Mohabbat Zinda Rehti Hai

A Lovely Poetry of Khalil Ullah Farooqi and Beautiful Design created by Creative Sign. His Real Name is Waseem Abbas. Creative Sign is not just a great urdu artwork designer, he is also a nice poet.

Amazing Watermelon Art

Such an Amazing and So Beautiful Watermelon Artwork by an Unknown Artist.

Lakeeren Jhoot Bolti Hain

Very Nice Poetry and Beautifully Designed by Queen Victoria. Her real Name is Shabnam Iqbal. She is one of the Most Renowned Urdu Poetry Designers.

All Because Of You

I awake each day with a smile, And greet it with a laugh, The world is a treasure to me, Because of you...

Mohabbat Sath Deti Hai

Very Beautiful Poetry and Such a Lovely Design Created by Guddo. His Real Name is Munir and His Creations are Always Most Likeable. He use Beautiful Natural Objects in his Most Creations.

Site Updated Daily.. Keep Visting :)
Showing posts with label Sunny Shah. Show all posts
Showing posts with label Sunny Shah. Show all posts

Jin Ko Suraj Meri Chokhat Se Mila Karta Tha ( Designed by Sunny Shah )

Click on pic for full view
Jin Ko Suraj Meri Chokhat Se Mila Karta Tha
Ab Wo Khairaat Main Dete Hain Ujale Mujh Ko

Talab Ko Ajar Na Don Fiker-e-Rahguzar Na Karon ( Poetry by Mohsin Naqvi n Designed by Sunny Shah )

Click on pic for full view
Talab Ko Ajar Na Don Fiker-e-Rahguzar Na Karon
Safar Main Ab K Hawa Ko Bhi Humsafar Na Karon
Ubharte Doobte Suraj Se Tor Lon Rishta
Main Sham Orrh K So Jaon Aur Sehar Na Karon
Ye Mere Dard Ki Dolat Meri Mata-e-Firaq
In Aansuon Ki Wazahat Main Umer Bhar Na Karon
Ujaar Shab Ki Khalash Ban K Ban Main Kho Jaon
Main Chandni Ki Tarha Khud Ko Dar Badar Na Karon
Wo Aik Pal Ko Dikhai To De Kahin Mohsin
Main Jaan Ganwa Kar Bhi Us Pal Ko Mukhtasir Na Karon
Mohsin Naqvi

Ye Khoobru Log Jin Ki Aankhen ( Poetry by Mohsin Naqvi n Designed by Sunny Shah )

Click on pic for full view
Ye Khoobru Log Jin Ki Aankhen
Tumhare Ujley Badan Per Chispaan
Tumhare Naqsh-e-Qadam Ki Khushbu Main
Sabt Aise
Bhanwar Main Jaise Hina K Pattey
Main Sochta Hon
K Itni Aankhon K Dairon Main
Meri Akaili
Udas Aankhon Ki
Hesiyat Kia Hai
Meri Wafa Ka Muqaam Kia Hai
Meri Mohabbat Ka Naam Kia Hai
Mohsin Naqvi

Her Ghazal Ka Kanwal ( Poetry by Mohsin Naqvi n Designed by Sunny Shah )

Nehkton Se Bhari
Ambreen Sa'aton
Yam Ba Yam Rahaton
Muskuraton Hui Sooraton K Liye
Hanste Baste Badan Ki
Mehakte Baste Badan Ki
Subho Jaisi Kiran Kaanch
Barfab Si Mooraton K Liye
Us K Nazuk Nafs
Husn K Naam Hai
Her Ghazal Ka Kanwal
Mohsin Naqvi

Kuch Kaghaz Gungey Lafzon K ( Poetry of Athar Hamdani n Designed by Sunny Shah )

Amaanat
Kuch Kaghaz Gungey Lafzon K
Kuch Rang Barangi Si Yaden
Kuch Sookhey Phool Gulabon K
Kuch Khawab Adhoori Raton K
Un Khawabon Ki Kuch Tabeeren
Kuch Gungi Behri Tasweeren
Mere Pas Amaanat Hain Teri
Jab Chaho Aa Kar Le Jana!!!
Athar Hamdani

Suna Hai Aaina Tamsaal Hai Jabeen Us Ki

Suna Hai Aaina Tamsaal Hai Jabeen Us Ki
Jo Saada Dil Hain Usey Ban Sanwar K Dekhte Hain