Mohabbat Zinda Rehti Hai

A Lovely Poetry of Khalil Ullah Farooqi and Beautiful Design created by Creative Sign. His Real Name is Waseem Abbas. Creative Sign is not just a great urdu artwork designer, he is also a nice poet.

Amazing Watermelon Art

Such an Amazing and So Beautiful Watermelon Artwork by an Unknown Artist.

Lakeeren Jhoot Bolti Hain

Very Nice Poetry and Beautifully Designed by Queen Victoria. Her real Name is Shabnam Iqbal. She is one of the Most Renowned Urdu Poetry Designers.

All Because Of You

I awake each day with a smile, And greet it with a laugh, The world is a treasure to me, Because of you...

Mohabbat Sath Deti Hai

Very Beautiful Poetry and Such a Lovely Design Created by Guddo. His Real Name is Munir and His Creations are Always Most Likeable. He use Beautiful Natural Objects in his Most Creations.

Site Updated Daily.. Keep Visting :)
Showing posts with label Designed Urdu Poetry. Show all posts
Showing posts with label Designed Urdu Poetry. Show all posts

Bare Hi Saada Mizaj Hain Ye Log ( Designed by Waheed's Art )


Bare Hi Saada Mizaj Hain Ye Log
Ishq Main Marr Jate Hain

Main Bhi Bohat Ajeeb Hon ( Poetry by John Elia n Designed by Creative Sign )


Main Bhi Bohat Ajeeb Hon Itna Ajeeb Hon K Bas
Khud Ko Tabah Kar Liya Aur Malal Bhi Nahi
John Elia

Kia Aankhon Se Koi Nazara Jata Hai? ( Poetry by Alam Khursheed n Designed by Shakeel Khan )




Kab Tak Apni Palken Band Rakho Gey Tum
Kia Aankhon Se Koi Nazara Jata Hai?
Alam Khursheed

Tum Agar Mujh Se Mohabbat Karte ( Poetry by Aatif Saeed n Designed by Pasha Shah )


 
Is Tarha Bhool Nahi Sakte They
Tum Agar Mujh Se Mohabbat Karte
Aatif Saeed

Abi Tak Be Qarari Ka Wohi Aalam Nahi Badla ( Poetry by Erum Zehra n Designed by Pasha Shah )


Tere Qadmon Ki Aahat Per Main Foran Chonk Jati Hon
Abi Tak Be Qarari Ka Wohi Aalam Nahi Badla
Erum Zehra

Manoos Ajnabi ( Poetry by Nasir Kazmi n Designed by Saqib Zeeshan )


Na Ab Wo Yadon Ka Charhta Darya Na Fursaton Ki Udas Barkha
Yonhi Zra si Kasak Hai Dil Main Jo Zakham Gehra Tha Bhar Gia Wo
Wo Raat Ka Be Nawa Musafir Wo Tera Shayar Wo Tera Nasir
Teri Gali Tak To Hum Ne Dekha Phir Na Jane Kidhar Gia Wo
Nasir Kazmi

Wo Aik Socha Hua Naaz Sa Takallum Main ( Poetry by Amjad Islam Amjad n Designed by Bisma's Arts )


Uljhan
Wo Aik Socha Hua Naaz Sa Takallum Main
Nazar Main Aik Jhijhak Se Koi Banai Hui
Labon Pe Aik Tabassum Zra Lahjaya Sa
Jabeen Pe Bazam-e-Marwat Saji Sajai Hui
Dhaka Dhaka Sa Takabbar Wo Baat Sunne Main
Thi Jis Main Husn Ki Nazish
Kahin Chupai Hui
Badan Main Khof Ki Larzish Bhi Aur Daawat Bhi
Garaiz Karti Hui Aur Qareeb Aai Hui
Kuch Us Ko Dekh K Khilta Na Tha K Kia Hai
Faraib Deti Hui Ya Faraib Khai Hui
Amjad Islam Amjad

Mousam-e-Gul To Aaye Magar Wo Aaye Nahi ( Poetry by Mussarat Naheed n Designed by Passion Creations )

Click on pic for full view
Jab Se Dekha Hai Ik Nazar Us Ko
Jahan-e-Lala-o-Gul Nazar Main Samaye Nahi
Ghuncha-e-Dil Khil K Bhi Barg-e-Zard Raha
Mousam-e-Gul To Aaye Magar Wo Aaye Nahi
Mussarat Naheed

Is Tarha Rang Tere Aankh Se Dhalte Dekhey ( Poetry by Shehzad Nayyar n Designed by Crystalline Art )

Click on pic for full view
Is Tarha Rang Tere Aankh Se Dhalte Dekhey
Phir Koi Aks Nahi Deeda-e-Tarr Main Rakha
Shehzad Nayyar

Sabhi Apne Hain Bas Tu Hi Praya Hai ( Poetry by Roqiya Ghazal n Designed by Khurram Shehzad )

Click on pic for full view
Mujhe Kaisi Jaga Ye Waqt Laya Hai
Sabhi Apne Hain Bas Tu Hi Praya Hai
Roqiya Ghazal

Humari Dastan Bhi Ajeeb Dastan Hai ( Poetry by Shabnam Iqbal n Designed by Queen Victoria )

Click on pic for full view
Humari Dastan Bhi
Ajeeb Dastan Hai
Tamaam Ho Gai Magar
Jo Sab Se Eham Baab Tha
Wo Baab Kho Gia Kahin
Hawa Na Jane Kis Tarha
Urra K Le Gai Usey
Koi Warq Idhar Gia
Koi Warq Udhar Gia
Unhi Ki Justaju Main Ab
Bhatak Rahi Hai Zindagi
Yahan Wahan, Idhar Udhar
Shabnam Iqbal

Kuch Dair Bharakte Huey Sholon Ka Dhuwaan Aur ( Designed by Bisma's Arts )

Click on pic for full view
Insan K Bikhre Huey Ajzaye Anaa Dekh
Tann Aur Hai Mann Aur Hai Dil Aur Zuban Aur
Aatish Kada-e-Ishq Main Khashak-e-Khird Daal
Kuch Dair Bharakte Huey Sholon Ka Dhuwaan Aur

Yaden Azaab Hoti Hain ( Designed by Queen Victoria )

Click on pic for full view
Jin Ka Milna Muhaal Hai Ramish
Un Ki Yaden Azaab Hoti Hain

Tumhare Khawab Humen Zindagi Se Pyare Hain (Poetry by Aatif Saeed n Designed by Creative Sign )

Click on pic for full view
Tumhare Khawab Humen Zindagi Se Pyare Hain
Ye Ista'are Mohabbat K Ista'are Hain
Aatif Saeed

Main Us Ki Chah Main Nikli ( Poetry by Nusrat Naseem n Designed by Passion Creations )

Click on pic for full view
Main Us Ki Chah Main Nikli To Thak K Baith Gai
Ye Kis Muqaam Pe Laya Hai Qalb-e-Saada Mujhe
Nusrat Naseem

Hanste Lab Aur Roti Aankhen ( Poetry by Fakhra Gul n Designed by Passion Creations )

Click on pic for full view
Hanste Lab Aur Roti Aankhen
Kaise Apna Dard Chupaen
Bol, Bata
Is Dunia K Rangeen Mailey Se
Jane Wale
Tujh Ko Kitna Yaad Karen Ab
Tere Bina Qarya Jaan Apna
Kyon Kar Hum Aabaad Karen Ab
Andar Teri Yaad Ka Barzakh
Aur Bahir Ye Dunia-dari
Jaan Aur Tann Ko Tu Hi Bata Ja
Is Do-rangi Sham-o-Sehar Se
Kab, Kaise Aazaad Karen Hum
Hans Kar Teri Yaad Manaen
Ya Ro Kar Faryad Karen Hum
Hanste Lab Aur Roti Aankhon Se
Pooch Rahe Hain
Dunia Wale Samajh Rahe Hain
Hanste Hanste Aaj Bhi Shayd
Meri Aankhen Bheeg Gai Hain

Fakhra Gul

Mera Ehsas Hi Mera Rab Hai ( Poetry by Qais Ali Meer n Designed by Umeed Malik )

Click on pic for full view
Kis Ko Dhoondon Falak Ki Wussat Main
Mera Ehsas Hi Mera Rab Hai
Qais Ali Meer

Jis taraf dekhon faqat ek rukh-e-zeba dekhon (Poetry by Nusrat Naseem n Designed by Passion Creations )

Click on pic for full view
Jis taraf dekhon faqat ek rukh-e-zeba dekhon
Wo nazar aaye na mujh ko to main phir kia dekhon

Qaid-e-tanhai main gum sum si khari hon kab se
Jis ki koi nahi manzil main wo rasta dekhon

Raha qurbat main bhi doori hi ka ehsas mujhe
Aik wehshat ka samaa hai isey kitna dekhon

Apne hathon ki lakeeron main tujhe dhoondti hon
Kaisa mujh ko meri taqdeer ne likha dekhon

Her taraf phail gai tishnagi-e-hirs-o-hawas
Shehar ka shehar hai is dour main pyasa, dekhon

Doobna mera muqaddar hai to phir dabo de mujhe
Teri aankhon main to main doobta dariya dekhon

Gham-e-doraan ne teri yaad mita di janaa
Kitna anjana lage jab tera chehra dekhon

Nusrat Naseem

Ya Rab Ho Kuch Ilaaj Meri Saada-dili Ka (Poetry by Fakhra Gul n Designed by Passion Creations )

Click on pic for full view
Ya Rab Ho Kuch Ilaaj Meri Saada-dili Ka
Makhlooq Teri Mujh Ko Satane Pe Tuli Hai
Kia Faida Baidar Agar Ho Bhi Gaye Ab
Ye Aankh Tabahi K Dahane Pe Khuli Hai
Fakhra Gul

Aik Main To Dooja Mera Raqeeb ( Designed by Arabian Artist )

Click on pic for full view
Dunia Main Do Hi Shakhs Bazouq Hain Adam
Aik Main To Dooja Mera Raqeeb