Mohabbat Zinda Rehti Hai

A Lovely Poetry of Khalil Ullah Farooqi and Beautiful Design created by Creative Sign. His Real Name is Waseem Abbas. Creative Sign is not just a great urdu artwork designer, he is also a nice poet.

Amazing Watermelon Art

Such an Amazing and So Beautiful Watermelon Artwork by an Unknown Artist.

Lakeeren Jhoot Bolti Hain

Very Nice Poetry and Beautifully Designed by Queen Victoria. Her real Name is Shabnam Iqbal. She is one of the Most Renowned Urdu Poetry Designers.

All Because Of You

I awake each day with a smile, And greet it with a laugh, The world is a treasure to me, Because of you...

Mohabbat Sath Deti Hai

Very Beautiful Poetry and Such a Lovely Design Created by Guddo. His Real Name is Munir and His Creations are Always Most Likeable. He use Beautiful Natural Objects in his Most Creations.

Site Updated Daily.. Keep Visting :)
Showing posts with label Nazam. Show all posts
Showing posts with label Nazam. Show all posts

Wo Aik Socha Hua Naaz Sa Takallum Main ( Poetry by Amjad Islam Amjad n Designed by Bisma's Arts )


Uljhan
Wo Aik Socha Hua Naaz Sa Takallum Main
Nazar Main Aik Jhijhak Se Koi Banai Hui
Labon Pe Aik Tabassum Zra Lahjaya Sa
Jabeen Pe Bazam-e-Marwat Saji Sajai Hui
Dhaka Dhaka Sa Takabbar Wo Baat Sunne Main
Thi Jis Main Husn Ki Nazish
Kahin Chupai Hui
Badan Main Khof Ki Larzish Bhi Aur Daawat Bhi
Garaiz Karti Hui Aur Qareeb Aai Hui
Kuch Us Ko Dekh K Khilta Na Tha K Kia Hai
Faraib Deti Hui Ya Faraib Khai Hui
Amjad Islam Amjad

Humari Dastan Bhi Ajeeb Dastan Hai ( Poetry by Shabnam Iqbal n Designed by Queen Victoria )

Click on pic for full view
Humari Dastan Bhi
Ajeeb Dastan Hai
Tamaam Ho Gai Magar
Jo Sab Se Eham Baab Tha
Wo Baab Kho Gia Kahin
Hawa Na Jane Kis Tarha
Urra K Le Gai Usey
Koi Warq Idhar Gia
Koi Warq Udhar Gia
Unhi Ki Justaju Main Ab
Bhatak Rahi Hai Zindagi
Yahan Wahan, Idhar Udhar
Shabnam Iqbal

Hanste Lab Aur Roti Aankhen ( Poetry by Fakhra Gul n Designed by Passion Creations )

Click on pic for full view
Hanste Lab Aur Roti Aankhen
Kaise Apna Dard Chupaen
Bol, Bata
Is Dunia K Rangeen Mailey Se
Jane Wale
Tujh Ko Kitna Yaad Karen Ab
Tere Bina Qarya Jaan Apna
Kyon Kar Hum Aabaad Karen Ab
Andar Teri Yaad Ka Barzakh
Aur Bahir Ye Dunia-dari
Jaan Aur Tann Ko Tu Hi Bata Ja
Is Do-rangi Sham-o-Sehar Se
Kab, Kaise Aazaad Karen Hum
Hans Kar Teri Yaad Manaen
Ya Ro Kar Faryad Karen Hum
Hanste Lab Aur Roti Aankhon Se
Pooch Rahe Hain
Dunia Wale Samajh Rahe Hain
Hanste Hanste Aaj Bhi Shayd
Meri Aankhen Bheeg Gai Hain

Fakhra Gul

Sab Kuch Adhoora Hai ( Designed by Guddo )

Click on pic for full view
Sab Kuch Adhoora Hai
Kaie Jazbey
Kisi Paikar Main Dhalne Ko Tarapte Hain
Kaie Aansu
Sarmasargaan Ubharne Ko Machalte Hain
Kaie Mousam
Udasi K Samundar Main Dharakte Hain
Kaie Jugnu
Sitaron Ki Tarha Khilne Ko Marte Hain
Kaie Waadey
Abi Aankhon Main Jalte Hain
Kabi Fursat Mile To Lout Aao
Tumhare Bin Yahan Sab Kuch Adhoora Hai

Mujhe Qaim Rehna Tha ( Designed by Saqib Zeeshan )

Click on pic for full view
Us Ki Fitrat Parindon Si Thi
Aur Mera Mizaj Darakhton Sa
Usey Urr Hi Jana Tha
Mujhe Qaim Rehna Tha

Main Bahaaron Ki Pyamber Thi ( Poetry by Erum Zehra n Designed by Pasha Shah )

Click on pic for full view
Kisi Ki Badua K Asar Main Hon
Main Bahaaron Ki Pyamber Thi
Aaj Ujre Huey Chaman Main Hon
Erum Zehra

Lout Aao.. ( Designed by Nida's Art )

Click on pic for full view
Lout Aao...
K Main Ne Suna Hai
Khud Se Baten Karne Wale
Aksar Pagal Ho Jate Hain

Raat Ko Aksar Aisa Hota Hai ( Poetry by Gulzar n Designed by Bisma's Arts )

Click on pic for full view
Raat Ko Aksar Aisa Hota Hai...!! Parwane Aa Kar
 Table Lamp K Gird Agathey Ho Jate Hain
Sunte Hain...!! Sir Dhante Hain
Sun K Sab Ashaar Ghazal K
Jab Bhi Main Deewan-e-Ghalib
Khol K Parhne Bethta Hon
Subha Ko Phir Deewan K Roshan Safhon Se
Parwano Ki Raakh Uthani Parti Hai
Samporn Singh Gulzar

Ay Baad-e-Saba Eid Mubarak Usey Kehna

Click on pic for full view
Ay Baad-e-Saba Eid Mubarak Usey Kehna
Kehna K Koi Karta Hai Tujhe Yaad Abi Tak
Ik Dil Teri Yadon Se Hai Abaad Abi Tak
Kehna K Humen Eid-e-Guzishta Ki Tarah Se
Shiddat Se Khayal Aaye Ga Is Baat Ka Din Bhar
Ik Aur Baras Beet Gia Tujh Se Bichar Kar
Kehna Ye Faqat Un K Liye Eid Ka Din Hai
Jin K Liye Mehboob Ki Ye Deed Ka Din Hai
Ay Kash K Ye Eid Bhi Apne Liye Hoti
Mehndi Se Tera Naam Apne Hath Pe Likhte
Ay Kash K Is Saal To Hum Eid Manate

Jab Wo Mera Naam ( Designed by Queen Victoria )

Click on pic for full view
Jab Wo Mera Naam
Apne Hathon Ki Lakeeron Main
Talash Kar K Thak Gai
To Dheerey Se Sar Jhukaya
Aur Muskura K Kaha
Lakeeren Jhoot Bolti Hain

Tehwar-e-Eid ( Poetry by Parveen Shakir n Designed by Creative Sign )

Click on pic for full view
Tehwar-e-Eid
Na Main Ne Chand Ko Dekha
Aur Na Koi Tehniyat Ka Phool Khirki Se Uthaya
Mera Malboos Ab Bhi Malgja Hai
Hina Se Hath Khali Aur Choori Se Khali
Na Mere Paas They Tum Aur
Na Mere Shehar Se Guzre
Main Kia Afshan Lagati
Maang Main Sindoor Bharti
Rang Aur Khushbu Pehanti
Chand Ki Janib Nazar Karti
K Meri Lazzat-e-Deedar Tum Ho
Mera Tehwar To Tum Ho

Parveen Shakir

Suno! Ay Mom Ki Gurya ( Designed by Waheed's Art )

Click on pic for full view
Suno! Ay Mom Ki Gurya
Suno! Ay Mom Ki Gurya
Ab Is Dour K Andar
Koi Majnu Nahi Banta Koi Ranjha Nahi Hota
Qadam Do Chaar Chalne Se
Safar Saanjha Nahi hota
To In Bekaar Sochon Pe
Suno! Rone Ka Dar Kaisa
Jise Paya Nahi Tum Ne
Usey Khone Ka Dar Kaisa

Mujhe Tum Yaad Aate Ho ( Poetry by Farhat Abbas Shah n Designed by Guddo )

Click on pic for full view
Kahin Barish Baras Jaye
Kahin Sehra Taras Jaye
Kahin Kali Ghata Utre
Kahin Bad-e-Saba Thehre
Tumhare Aur Mere Darmiyan
Aa Kar Khuda Thehre
To Meri Zindagi K Awwal-o-Aakhir
Tum Us Lamhe
Khuda K Baad Aate Ho
Mujhe Tum Yaad Aate Ho
Farhat Abbas Shah

Main Bohat Thak Gai Thi ( Poetry by Rabia Basri n Designed by Guddo )

Click on pic for full view
Main Bohat Thak Gai Thi
Tumhari Be-Aitnai Bari Jaan Leva Thi
Jabhi
Ik Shajar Apna Saya Liye Meri Aur Aaya
To Main Ne
Umer Bhar K Liye
Us Ki Chaon Orrh Lene Ka Faisla Kar Liya
Teri Yadon Se Khud Ko Reha Kar Liya
Suno Ho Sake To
Khud Ko Meri Jaga Rakh K Sochna
Aur Dil Ki Chubhan
Meri Uljhan
Safar Ki Thakan Samne Rakh K
Mujhe Maaf Kar Dena
Rabia Basri

Main Tere Sang Sada Hon Jahan Ho Tu Janaa ( Poetry by Nusrat Naseem n Designed by Passion Creations )

Click on pic for full view
Main Tere Sang Sada Hon
Jahan Ho Tu Janaa
Shab-e-Siyah Main Taron Ki Rida Ki Soorat
Zair-e-Lab Pinha Kisi Hurf-e-Dua Ki Soorat
Bahaar-e-Subha Main Baad-e-Saba Ki Soorat
Tere Wajood Main Gardish-e-Lahu Ban Kar
Falak Pe Rang-e-Dhanak Aur Gul Main Boo Ban Kar
Dil-e-Hazeen Main Betab Aarzu Ban Kar
Main Tere Sang Sada Hon
Jahan Ho Tu Janaa
Daaman-e-Abar Se Barish Ho Kabi Yadon Ki
Bhigoye Oss Jo Siskarte Se Khawabon Ki
Sahi Na Jaye Saza Hijer K Ataabon Ki
Akaile Pan Ki Udasi Mehsoor Karne Lage
Gham-e-Firaq Rag-o-Jaan Main Gr Utarne Lage
Sada Dena Mujhe Jab Bhi Tu Bikharne Lage
Main Tere Sang Sada Hon
Jahan Ho Tu Janaa...

Nusrat Naseem

Ajnabi Sham ( Poetry by Samina Raja n Designed by Arabian Artist )

Click on pic for full view
Ajnabi Sham Aankhon K Raste Main Thehri Hui Hai
Khmoshi K Jaisi Hawa Narm Ro Hai
Hawa Ki Nashebi Guzargah Per
Apne Saye Samete Huey
Sab Shajar Sadhuon Ki Tarha Chup Khare Hain
Kisi Dehaan Main Gum...Kisi Jaap K Sehar Main
Baad-e-Sar Sabz Ka
Koi Chanchal Sa Jhonka Jo Guzre
To Sab Chonk Uthte Hain
Pat Jharr Se Surkhaye Kuch Paat Jharte Hain
Aur Door Tak Raston Per Bikhar Jate Hain
Bareek Boondon Ki Rim Jhim Se Halki Hawa Main Nami Hai
Fiza Surmai
Aur Mere Dil Main Ik Aashna Ki Kami Hai
Samina Raja

Chahta Tha Me Toot Kar Us Ko ( Designed by Guddo )

Click on pic for full view
Chahta Tha Me Toot Kar Us Ko
Wo Bhi Mujh Per Fareefta Tha Bohat
Hum They Aik Jaan Aur Do Qalib
Wisal Hota Tha Jab Naseeb Humen
Dono Ik Doosre Se Kehte They
Hijer Hum Ko Na Raas Aaye Ga
Hum Jo Bichre To Bas Yehi Ho Ga
Saans Ki Dor Toot Jaye Gi
Mout Hum Ko Gale Lagaye Gi
Aur Phir Ye Hua K Qismat Ne
Doosre Ka Bana Diya Us Ko
Gham To Mujh Ko Bohat Hua Lekin
Toot Pai Na Saans Ki Dori
Aur Phir Aik Din Ba Majboori
Main Bhi Tajdeed-e-Ishq Kar Betha
Ehd-o-Pemaan Kiye They Jo Hum Ne
Ab Kahan Un Ki Yaad Taza Hai
Jaan Se Guzra Na Ishq Main Koi
Main Bhi Zinda Hon Wo Bhi Zinda Hai

Hararat ( Designed by Passion Creations )

Click on pic for full view
Sardiyon Ki
Yakh Bastgi Main
Kahin Mere Andar
Main Ne
Pai Hai Aisi Hararat
Jo Naqabil-e-Shikast Hai

Hum To Bas Khawab Hain Kuch Pal Main Bikharne Wale...!! ( Designed by Asif's Creation )

Click on pic for full view
Hum To Bas Khawab Hain
Kuch Pal K Liye Dekho Humen
Phir Kisi Aankh Kisi Neend
Main Aane K Nahi
Phir Kisi Rah Kisi Mor Per
Hum Hon Gey Nahi
Hum To Bas Gard Hain
Kuch Dair Main Mit Jaen Gey
Hum To Khushbu Hain
Humen Rang Na Koi Dena
Sirf Ehsas Ko Choo Kar Hai Guzar Jana Humen
Hum To Aansu Hain Bahen Gey
To Na Loten Gey Kabi
Hum To Bas Zakham Hain
Seeney Ka.....Humen Bharna Hai
Hum Wo Ehsas Ki Bailen Hain Jo Chaon Chahen
Door Ki Dhoop Jo Choo Le To Humen Marna Hai
Hum To Bas Khawab Hain Kuch Pal Main Bikharne Wale...!!

Meri Dehleez Per Bethi Hui ( Poetry by Gulzar n Designed by Bisma's Arts )

Click on pic for full view
Meri Dehleez Per Bethi Hui
Zanon Pe Sar Rakhe
Ye Shab Afsos Karne Aai Hai
K Mere Ghar Pe
Aaj Hi Jo Mar Gia Hai Din
Wo Din Hamzaad Tha Is Ka
Wo Aai Hai K Mere Ghar Main Us Ko
Dafan Kar K Aik Diya Dehleez Per Rakh Kar
Nishani Chor De K Mehv Hai Ye Qabar
Is Main Koi Dosra Aa Kar Nahi Lete
Main Shab Ko Kaise Batlaon
Bohat Din Mere Aangan Main Yon Aadhe Adhoore Se
Kafa Orrhay Parre Hain Kitne Salon Se
Jinhen Main Aaj Tak Dafna Nahi Paya
Sampooran Singh Gulzar