Mohabbat Zinda Rehti Hai

A Lovely Poetry of Khalil Ullah Farooqi and Beautiful Design created by Creative Sign. His Real Name is Waseem Abbas. Creative Sign is not just a great urdu artwork designer, he is also a nice poet.

Amazing Watermelon Art

Such an Amazing and So Beautiful Watermelon Artwork by an Unknown Artist.

Lakeeren Jhoot Bolti Hain

Very Nice Poetry and Beautifully Designed by Queen Victoria. Her real Name is Shabnam Iqbal. She is one of the Most Renowned Urdu Poetry Designers.

All Because Of You

I awake each day with a smile, And greet it with a laugh, The world is a treasure to me, Because of you...

Mohabbat Sath Deti Hai

Very Beautiful Poetry and Such a Lovely Design Created by Guddo. His Real Name is Munir and His Creations are Always Most Likeable. He use Beautiful Natural Objects in his Most Creations.

Site Updated Daily.. Keep Visting :)
Showing posts with label Others. Show all posts
Showing posts with label Others. Show all posts

Ay Baad-e-Saba Eid Mubarak Usey Kehna

Click on pic for full view
Ay Baad-e-Saba Eid Mubarak Usey Kehna
Kehna K Koi Karta Hai Tujhe Yaad Abi Tak
Ik Dil Teri Yadon Se Hai Abaad Abi Tak
Kehna K Humen Eid-e-Guzishta Ki Tarah Se
Shiddat Se Khayal Aaye Ga Is Baat Ka Din Bhar
Ik Aur Baras Beet Gia Tujh Se Bichar Kar
Kehna Ye Faqat Un K Liye Eid Ka Din Hai
Jin K Liye Mehboob Ki Ye Deed Ka Din Hai
Ay Kash K Ye Eid Bhi Apne Liye Hoti
Mehndi Se Tera Naam Apne Hath Pe Likhte
Ay Kash K Is Saal To Hum Eid Manate

Is Shehar Main Sab Kuch Hai Bas Teri Kami Hai

Khushbuon K Jazeeron Se Sitaron Ki Hadon Tak
Is Shehar Main Sab Kuch Hai Bas Teri Kami Hai

Yaktarfa Mohabbat Ka Nuqsan Bohat Hai

Yaktarfa Mohabbat Ka Nuqsan Bohat Hai
Dil Toot Jane Ka Imkan Bohat Hai
Hum Toot Kar Chahen Jise Usey Khabar Nahi
Is Amar Pe Hairan Dil Nadan Bohat Hai
Faryad Karti Ye Meri Tanhai
Bas Jao Is Dil Main Ye Veeran Bohat Hai
Hum Kahan Kisi K Aib Se Parda Uthaen Gey
Chunne Ko To Apna Hi Greban Bohat Hai

Lamha Lamha Teri Khushbu Se Moattar Guzra

Tu Mere Paas Na Thi Phir Bhi Sehar Hone Tak
Tera Her Saans Mere Jism Ko Choo Kar Guzra
Qatra Qatra Tere Deedar Ki Shabnam Tapki
Lamha Lamha Teri Khushbu Se Moattar Guzra

Mujhe Aur Kahin Le Chal Sanwal

Mujhe Aur Kahin Le Chal Sanwal
Jahan Raat Kabi Bhi Soi Na Ho
Jahan Subha Kisi Pe Roi Na Ho
Jahan Hijer Ne Wehshat Boi Na Ho
Jahan Koi Kisi Ki Khoi Na Ho
Mujhe Aur Kahin Le Chal Sanwal
Jahan Dard Kisi Ko Raas Na Ho
Jahan Koi Malool Udas Na Ho
Jahan Zulmat Ki Boo Baas Na Ho
Jahan Tu Bhi Zyada Paas Na Ho
Mujhe Aur Kahin Le Chal Sanwal

Her Ik Pal Ka Talluq Tere Khayal Se Hai

Her Ik Pal Ka Talluq Tere Khayal Se Hai
Meri Ghazal Ka Talluq Tere Khayal Se Hai
Bhanda Hua Hai Teri Aarzu Se Sara Badan
Her Ik Amal Ka Talluq Tere Khayal Se Hai

Mujhe Doston Ki Talash Hai ( www.urduartwork.blogspot.com )

Main Udas Rasta Hon Sham Ka
Mujhe Aahaton Ki Talash Hai
Ye Sitare Sab Hain Bujhe Bujhe
Mujhe Jugnuon Ki Talash Hai
Ye Khushi Hai Mujh Se Khafa Khafa
Mujhe Zindagi Ki Talash Hai
Meri Pyas Main Wo Talab Nahi
Mujhe Tishnagi Ki Talash Hai
Aik Hajoom Sa Hai Rawan Dhawan
Mujhe Doston Ki Talash Hai

Koi Chupke Chupke Kehta Hai, Koi Geet Likho Meri Aankhon Per

Koi Chupke Chupke Kehta Hai
Koi Geet Likho Meri Aankhon Per
Koi Shair Kaho Mere Lafon Per
In Khushbu Jaisi Baton Per
Chup Chap Main Sunta Rehta Hon
Phir In Jheel Si Gehri Aankhon Per
Ik Taaza Ghazal Likh Deta Hon
In Phool Jaisi Baton Per
Ik Shair Naya Keh Deta Hon
Ye Geet Ghazal Ye Shair Mere
Sab Us K Pyar Ka Darpan Hai
Sab Us K Roop Ka Darshan Hai
Sab Us Ki Aankh Ka Kajal Hai

Khawab

Bari Mushkil Se Sulaya Hai Khud Ko Me Ne
Apni Aankhon Ko Tere Khawab Ka Lalach De Kar

Mere Humsafar Teri Nazar Me

Mere Humsafar Teri Nazar Me
Mere Jazba-e-Dil Ki Tamam Shiddaten
Mere Khawab Meri Basarten
Meri Dharkanen Meri Chahten
Mere Roz-o-Shab K Naqab Me
Mere Pas Apna To Kuch Nahi
Tera Qarz Hai Meri Zindagi
Meri Sansen Teri Amanaten

Is Tarha Soi Aankhen Jagte Sapnon K Sath


Fasle Aise Bhi Hon Ge Ye Kabi Socha Na Tha

Fasle Aise Bhi Hon Ge Ye Kabi Socha Na Tha
Samne Betha Tha Mere Aur Wo Mera Na Tha

Koi Aaj Bhi Tumhain Dekh Kar Eid Karta Hai

Ay Chand!
Jab Wo Teri Taraf Dekhen
To Inhain Kuch Yaad Dilana
Madhur Se Kuch Geet Sunana
Aur Kehna...!
Tumhain Koi Yaad Karta Hai
Koi Aaj Bhi 
Tumhain Dekh Kar Eid Karta Hai

Me Aisi Mohabbat Karta Hon Tum Kaisi Mohabbat Karti Ho


Zindagi Khafa Si Hai


Kyon Udas Hai Dil Is Tarha Aaj Phir


Be-Karaan Tanhaiyon Ka Silsila


Hazaar Meel Lambi Musaften


Mujh Se Milta Tha To Karta Tha


Barishon K Mosam Me