Mohabbat Zinda Rehti Hai

A Lovely Poetry of Khalil Ullah Farooqi and Beautiful Design created by Creative Sign. His Real Name is Waseem Abbas. Creative Sign is not just a great urdu artwork designer, he is also a nice poet.

Amazing Watermelon Art

Such an Amazing and So Beautiful Watermelon Artwork by an Unknown Artist.

Lakeeren Jhoot Bolti Hain

Very Nice Poetry and Beautifully Designed by Queen Victoria. Her real Name is Shabnam Iqbal. She is one of the Most Renowned Urdu Poetry Designers.

All Because Of You

I awake each day with a smile, And greet it with a laugh, The world is a treasure to me, Because of you...

Mohabbat Sath Deti Hai

Very Beautiful Poetry and Such a Lovely Design Created by Guddo. His Real Name is Munir and His Creations are Always Most Likeable. He use Beautiful Natural Objects in his Most Creations.

Site Updated Daily.. Keep Visting :)
Showing posts with label Pyar Ki Shairy. Show all posts
Showing posts with label Pyar Ki Shairy. Show all posts

Wo Aik Socha Hua Naaz Sa Takallum Main ( Poetry by Amjad Islam Amjad n Designed by Bisma's Arts )


Uljhan
Wo Aik Socha Hua Naaz Sa Takallum Main
Nazar Main Aik Jhijhak Se Koi Banai Hui
Labon Pe Aik Tabassum Zra Lahjaya Sa
Jabeen Pe Bazam-e-Marwat Saji Sajai Hui
Dhaka Dhaka Sa Takabbar Wo Baat Sunne Main
Thi Jis Main Husn Ki Nazish
Kahin Chupai Hui
Badan Main Khof Ki Larzish Bhi Aur Daawat Bhi
Garaiz Karti Hui Aur Qareeb Aai Hui
Kuch Us Ko Dekh K Khilta Na Tha K Kia Hai
Faraib Deti Hui Ya Faraib Khai Hui
Amjad Islam Amjad

Mousam-e-Gul To Aaye Magar Wo Aaye Nahi ( Poetry by Mussarat Naheed n Designed by Passion Creations )

Click on pic for full view
Jab Se Dekha Hai Ik Nazar Us Ko
Jahan-e-Lala-o-Gul Nazar Main Samaye Nahi
Ghuncha-e-Dil Khil K Bhi Barg-e-Zard Raha
Mousam-e-Gul To Aaye Magar Wo Aaye Nahi
Mussarat Naheed

Humari Dastan Bhi Ajeeb Dastan Hai ( Poetry by Shabnam Iqbal n Designed by Queen Victoria )

Click on pic for full view
Humari Dastan Bhi
Ajeeb Dastan Hai
Tamaam Ho Gai Magar
Jo Sab Se Eham Baab Tha
Wo Baab Kho Gia Kahin
Hawa Na Jane Kis Tarha
Urra K Le Gai Usey
Koi Warq Idhar Gia
Koi Warq Udhar Gia
Unhi Ki Justaju Main Ab
Bhatak Rahi Hai Zindagi
Yahan Wahan, Idhar Udhar
Shabnam Iqbal

Zindagi Khushguman Ho Jaye ( Poetry by Naz Butt n Designed by Queen Victoria )

Click on pic for full view
Zindagi Khushguman Ho Jaye
Waqt Gar Meharban Ho Jaye
Tu Agar Hath Tham Le Mera
Ye Zameen Aasman Ho Jaye
Naz Butt

Ehsas Ko Lafzon Main Adaa Kyon Nahi Karte ( Poetry by Sabila Inam Siddiqui n Designed by Deepless Eyes )

Click on pic for full view
Ehsas Ko Lafzon Main Adaa Kyon Nahi Karte
Ulfat Hai Agar Hum Se Kaha Kyon Nahi Karte
Aa Jaye Mujhe Lene Bhi Shehzada Kahin Se
Mukhlis Ho Agar Mere Dua Kyon Nahi Karte
Sabila Inam Siddiqui

Jab Wo Mera Naam ( Designed by Queen Victoria )

Click on pic for full view
Jab Wo Mera Naam
Apne Hathon Ki Lakeeron Main
Talash Kar K Thak Gai
To Dheerey Se Sar Jhukaya
Aur Muskura K Kaha
Lakeeren Jhoot Bolti Hain

Mujhe Tum Yaad Aate Ho ( Poetry by Farhat Abbas Shah n Designed by Guddo )

Click on pic for full view
Kahin Barish Baras Jaye
Kahin Sehra Taras Jaye
Kahin Kali Ghata Utre
Kahin Bad-e-Saba Thehre
Tumhare Aur Mere Darmiyan
Aa Kar Khuda Thehre
To Meri Zindagi K Awwal-o-Aakhir
Tum Us Lamhe
Khuda K Baad Aate Ho
Mujhe Tum Yaad Aate Ho
Farhat Abbas Shah

Main Tere Sang Sada Hon Jahan Ho Tu Janaa ( Poetry by Nusrat Naseem n Designed by Passion Creations )

Click on pic for full view
Main Tere Sang Sada Hon
Jahan Ho Tu Janaa
Shab-e-Siyah Main Taron Ki Rida Ki Soorat
Zair-e-Lab Pinha Kisi Hurf-e-Dua Ki Soorat
Bahaar-e-Subha Main Baad-e-Saba Ki Soorat
Tere Wajood Main Gardish-e-Lahu Ban Kar
Falak Pe Rang-e-Dhanak Aur Gul Main Boo Ban Kar
Dil-e-Hazeen Main Betab Aarzu Ban Kar
Main Tere Sang Sada Hon
Jahan Ho Tu Janaa
Daaman-e-Abar Se Barish Ho Kabi Yadon Ki
Bhigoye Oss Jo Siskarte Se Khawabon Ki
Sahi Na Jaye Saza Hijer K Ataabon Ki
Akaile Pan Ki Udasi Mehsoor Karne Lage
Gham-e-Firaq Rag-o-Jaan Main Gr Utarne Lage
Sada Dena Mujhe Jab Bhi Tu Bikharne Lage
Main Tere Sang Sada Hon
Jahan Ho Tu Janaa...

Nusrat Naseem

Kisi Roz Barish Me Ghar Se Nikalna ( Designed by Passion Creations )

Click on pic for full view
Kisi Roz Barish Me Ghar Se Nikalna
Khizan Me Gire Toote Patton Pe Chalna
Tapakne Lage Jab Darakhton Se Pani
Tumain Yaad Aaye Gi Beeti Kahani
K Jab Hum Kisi Sham Tum Se Mile They
Mohabat K Raston Pe Hum Tum Chale They
Teri Neeli Ankhon Me Rang-e-Wafa Tha
Kanwal Jheel Me Jaise Khilne Laga Tha
Wo Saddiyon K Kissey Wo Baten Purani
Karen Yaad Kyon Kar Wo Beeti Kahani
Mohabat Ki Shamma Jala Di Bujha Di
Ajab Ik Kahani Hai Rang-e-Wafa Ki

Kabi Lafz Bhool Jaon Kabi Baat Bhool Jaon ( Designed by Passion Creations )

Click on pic for full view
Kabi Lafz Bhool Jaon Kabi Baat Bhool Jaon,
Tujhe Is Qadar Chahon Apni Zaat Bhool Jaon,
Uth Kar Kabi Jo Tere Paas Se Chal Don,
Jate Huey Khud Ko Tere Paas Bhool Jaon.

Hum To Bas Khawab Hain Kuch Pal Main Bikharne Wale...!! ( Designed by Asif's Creation )

Click on pic for full view
Hum To Bas Khawab Hain
Kuch Pal K Liye Dekho Humen
Phir Kisi Aankh Kisi Neend
Main Aane K Nahi
Phir Kisi Rah Kisi Mor Per
Hum Hon Gey Nahi
Hum To Bas Gard Hain
Kuch Dair Main Mit Jaen Gey
Hum To Khushbu Hain
Humen Rang Na Koi Dena
Sirf Ehsas Ko Choo Kar Hai Guzar Jana Humen
Hum To Aansu Hain Bahen Gey
To Na Loten Gey Kabi
Hum To Bas Zakham Hain
Seeney Ka.....Humen Bharna Hai
Hum Wo Ehsas Ki Bailen Hain Jo Chaon Chahen
Door Ki Dhoop Jo Choo Le To Humen Marna Hai
Hum To Bas Khawab Hain Kuch Pal Main Bikharne Wale...!!

Sabab Jo Dhoondo Gey To Umren Beet Jaen Gi ( Designed by Black Pearl )

Click on pic for full view
Sabab Jo Dhoondo Gey To Umren Beet Jaen Gi
Kaha Naa Yaad Aate Ho To Bas Phir Yaad Aate Ho

Aaiye Barishon Ka Mousam Hai ( Designed by Anamika )

Click on pic for full view
Aaiye Barishon Ka Mousam Hai
In Dino Chahaton Ka Mousam Hai
Kyon Lagate Ho Pyar Per Pehre
Umer Hai Khawahishon Ka Mousam Hai
Waqt Be Waqt Ghar Se Mat Niklo
Her Gali Aashiqon Ka Mousam Hai
Aaj Kuch Maang Lo Naseem Un Se
Aaj Farmaishon Ka Mousam Hai

Tumhain Mujh Se Mohabbat Thi ( Poetry by Seema Ghazal n Designed by Maira Haider )

Click on pic for full view
Shikayat
Mujhe Tum Se Shikayat Hai
K Tum Ne Umer Bhar Mujh Ko
Khabar Ye Bhi Na Hone Di
Tumhain Mujh Se Mohabbat Thi
Seema Ghazal

Sakoot-e-Qarb Main Utro To Yaad Kar Lena ( Designed by Waheed's Art )

Click on pic for full view
Sakoot-e-Qarb Main Utro To Yaad Kar Lena
Kabi Jo Toot K Bikhro To Yaad Kar Lena
Khushi K Waqt Main Chahe Humen Bhula Dena
Ghamon Ki Rah Jo Dekho To Yaad Kar Lena
Ganwa Na Dena Kahin Umer Pashemani Main
Khud Apne Aap Se Uljho To Yaad Kar Lena
Maana Tum Guftagu K Mahir Ho
Wafa K Lafz Pe Atko To Yaad Kar Lena

Agar Tum Pas Rehte To ( Designed by Guddo )

Click on pic for full view
Mohabbat K Sawalon Ko Hawale Mil Gaye Hote
Jahan Phoolon Ko Khilna Tha Wahin Per Khil Gaye Hote
Meer Emaan Ki Takmeel Bhi Aasan Ho Jati
Faraiyat Mujhe Be Simt Raston Per Na Bhatkati
Zaroort Mujh Ko Be Awaz Chehron Se Na Milwati
Hazar Sooraton Main Yon Kabi Tajseem Na Hota
Agar Tum Pas Rehte To
Main Yon Taqseem Na Hota...!!

Aao Baten Karen ( Poetry by Nusrat Naseem n Designed by Passion Creations )

Click on pic for full view
Aao Baten Karen
Un Ki Baten Karen
Ah Jin K Baghair Apni Ye Zindagi Bemaza Ho Gai
Aur Juda Ho Gaye
Rahaton K Wo Din Chahaton K Wo Din
Aalam-e-Khawab Main Jo Guzar Hi Gaye
Tum Humari Suno Hum Tumhari Sunen
Dard Ki Dastan
Karb Wo Bekaran
Dil Pe Jo Baar Hai
Le K Chalna Jise Sath Dushwar Hai
Jo Na Ho Km Magar
Sath Do Tum Agar
Lamha Bhar Ko Sahi Aik Pal Ko Sahi
Kuch Sakoon To Mile Ye Janoon To Taley
Go K Hum Jante Hain Ye Sab
Baat Karne Se To Baar Ghat'ta Nahi
Bantne Se Kabi Dard Bat'ta Nahi
Phir Bhi Baten Karen
Dil Ki Baten Karen
Aao Baten Karen
Nusrat Naseem

Tujhe Dekh Kar Janaa Mousam-e-Bahar Likhta ( Poetry by Faisal Shabir n Designed by Waheed's Art )

Click on pic for full view
Tujhe Dekh Kar Janaa Mousam-e-Bahar Likhta
Tere Labon Ko Mohabbat Ki Main Aabshar Likhta
Tu Ghazal Hoti To Tujhe Tarashta Kuch Is Tarha
Chandni Ko Khushbu Aur Chand Ko Tera Rukhsar Likhta

Gr Pochti Tu Kabi Mujh Se Mohabbat Ka Sawal
Kitab-e-Zindagi Ki Her Satar Pay Faqat Iqrar Likhta
Tu Sath Hoti Mere Aur Tham Jati Waqt Ki Raftar
Wisal K Ik Lamhe Ko Janaa Pyar Beshumar Likhta
Gr Hota Main Shayar To Bana K Tujhe Ik Nazam
Shairy Ko Apni Teri Chahaton Ka Khumar Likhta
Kabi Jo Achanak Mayassar Aa Jata Deedar Ka Lamha
Tujhe Dekh Kar Faisal Aankhon Se Izhaar Likhta.

Faisal Shabir

Zindagi Mohabbat Hai Aur Pyar Jeevan Hai ( Poetry by Sada Hussain Sada n Designed by S M Arshad )

Click on pic for full view
Zindagi Mohabbat Hai Aur Pyar Jeevan Hai
Sath Hai Tumhara To Pur Bahar Jeevan Hai
Chahte Hain Kitna Tum Ko Sanam Bataen Kia
Her Adaa Pe Teri Dil Kia Nisaar Jeevan Hai
Kia Kahen Sambhale Bhi Dil Nahi Sambhalta Ab
Lout Kar Chale Aao Beqarar Jeevan Hai
Sada Hussain Sada

Khawab Aur Khushbu ( Designed by Raja Azhar )

Click on pic for full view
Khawab Aur Khushbu
Dono Hi Azad Ro Hain
Dono Qaid Nahi Ho Sakte
Mere Khawab
Tumhari Khushbu...!!