Click on pic for full view
Jis taraf dekhon faqat ek rukh-e-zeba dekhon
Wo nazar aaye na mujh ko to main phir kia dekhon
Qaid-e-tanhai main gum sum si khari hon kab se
Jis ki koi nahi manzil main wo rasta dekhon
Raha qurbat main bhi doori hi ka ehsas mujhe
Aik wehshat ka samaa hai isey kitna dekhon
Apne hathon ki lakeeron main tujhe dhoondti hon
Kaisa mujh ko meri taqdeer ne likha dekhon
Her taraf phail gai tishnagi-e-hirs-o-hawas
Shehar ka shehar hai is dour main pyasa, dekhon
Doobna mera muqaddar hai to phir dabo de mujhe
Teri aankhon main to main doobta dariya dekhon
Gham-e-doraan ne teri yaad mita di janaa
Kitna anjana lage jab tera chehra dekhon
Nusrat Naseem
Click on pic for full view
Bujhe hain sab charagh-e-dil na ab tum lout kar aana
Bohat sunsaan hai mehfil na ab tum lout kar aana
Na aaye tum to yaqeen uth gia sidq-e-mohabbat se
Hai chahat jazba-e-batil na ab tum lout kar aana
Bohat dushwar tha dil ka sambhal jana kabi lekin
Ye ab sehna nahi mushkil na ab tum lout kar aana
Teri rahon ko takte chal diye hum dasht-e-ulfat se
K rukhsat ho chali manzil na ab tum lout kar aana
Tum aate bhi to kia hota faqat ranj-o-alam barhte
Nahi qismat main jo shamil na ab tum lout kar aana
Bohat hum toot k bikhre faqat kuch lafz kehne main
Ye kehna kitna tha mushkil na ab tum lout kar aana
Nusrat Naseem
Click on pic for full view
Chup Na Rehte Byan Ho Jate
Tujh Se Gr Badguman Ho Jate
Zabt-e-Gham Ne Bachaa Liya Warna
Hum Koi Dastaan Ho Jate
Tu Ne Dekha Nahi Palat K Humen
Warna Hum Meharban Ho Jate
Tere Qissay Main Hum Bhala Khud Se
Kis Liye Badguman Ho Jate
Tere Dil Ki Zameen Hi Na Mili
Warna Hum Aasman Ho Jate
Noshi Gillani
Click on pic for full view
Jane Ko Naye Baras Main Zeena To Na Hota
Ay Kash December Ka Maheena To Na Hota
Aaye Ga Naya Saal Bhi Le Kar Guzishta Haal
Her Saal Ka Bas Aik Qareena To Na Hota
Gham K Pila K Jaam Guzarte Hain Saare Saal
Ay Kash Kisi Saal Ye Peena To Na Hota
Dil Is Qadar Hai Tang K Deta Hai Sadaen
Ay Kash Mere Gird Ye Seena To Na Hota
Badle Ga Naya Saal, Na Badlen Gey Hum Ali
Ay Kash K Is Tor Ye Jeena To Na Hota
Click on pic for full view
Din nikle to soch alag sham dhale wajdan alag,
Umeed alag aas alag sukoon alag tufan alag,
Tashbeeh don to kis se k tere husn ka her rang,
Neel alag zamurd alag yaqoot alag marjan alag,
Teri ulfat k takaze bhi ajab andaz k they,
Iqrar alag takrar alag tehzeem alag farman alag,
Gar sath nahi ab de sakte to bant do yakjan lamhe,
Masroor alag nidhal alag purkaif alag preshan alag,
Waqt-e-rukhsat alvida ka lafz jab kehne lage,
Aansu alag muskan alag betabi alag hijan alag,
Jab chor gaye tab dekha apni aankhon ka rang,
Hairan alag pasheman alag sunsan alag biyaban alag.
Click on pic for full view
Mohabbaton main bhi hum izzaton k qaail they
Anaa k butt they so apni hi rah main haail they
Usey jo paya to phir kho diya usey hum ne
Ajeeb log they hum qismaton se ghaail they
Humen to gham k samundar main doobna hi tha
Safeene apne agarche qareeb-e-sahil they
Saleeqa mangne ka bhi na aa saka hum ko
Gaye jo daaman-e-khali se hum wo saail they
Qadam they sholon pe honton pe muskurahat thi
Tumhare ishq main kuch aur bhi marahil they
Nusrat Naseem
Click on pic for full view
Usey Betab Ho Kar Sochti Hon
Main Ik Gulfam Aksar Sochti Hon
Hui Haail Kuch Aisi Badgumani
Main Ik Heeray Ko Pathar Sochti Hon
Wo Ik Lamha Jo Beeta Kal Hai Mera
Main Her Lamha Wo Manzar Sochti Hon
Hon Jis Ki Zaat Se Wabasta Kab Se
Ab Us Ko Apna Mehvar Sochti Hon
Meri Doli Jahan Se Sajh K Nikli
Main Babul Ka Wohi Ghar Sochti Hon
Ye Hao Hu Badan K Ghao Per Hai
Magar Main Dil K Nishtar Sochti Hon
Tumhari Yaad K Badal Jo Aaye
To Ban K Baad-e-SarSar Sochti Hon
Sabila Kia Kahe Manzil Kahan Hai
Khuda Shahid Hai Jo Dar Sochti Hon
Sabila Inam Siddiqui
Click on pic for full view
Gr Wafa Main Janoon Nahi Milta
Zindagi Bhar Sakoon Nahi Milta
Dil Ye Bhanwra Bana Phire Kab Tak
Her Nazar Main Fasoon Nahi Milta
Aashiqi Zindagi Banati Hai
Ishq Main Sir Nigoon Nahi Milta
Sada Hussain Sada
Click on pic for full view
Wo Sawan Jis Main Zulfon Ki Ghata Chai Nahi Hoti
Jo Barse Bhi To Serab Apni Tanhai Nahi Hoti
Janab-e-Ishq Karte Hain Karam Kuch Khas Logon Per
Her Insan K Muqaddar Main To Ruswai Nahi Hoti
Samundar Pur Sakoon Hai Is Liye Gehra Bhi Hai Warna
Machalti Nadiyon Main Koi Gehrai Nahi Hoti
Ye Wa'az Hai, Nahi Taqreer Main Rakhta Jawab Apna
Magar Us Shakhs Ki Baton Main Sachai Nahi Hoti
Qateel Shafai
Click on pic for full view
Kisi Roz Barish Me Ghar Se Nikalna
Khizan Me Gire Toote Patton Pe Chalna
Tapakne Lage Jab Darakhton Se Pani
Tumain Yaad Aaye Gi Beeti Kahani
K Jab Hum Kisi Sham Tum Se Mile They
Mohabat K Raston Pe Hum Tum Chale They
Teri Neeli Ankhon Me Rang-e-Wafa Tha
Kanwal Jheel Me Jaise Khilne Laga Tha
Wo Saddiyon K Kissey Wo Baten Purani
Karen Yaad Kyon Kar Wo Beeti Kahani
Mohabat Ki Shamma Jala Di Bujha Di
Ajab Ik Kahani Hai Rang-e-Wafa Ki
Click on pic for full view
Azab dar Azab Dekhe Hain Hum Ne
Kaie Bikharte Khawab Dekhe Hain Hum Ne
Haqarton Ki Rut Bulai Hai Kis Ne
Bilakte Kuch Gulab Dekhe Hain Hum Ne
Sada Hussain Sada
Click on pic for full view
Ashaaq K Taeen Hai Ajz-o-Niaz Wajib
Hai Farz-e-Ain Rona Dil Ka Gadaaz Wajib
Meer Taqi Meer
Click on pic for full view
Pro Diye Mere Aansu Hawa Ne Shakhon Main
Bharam Bahar Ka Baqi Rahe Nigahon Main
Saba To Kia K Mujhe Dhoop Tak Jaga Na Saki
Kahan Ki Nend Utar Aai Hai In Aankhon Main
Kuch Itni Taiz Hai Surkhi K Dil Dharakta Hai
Kuch Aur Rang Pas-e-Rang Hai Gulabon Main
Spurdgi Ka Nasha Tootne Nahi Paata
Anaa Samai Hui Hai Wafa Ki Bahon Main
Badan Pe Girti Chali Ja Rahi Hai Khawab Si Barf
Khanak Spedi Ghuli Ja Rahi Hai Sanson Main
Parveen Shakir
Click on pic for full view
Aik Muddat Se Tujhe Wird Main Rakha Jis Ne
Wo Mohabbat Main Qalandar Bhi To Ho Sakta Hai
Tere Koochey Main Jo Aaya Hai Ghulamon Ki Tarha
Wo Apni Basti Ka Sikandar Bhi To Ho Sakta Hai
Silsila Waar Agar Ashk Giraye Jaen
Ye Jo Sehra Hai Samundar Bhi To Ho Sakta Hai
Kab Talak Tere Khayalon K Sahare Pe Jiyen
Dil Teri Yaad Se Munkar Bhi To Ho Sakta Hai
Click on pic for full view
Talab Ko Ajar Na Don Fiker-e-Rahguzar Na Karon
Safar Main Ab K Hawa Ko Bhi Humsafar Na Karon
Ubharte Doobte Suraj Se Tor Lon Rishta
Main Sham Orrh K So Jaon Aur Sehar Na Karon
Ye Mere Dard Ki Dolat Meri Mata-e-Firaq
In Aansuon Ki Wazahat Main Umer Bhar Na Karon
Ujaar Shab Ki Khalash Ban K Ban Main Kho Jaon
Main Chandni Ki Tarha Khud Ko Dar Badar Na Karon
Wo Aik Pal Ko Dikhai To De Kahin Mohsin
Main Jaan Ganwa Kar Bhi Us Pal Ko Mukhtasir Na Karon
Mohsin Naqvi
Click on pic for full view
Chaak Daaman Ko Dekha To Mila Eid Ka Chand
Apni Tasweer Kahan Bhool Gia Eid Ka Chand
Un K Abroye Khameeda Ki Tarha Teekha Hai
Apni Aankhon Main Bari Dair Chubha Eid Ka Chand
Door Veeran Baserey Main Diya Ho Jaise
Gham Ki Deewar Se Dekha To Laga Eid Ka Chand
Le K Halaat K Sehraon Main Aa Jana Hai
Aaj Bhi Khuld Ki Rangeen Fiza Eid Ka Chand
Talkhiyan Barh Gaien Jab Zeest K Pemane Main
Ghol K Dard K Maron Ne Piya Eid Ka Chand
Chashm To Wussat-e-Aflaak Main Khoi Saghar
Dil Ne Ik Aur Jagah Dhoond Liya Eid Ka Chand
Saghar Siddiqui
Click on pic for full view
Aaiye Barishon Ka Mousam Hai
In Dino Chahaton Ka Mousam Hai
Kyon Lagate Ho Pyar Per Pehre
Umer Hai Khawahishon Ka Mousam Hai
Waqt Be Waqt Ghar Se Mat Niklo
Her Gali Aashiqon Ka Mousam Hai
Aaj Kuch Maang Lo Naseem Un Se
Aaj Farmaishon Ka Mousam Hai
Click on pic for full view
Pukara Karb Se Dil Ne Mujhe Mat Chor Kar Jana
Nahi Phir Raste Milne Mujhe Mat Chor Kar Jana
Judai K Tasawwar Se Ye Dharti Kanp Uthi Hai
Laga Hai Arsh Bhi Hilne Mujhe Mat Chor Kar Jana
Karo Tum Yaad Wo Pemaan Humare Sath Jeene K
Kaha Tha Dil Se Jab Dil Ne Mujhe Mat Chor Kar Jana
Musarrat Ki Kiran Phaile Gi Chatt Jaye Gi Tareeki
Wafa K Phool Hain Khilne Mujhe Mat Chor Kar Jana
Jigar Main Chaid Kar De Gi Faqat Ik Pal Ki Doori Bhi
Hain Zakham-e-Hijer Kab Silne Mujhe Mat Chor Kar Jana
Nusrat Naseem
Click on pic for full view
Shehar Barbad Ho Raha Hai Abi
Aur Tu Hai K So Raha Hai Abi
Dekh Veeran Ho Raha Hai Jahan
Aur Tu Dagh Dho Raha Hai Abi
Tere Andar Bhi Koi Dukh Main Hai
Mere Andar Bhi Ro Raha Hai Koi
Farhat Abbas Shah
Click on pic for full view
Ye Dasht-e-Hijer Ye Wehshat Ye Sham K Saye
Khuda Ye Waqt Teri Aankh Ko Na Dikhlaye
Usi K Naam Se Lafzon Main Chand Utre Hain
Wo Aik Shakhs K Dekhon To Aankh Bhar Aaye
Jo Kho Chuke Hain Unhen Dhoondna To Mumkin Hai
Jo Ja Chuke Hain Unhen Koi Kis Tarha Laye
Kali Se Main Ne Gul-e-Tr Jise Banaya Tha
Ruten Badalti Hain Kaise Mujhe Hi Samjhaye
Jo Be Charagh Gharon Ko Charagh Deta Hai
Usey Kaho K Mere Shehar Ki Taraf Aaye
Ye Iztarab Musalsal Azaab Hain Amjad
Mera Nahi To Kisi Aur Hi Ka Ho Jaye
Amjad Islam Amjad