankani Main Mareez-e-Hasti Hai
Mangta Hai Dawa Zamane Se
Charasazo Sunehri Moqa Hai
Zehar De Do Isi Bahane Se
Aitbar Sajid

Ye Khoobru Log Jin Ki Aankhen ( Poetry by Mohsin Naqvi n Designed by Sunny Shah )

Click on pic for full view
Ye Khoobru Log Jin Ki Aankhen
Tumhare Ujley Badan Per Chispaan
Tumhare Naqsh-e-Qadam Ki Khushbu Main
Sabt Aise
Bhanwar Main Jaise Hina K Pattey
Main Sochta Hon
K Itni Aankhon K Dairon Main
Meri Akaili
Udas Aankhon Ki
Hesiyat Kia Hai
Meri Wafa Ka Muqaam Kia Hai
Meri Mohabbat Ka Naam Kia Hai
Mohsin Naqvi

Rooh Tak Teri Beqarari Tera Ehsas ( Designed by Imran Ahmad )

Click on pic for full view
Ishq Sufiyana Mera Ishq Sufiyana
Rooh Tak Teri Beqarari Tera Ehsas Hai Jiger Main
Her Dua Main Teri Sada Hai Main Karta Hon Tere Sajde

Khud Kalami Main Is Qadar Wehshat ( Designed by Bisma's Art )

Click on pic for full view
Khud Kalami Main Is Qadar Wehshat
Koi Dushman RuBaru Ho Jaise

Ishq ( Poetry by Ghulam Farid n Designed by Bisma's Art )

Click on pic for full view
Ishq Saarre Tan Mera

Ghulam Farid

Yaad Piya Ki Aaye ( Designed by Abu Hamza )

Click on pic for full view
Yaad Piya Ki Aaye
Ye Dukh Saha Na Jaye Haye

Hum Tere Shehar Se Jeene Ka Saleeqa Laye ( Poetry by Dr. Ali Ahmed Jaleeli n Designed by Shakeel Khan )

Click on pic for full view
Zehar-e-Gham Pi K Hansi Honton Pe Bikhra Laye
Hum Tere Shehar Se Jeene Ka Saleeqa Laye
Dr. Ali Ahmed Jaleeli

Waqt-e-Maghrab Hai Ye ( Poetry by Noshi Gillani n Designed by Pasha Shah )

Click on pic for full view
Waqt-e-Maghrab Hai Ye
Hath Uthte Nahi Hain Dua K Liye
Zabt-e-Gham Thak Gia
Hosla Batt Gia
Aik Heran Thehri Hui Ye Fiza
Na Koi Wisal Ka Khawab Aankhon Main
Na Koi Hijer Ki Sham Yadon Main Hai
Sajda-e-Ishq Bhi
Aaj Meri Jabeen Per Simatne Laga
Wo Jo Badal Yaqeen Ka Tha Chatne Laga
Sans Rukne Lagi Dil Bhatakne Laga
Ay Mere Rab Mehr-o-Wafa
Ik Nazar
Ho Koi Mojza
Waqt-e-Maghrab Hai Ye
Hath Uthte Nahi Hain Dua K Liye
Noshi Gillani

Ye Hijraton Ka Safar Ab Taley Mere Malik ( Poetry by Naheed Virk n Designed by Basit Habib )

Click on pic for full view
Hain Be Ghari K Kaie Mah-o-Saal Daaman Main
Ye Hijraton Ka Safar Ab Taley Mere Malik
Naheed Virk