Click on pic for full view
Chaak Daaman Ko Dekha To Mila Eid Ka Chand
Apni Tasweer Kahan Bhool Gia Eid Ka Chand
Un K Abroye Khameeda Ki Tarha Teekha Hai
Apni Aankhon Main Bari Dair Chubha Eid Ka Chand
Door Veeran Baserey Main Diya Ho Jaise
Gham Ki Deewar Se Dekha To Laga Eid Ka Chand
Le K Halaat K Sehraon Main Aa Jana Hai
Aaj Bhi Khuld Ki Rangeen Fiza Eid Ka Chand
Talkhiyan Barh Gaien Jab Zeest K Pemane Main
Ghol K Dard K Maron Ne Piya Eid Ka Chand
Chashm To Wussat-e-Aflaak Main Khoi Saghar
Dil Ne Ik Aur Jagah Dhoond Liya Eid Ka Chand
Saghar Siddiqui
Click on pic for full view
Koi Kab Bhool Sakta Hai
Kabi Zeest Main Saare Warq
Purzon Ki Soorat Ho Chuke Phir Bhi
Wo Pehla Rang Jo Aankhon Main Jaga Tha
Wo Pehla Naam Jo Acha Mere Honton Ko Laga Tha
Wo Gaon Ki Kachi Si Pagdandi
Wo Pehli Rut Ki Mohabbat
Wo Ik Anjan Sa Sandesa Teri Shokh Aankhon Ka
Haya Se Wo Mera Palken Jhuka Dena
Wo Na Karte Huey Masoom Sa Iqrar Kar Dena
Wo Haan Kehte Huey Besakhta Inkar Kar Dena
Mohabbat K Ye Saare Rang
Koi Kab Bhool Sakta Hai
Fakhira Batool
Nahi Shaam-e-Safar Aisa Nahi Hai
Musafir Lout Kar Aaya Nahi Hai
Hum Itne Dukh Me Bhi Bikhre Nahi Hain
Humara Haal Tum Jaisa Nahi Hai
Tumhare Naam Ka Koi Bhi Aansu
Humari Aankh Me Thehra Nahi Hai
Fahrat Abbas Shah
Dukh Fasana Nahi K Tujh Se Kahen
Dil Bhi Maana Nahi K Tujh Se Kahen
Koi Shay
Palat Kar Wapis Nahi Aati
Siwaye Mousamon k
Kash... Tum Bhi Mousam Hote