Mohabbat Zinda Rehti Hai

A Lovely Poetry of Khalil Ullah Farooqi and Beautiful Design created by Creative Sign. His Real Name is Waseem Abbas. Creative Sign is not just a great urdu artwork designer, he is also a nice poet.

Amazing Watermelon Art

Such an Amazing and So Beautiful Watermelon Artwork by an Unknown Artist.

Lakeeren Jhoot Bolti Hain

Very Nice Poetry and Beautifully Designed by Queen Victoria. Her real Name is Shabnam Iqbal. She is one of the Most Renowned Urdu Poetry Designers.

All Because Of You

I awake each day with a smile, And greet it with a laugh, The world is a treasure to me, Because of you...

Mohabbat Sath Deti Hai

Very Beautiful Poetry and Such a Lovely Design Created by Guddo. His Real Name is Munir and His Creations are Always Most Likeable. He use Beautiful Natural Objects in his Most Creations.

Site Updated Daily.. Keep Visting :)
Showing posts with label Fozi Creations. Show all posts
Showing posts with label Fozi Creations. Show all posts

Teri Yaden ( Designed by Fozi Creations )

Click on pic for full view
Teri Yaden
Zaat Ki Chatano Per
Jism-o-Jaan K Sahil Per
Aik Ajab Talatum Hai
Aankhon Ki Nami Dil Se
Moj Ban Kar Milti Hai
Hum To Bas Akaile Hain
Jane Kyon Teri Yaden
Foj Ban Kar Milti Hain

Ranjishen Hi Sahi Dil Hi Dukhane K Liye Aa ( Poetry of Ahmed Faraz n Designed by Fozi Creations )

Ranjishen Hi Sahi Dil Hi Dukhane K Liye Aa
Aa Phir Se Mujhe Chor K Jane K Liye Aa
Kis Kis Ko Bataen Gey Judai Ka Sabab Hum
Tu Mujh Se Khafa Hai To Zamane K Liye Aa
Ahmed Faraz

Mere Meharban Qasid ( Poetry of Mehroo n Designed by Fozi Khan )

Pegham
Mere Meharban Qasid!
Khawab Ki Musafat Pe
Jane Wale Rahi Ko
Sirf Itna Keh Dena
"Umer K Kawarron Pe
Jane Kitne Barson Ki
Gard Jam Gai Janaa
Tera Rasta Takte
Tere Dil Garifta Ki
Sans Tham Gai Janaa..!
Mehroo

Hui Hai Sham To Aankhon Main Bas Gia Phir Tu ( Poetry of Ahmed Faraz n Designed by Fozi Creations )

Hui Hai Sham To Aankhon Main Bas Gia Phir Tu
Kahan Gia Hai Mere Shehar K Musafir Tu
Bohat Udas Hai Ik Shakhs Tere Jane Se
Jo Ho Sake To Chala Aa Usi Ki Khatir Tu
Ahmed Faraz

Mohabbat Aakhri Manzil, Mohabbat Aakhri Saya

Bohat Ghoomi Jahan Bhar Me
Mujhe Aawargi Le Kar
Kabi Sehra Samundar Me
Kabi Dunia K Melon Me
Kabi Jungle Me Bhatkaya
Ajab Wehshat Lahu Me Thi
Nazar Bhi Justaju Me Thi
Kaie Chehre They Aankhon Me
Unhi Chehron Ki Khawahish Me
Her Aik Manzil Ko Thukraya
Sakoon Phir Bhi Nahi Paya

Mohabbat Aakhri Manzil, Mohabbat Aakhri Saya

Kabi Thak K So Gaye Hum

Kabi Thak K So Gaye Hum Kabi Raat Bhar Na Soye
Kabi Hans K Gham Chupaye Kabi Monh Chupa K Roye
Meri Dastan-e-Hasrat Wo Suna Suna K Roye
Mujhe Aazmane Wale Mujhe Aazma K Roye
Shab-e-Gham Ki Aap Beeti Jo Sunai Anjuman Main
Koi Sun K Muskuraye Koi Muskura K Roye
Parveen Shakir

Hui Hai Sham To Aankhon Me Bas Gia Phir Tu


Waqt Se Kon Kahe Yar Zra Aahista