Click on pic for full view
Chaak Daaman Ko Dekha To Mila Eid Ka Chand
Apni Tasweer Kahan Bhool Gia Eid Ka Chand
Un K Abroye Khameeda Ki Tarha Teekha Hai
Apni Aankhon Main Bari Dair Chubha Eid Ka Chand
Door Veeran Baserey Main Diya Ho Jaise
Gham Ki Deewar Se Dekha To Laga Eid Ka Chand
Le K Halaat K Sehraon Main Aa Jana Hai
Aaj Bhi Khuld Ki Rangeen Fiza Eid Ka Chand
Talkhiyan Barh Gaien Jab Zeest K Pemane Main
Ghol K Dard K Maron Ne Piya Eid Ka Chand
Chashm To Wussat-e-Aflaak Main Khoi Saghar
Dil Ne Ik Aur Jagah Dhoond Liya Eid Ka Chand
Saghar Siddiqui
Chaak Daaman Ko Jo Dekha To Mila Eid Ka Chand
Apni Tasweer Kahan Bhool Gia Eid Ka Chand
Un K Abroye Khamida Ki Tarha Teekha Hai
Apni Aankhon Main Bari Dair Chubha Eid Ka Chand
Door Veeran Baserey Main Diya Ho Jaise
Gham Ki Deewar Se Dekha To Laga Eid Ka Chand
Saghar Siddiqui
Ye Jo Deewane Se Do Chaar Nazar Nazar Aate Hain
In Main Kuch Sahib-e-Israr Nazar Aate Hain
Teri Mehfil Ka Bharam Rakhte Hain So Jate Hain
Warna Ye Log To Bedaar Nazar Aate Hain
Door Tak Koi Sitara Hai Na Koi Jugnu
Marg-e-Umeed K Aasaar Nazar Aate Hain
Mere Daaman Main Shararon K Siwa Kuch Nahi
Aap Phoolon K Kharidar Nazar Aate Hain
Kal Jinhe Choo Nahi Sakti Thi Farishton Ki Nazar
Aaj Wo Ronaq-e-Bazaar Nazar Aate Hain
Hashar Main Kon Qawahi Meri De Ga Saghar
Sab Tumhare Hi Tarafdaar Nazar Aate Hain
Saghar Siddiqui