Mohabbat Zinda Rehti Hai

A Lovely Poetry of Khalil Ullah Farooqi and Beautiful Design created by Creative Sign. His Real Name is Waseem Abbas. Creative Sign is not just a great urdu artwork designer, he is also a nice poet.

Amazing Watermelon Art

Such an Amazing and So Beautiful Watermelon Artwork by an Unknown Artist.

Lakeeren Jhoot Bolti Hain

Very Nice Poetry and Beautifully Designed by Queen Victoria. Her real Name is Shabnam Iqbal. She is one of the Most Renowned Urdu Poetry Designers.

All Because Of You

I awake each day with a smile, And greet it with a laugh, The world is a treasure to me, Because of you...

Mohabbat Sath Deti Hai

Very Beautiful Poetry and Such a Lovely Design Created by Guddo. His Real Name is Munir and His Creations are Always Most Likeable. He use Beautiful Natural Objects in his Most Creations.

Site Updated Daily.. Keep Visting :)
Showing posts with label Nusrat Naseem. Show all posts
Showing posts with label Nusrat Naseem. Show all posts

Main Us Ki Chah Main Nikli ( Poetry by Nusrat Naseem n Designed by Passion Creations )

Click on pic for full view
Main Us Ki Chah Main Nikli To Thak K Baith Gai
Ye Kis Muqaam Pe Laya Hai Qalb-e-Saada Mujhe
Nusrat Naseem

Jis taraf dekhon faqat ek rukh-e-zeba dekhon (Poetry by Nusrat Naseem n Designed by Passion Creations )

Click on pic for full view
Jis taraf dekhon faqat ek rukh-e-zeba dekhon
Wo nazar aaye na mujh ko to main phir kia dekhon

Qaid-e-tanhai main gum sum si khari hon kab se
Jis ki koi nahi manzil main wo rasta dekhon

Raha qurbat main bhi doori hi ka ehsas mujhe
Aik wehshat ka samaa hai isey kitna dekhon

Apne hathon ki lakeeron main tujhe dhoondti hon
Kaisa mujh ko meri taqdeer ne likha dekhon

Her taraf phail gai tishnagi-e-hirs-o-hawas
Shehar ka shehar hai is dour main pyasa, dekhon

Doobna mera muqaddar hai to phir dabo de mujhe
Teri aankhon main to main doobta dariya dekhon

Gham-e-doraan ne teri yaad mita di janaa
Kitna anjana lage jab tera chehra dekhon

Nusrat Naseem

Na Ab Tum Lout Kar Aana ( Poetry by Nusrat Naseem n Designed by Passion Creations )

Click on pic for full view
Bujhe hain sab charagh-e-dil na ab tum lout kar aana
Bohat sunsaan hai mehfil na ab tum lout kar aana

Na aaye tum to yaqeen uth gia sidq-e-mohabbat se
Hai chahat jazba-e-batil na ab tum lout kar aana

Bohat dushwar tha dil ka sambhal jana kabi lekin
Ye ab sehna nahi mushkil na ab tum lout kar aana

Teri rahon ko takte chal diye hum dasht-e-ulfat se
K rukhsat ho chali manzil na ab tum lout kar aana

Tum aate bhi to kia hota faqat ranj-o-alam barhte
Nahi qismat main jo shamil na ab tum lout kar aana

Bohat hum toot k bikhre faqat kuch lafz kehne main
Ye kehna kitna tha mushkil na ab tum lout kar aana

Nusrat Naseem

Mohabbaton main bhi hum izzaton k qaail they ( Poetry by Nusrat Naseem n Designed by Passion Creations )

Click on pic for full view
Mohabbaton main bhi hum izzaton k qaail they
Anaa k butt they so apni hi rah main haail they
Usey jo paya to phir kho diya usey hum ne
Ajeeb log they hum qismaton se ghaail they
Humen to gham k samundar main doobna hi tha
Safeene apne agarche qareeb-e-sahil they
Saleeqa mangne ka bhi na aa saka hum ko
Gaye jo daaman-e-khali se hum wo saail they

 Qadam they sholon pe honton pe muskurahat thi
Tumhare ishq main kuch aur bhi marahil they
Nusrat Naseem

Main Tere Sang Sada Hon Jahan Ho Tu Janaa ( Poetry by Nusrat Naseem n Designed by Passion Creations )

Click on pic for full view
Main Tere Sang Sada Hon
Jahan Ho Tu Janaa
Shab-e-Siyah Main Taron Ki Rida Ki Soorat
Zair-e-Lab Pinha Kisi Hurf-e-Dua Ki Soorat
Bahaar-e-Subha Main Baad-e-Saba Ki Soorat
Tere Wajood Main Gardish-e-Lahu Ban Kar
Falak Pe Rang-e-Dhanak Aur Gul Main Boo Ban Kar
Dil-e-Hazeen Main Betab Aarzu Ban Kar
Main Tere Sang Sada Hon
Jahan Ho Tu Janaa
Daaman-e-Abar Se Barish Ho Kabi Yadon Ki
Bhigoye Oss Jo Siskarte Se Khawabon Ki
Sahi Na Jaye Saza Hijer K Ataabon Ki
Akaile Pan Ki Udasi Mehsoor Karne Lage
Gham-e-Firaq Rag-o-Jaan Main Gr Utarne Lage
Sada Dena Mujhe Jab Bhi Tu Bikharne Lage
Main Tere Sang Sada Hon
Jahan Ho Tu Janaa...

Nusrat Naseem

Mujhe Mat Chor Kar Jana ( Poetry by Nusrat Naseem n Designed by Passion Creations )

Click on pic for full view
Pukara Karb Se Dil Ne Mujhe Mat Chor Kar Jana
Nahi Phir Raste Milne Mujhe Mat Chor Kar Jana
Judai K Tasawwar Se Ye Dharti Kanp Uthi Hai
Laga Hai Arsh Bhi Hilne Mujhe Mat Chor Kar Jana
Karo Tum Yaad Wo Pemaan Humare Sath Jeene K
Kaha Tha Dil Se Jab Dil Ne Mujhe Mat Chor Kar Jana
Musarrat Ki Kiran Phaile Gi Chatt Jaye Gi Tareeki
Wafa K Phool Hain Khilne Mujhe Mat Chor Kar Jana
Jigar Main Chaid Kar De Gi Faqat Ik Pal Ki Doori Bhi
Hain Zakham-e-Hijer Kab Silne Mujhe Mat Chor Kar Jana

Nusrat Naseem

Aao Baten Karen ( Poetry by Nusrat Naseem n Designed by Passion Creations )

Click on pic for full view
Aao Baten Karen
Un Ki Baten Karen
Ah Jin K Baghair Apni Ye Zindagi Bemaza Ho Gai
Aur Juda Ho Gaye
Rahaton K Wo Din Chahaton K Wo Din
Aalam-e-Khawab Main Jo Guzar Hi Gaye
Tum Humari Suno Hum Tumhari Sunen
Dard Ki Dastan
Karb Wo Bekaran
Dil Pe Jo Baar Hai
Le K Chalna Jise Sath Dushwar Hai
Jo Na Ho Km Magar
Sath Do Tum Agar
Lamha Bhar Ko Sahi Aik Pal Ko Sahi
Kuch Sakoon To Mile Ye Janoon To Taley
Go K Hum Jante Hain Ye Sab
Baat Karne Se To Baar Ghat'ta Nahi
Bantne Se Kabi Dard Bat'ta Nahi
Phir Bhi Baten Karen
Dil Ki Baten Karen
Aao Baten Karen
Nusrat Naseem

Kabi Tum Kuch To Bolo Na ( Poetry by Nusrat Naseem n Designed by Passion Creations )

Click on pic for full view
"Kabi tum kuch to bolo na"
Jo dil main Hain wo sab baten,
Judai k ye tapte din kaise bit'te mujh bin,
Guzarti kaise Hain raten,
Jalati Hain tere dil ko b Kia saawan ki barsaten,
Kabi tum kuch to bolo na
Jahan bhi jao tum meri Kami mehsoos karte ho,
Dekhai deti hai Surat meri her ik chehre main
Mere bin zindagi hi ajnabi mehsoos karte ho,
Bohat din se sulagte Hain hum is aag main janaa
Agr dil main koi jazba panapta hi nahi to phir
Km az km itna hi keh do
Tumhari zindgi main hum koi ma'ani nahi rakhte,
Khudara chup na raho yon
Qafl-e-lab ko khulo na,
"Kabi tum kuch to bolo na"
Nusrat Naseem

Baghair Ishq K Ijz-o-Ataa'at Be Ma'ani ( Poetry by Nusrat Naseem n Designed by Passion Creations )

Baghair Ishq K Ijz-o-Ataa'at Be Ma'ani
Talab Jo Teri Nahi To Hayat Be Ma'ani
Mila Firaq Main Wo Sakoon-o-Kaif K Ab
Wisal-o-Qarb K Sab Iltafaat Be Ma'ani
Sath Jo Tera Nahi, Zindagi Hai Be Musarraf
Ye Roz-o-Shab, Lamhat-o-Sa'at Be Ma'ani
Nusrat Naseem

Ajeeb Mousam-e-Dil Jaan K Paar Utra Hai ( Poetry of Nusrat Naseem n Designed by Passion Creations )

Ajeeb Mousam-e-Dil Jaan K Paar Utra Hai
Dhanak K Rang Main Saara Ghubar Utra Hai
Main Is Ka Shukar Karon Ya Karon Koi Shikwa
Khizan Ki Rut Main Jo Mousam-e-Bahar Utra Hai
Teri Khushi Isey Samjhon K Apni Mehroomi
Gham-e-Firaq Jo Be Ikhtiyar Utra Hai
Naya Nai Azm Naye Raston Pe Chal Niklen
Purani Rahon Se Jab Aitbar Utra Hai
Main Is Ko Kaise Sambhalon Ye Kaise Sambhale Ga
Jo Tere Baad Mere Dil Pe Baar Utra Hai
Nusrat Naseem

Koi Aisa Bhi Lamha Ho ( Poetry of Nusrat Naseem n Designed by Passion Creations )

Koi Aisa Bhi Lamha Ho
Koi Aisa Bhi Lamha Ho
Pukaron Jab Tujhe Janaa!
Sadaa Pohnchey Tere Dil Tak
Tujhe Main Dekhna Chahon
Tu Meri Dastras Main Ho
 
Koi Aisa Bhi Lamha Ho
K Rah-e-Zeest Main Janaa!
Tu Mere Sath Ho, Hathon Ko Mere Thaam Rakha Ho
Agar Main Dasht-e-Ulfat Main Qadam Rakhon
Tu Mera Humsafar Bhi Ho
Tu Mera Rehbar Bhi Ho
 
Koi Aisa Bhi Lamha Ho
Main Tere Sath Ho Jaon
To Meri Zindagi Aasaan Ho Jaye
Jo Tu Ne Mujh Se Bhandha Tha Kabi Janaa!
Wohi Toota Hua Pemaan Hi Sahi
Phir Se Wohi Pemaan Ho Jaye!
To Kuch Din Aur Jeene Ka Mujhe Imkaan Ho Jaye
Nusrat Naseem

Wafa Kahan Ki Aur Bewafai Kaisi Hai ( Poetry of Nusrat Naseem n Designed by Passion Creations )

Wafa Kahan Ki Aur Bewafai Kaisi Hai
Milan Hua Hi Nahi Phir Judai Kaisi Hai
Rahi Hon Sath Usi K Nahi Tha Jo Mera
K Dil Ne Rasm-e-Mohabbat Nibhai Kaisi Hai
Nusrat Naseem