Mohabbat Zinda Rehti Hai

A Lovely Poetry of Khalil Ullah Farooqi and Beautiful Design created by Creative Sign. His Real Name is Waseem Abbas. Creative Sign is not just a great urdu artwork designer, he is also a nice poet.

Amazing Watermelon Art

Such an Amazing and So Beautiful Watermelon Artwork by an Unknown Artist.

Lakeeren Jhoot Bolti Hain

Very Nice Poetry and Beautifully Designed by Queen Victoria. Her real Name is Shabnam Iqbal. She is one of the Most Renowned Urdu Poetry Designers.

All Because Of You

I awake each day with a smile, And greet it with a laugh, The world is a treasure to me, Because of you...

Mohabbat Sath Deti Hai

Very Beautiful Poetry and Such a Lovely Design Created by Guddo. His Real Name is Munir and His Creations are Always Most Likeable. He use Beautiful Natural Objects in his Most Creations.

Site Updated Daily.. Keep Visting :)
Showing posts with label Sadaa Hussain Sadaa. Show all posts
Showing posts with label Sadaa Hussain Sadaa. Show all posts

Gr Wafa Main Janoon Nahi Milta ( Poetry by Sada Hussain Sada n Designed by Passion Creations )

Click on pic for full view
Gr Wafa Main Janoon Nahi Milta
Zindagi Bhar Sakoon Nahi Milta
Dil Ye Bhanwra Bana Phire Kab Tak
Her Nazar Main Fasoon Nahi Milta
Aashiqi Zindagi Banati Hai
Ishq Main Sir Nigoon Nahi Milta
Sada Hussain Sada

Mohabbat Kia Hui Ruswa Zamane Main ( Poetry by Sada Hussain Sada n Designed by Passion Creations )

Click on pic for full view
Mohabbat Kia Hui Ruswa Zamane Main
Jise Dekha Wohi Tanha Zamane Main
Hazaron Rang Hain Dunia K Dunia Main
Koi Jhoota Koi Sacha Zamane Main
Koi Samjha Mujhe Na Main Kisi Ko Yaan
Na Marta Main To Kia Karta Zamane Main
Khuda Se Lo Lagai To Sakoon Paya
Sakoon-e-Qalb Kab Dekha Zamane Main
Wo To Shah Rag Se Bhi Nazdeek Tha Mere
Jise Din Raat Hai Dhoonda Zamane Main
Ye Qasmain Aur Waadey Yar Sab Jhoote
Main Ne Dekha Nahi Kia Kia Zamane Main
Safar Dunia, Musafat Zindagi, Such Hai
To Phir Main Kyon Sada Uljha Zamane Main

Sada Hussain Sada

Azab dar Azab Dekhe Hain Hum Ne ( Poetry by Sada Hussain Sada n Designed by Passion Creations )

Click on pic for full view
Azab dar Azab Dekhe Hain Hum Ne
Kaie Bikharte Khawab Dekhe Hain Hum Ne
Haqarton Ki Rut Bulai Hai Kis Ne
Bilakte Kuch Gulab Dekhe Hain Hum Ne

Sada Hussain Sada

Zindagi Mohabbat Hai Aur Pyar Jeevan Hai ( Poetry by Sada Hussain Sada n Designed by S M Arshad )

Click on pic for full view
Zindagi Mohabbat Hai Aur Pyar Jeevan Hai
Sath Hai Tumhara To Pur Bahar Jeevan Hai
Chahte Hain Kitna Tum Ko Sanam Bataen Kia
Her Adaa Pe Teri Dil Kia Nisaar Jeevan Hai
Kia Kahen Sambhale Bhi Dil Nahi Sambhalta Ab
Lout Kar Chale Aao Beqarar Jeevan Hai
Sada Hussain Sada

Jab Nazar Nazar Se Milti Hai Pyar Hota Hai ( Poetry by Sada Hussain Sada n Designed by Passion Creations )

Click on pic for full view
Jab Nazar Nazar Se Milti Hai Pyar Hota Hai
Besabab Kahan Dil Ye Beqarar Hota Hai
Le K Naam Tera Khilte Hain Phool Gulshan Main
Dekh Kar Tumhain Mousam Bhi Bahar Hota Hai
Bhool Jate Hain Khud Ko Bhool Jati Hai Dunia
Wisal Ka Tumhare Aisa Khumar Hota Hai
Cheer Phaar Dete Hain Dagh Hasraton K Dil
Furqaton Ka Mousam Jab Jab Sharar Hota Hai
Lakh Tum Bacha Kar Daman Chalo Mohabbat Se
Aik Teer Nazron Ka Dil K Paar Hota Hai
Her Khushi Hui Hai Mansoob Naam Se Tere
Raat Din Tumhara Hi Intezar Hota Hai
Dhoond Parsaon Main Mat Sada Mujhe Aise
Naam Mera Deewano Main Shumar Hota Hai
Sada Hussain Sada

Aap Apne Likhe Ashaar Bhool Jata Hon ( Poetry by Sada Hussain Sada n Designed by Passion Creations )

 Click on photo to see it bigger
 
Guftagu K Sare Mayar Bhool Bhool Jata Hon
Samne Wo Aaye Izhar Bhool Jata Hon
Waqt Ne Kiya Hai Kamzor Hafza Mera
Aap Apne Likhe Ashaar Bhool Jata Hon
Aik Shakhs Hi Thehra Zindagi Najane Kyon
Darmiyan Hai Kia Kia Dewaar Bhool Jata Hon
Roz Geet Likhta Hon Pyar K Mohabbat K
Kis Qadar Hai Jeena Dushwar Bhool Jata Hon
Sanp Aasteen Ka Dasta Hai Jab Kabi Mujh Ko
Dushmano K Sare Hi Waar Bhool Jata Hon
Jab Dua Deti Hai Maa Choom Choom Kar Maatha
Zindagi K Sare Aazaar Bhool Jata Hon
Her Faraib Khaya Hai Pyar Se Sada Main Ne
Matalbi Hai Dunia Her Baar Bhool Jata Hon
Sada Hussain Sada

Yaad Main Tumhari Janaa Kamal Ab Bhi Hai ( Poetry of Sada Hussain Sada n Designed by Passion Creations )




Haan Gai Ruton Ka Dil Ko Malal Ab Bhi Hai
In Udaas Aankhon Main Ik Khayal Ab Bhi Hai
Dosh Den To Kaise Ik Dosre Ko Hum Dono
Bewafa Wo Tha Ya Main Ye Sawal Ab Bhi Hai
Naam Len Tumhara To Phool Khil Uthen Dil Main
Yaad Main Tumhari Janaa Kamal Ab Bhi Hai
Nochti Hai Tanhai, Be kali Main Guzren Pal
Yaar Bin Tumhare Jeena Mahal Ab Bhi Hai
Dekh Ho Gia Shair Waste Tumhare Main
Her Ghazal Main Meri, Tera Jamal Ab Bhi Hai
Parh Sakoon Main Chehre, Aata Nahi Hunar Ye Bhi
Jaan Ko Meri Kyon Kar Ye Wabal Ab Bhi Hai
Chah K Bhi Sada Haal-e-Dil Na Keh Saka Us Se
Lafz Lafz Mera Dekho Nidhal Ab Bhi Hai
Sada Hussain Sada

Lout Aao K Tum Bin Guzara Nahi ( Poetry of Sada Hussain Sada n Designed by Passion Creations )

Lout Aao K Tum Bin Guzara Nahi
Kon Si Shab Tumhain Yon Pukara Nahi
Tairgi Nochti Hai Shab-o-Roz Kyon
Kia Muqaddar Main Koi Sitara Nahi
In Ghamon Ka Mere Kuch Madawa Kare
Yaan Koi Dost Aisa Humara Nahi
Sada Hussain Sada

Bekhudi Main Tumhain Jab Yaad Karta Hon ( Poetry of Sada Hussain Sada n Designed by Passion )

Bekhudi Main Tumhain Jab Yaad Karta Hon
Tujh Se Milne Ki Phir Faryad Karta Hon
Roz Hi Yaad Main Teri Ghazal Keh Kar
Roz Ik Gham Naya Ejad Karta Hon
Kab Gawara Hai Dil Ko Bhoolna Tera
Chain Apna Main Yon Barbad Karta Hon
Phail Jati Hai Kamre Main Teri Khushbu
Main Khayalon Ko Jab Azaad Karta Hon
Bas K Mehsoos Hoti Hai Kami Teri
Besabab Dil Ko Kab Nashad Karta Hon
Sochta Hon Kahan Jaen Ye Ranj-o-Gham
Begharon Ko Sada Aabad Karta Hon
Sada Hussain Sada

Dil ( Poetry of Sada Hussain Sada n Designed by Passion Creations )

Aik Toota Hua Sitara Dil
Ho Gia Ishq Main Sharara Dil
Teri Ban Gai Wafa Teri
Chahta Hai Tumhain Humara Dil
Ik Na Sajh Saki Tasweer Is Main
Umer Bhar Hi Raha Kanwara Dil
Badguman Ho Gia Zamane Se
Kar Diya Tu Ne Bhi Khasara Dil
Ja Baja Bas Gaye Tum Hi Is Main
Ab Kahan Dil Raha Humara Dil
Kyon Yaqeen Pyar Per Nahi Karta
Kis Qadar Sakht Hai Tumhara Dil
Tum Sambhalo 'Nahi Nahi' Apni
Hum Sambhalen Gham Ka Maara Dil
Phir Kahan Dhondte Phiro Gey Tum
Kar Gia Jo Sada Kinara Dil
Sada Hussain Sada

Bohat Yaad They Tum Magar Bhool Bethey ( Poetry of Sada Hussain Sada n Designed by Faisals )

Bohat Yaad They Tum Magar Bhool Bethey
Fasana Jo Tha Mukhtasir Bhool Bethey
K Ab Yaad Aate Ho Bas Rog Ban Kar
Mohabbat Ki Tum Bhi Qadar Bhool Bethey
Sada Hussain Sada

Gar Wafa Me Janoon Nahi Milta

Gar Wafa Me Janoon Nahi Milta
Zindagi Bhar Sakoon Nahi Milta
Sada Hussain Sada

Wehshaton Se Gr Mujhe Nikale Koi

Wehshaton Se Gr Mujhe Nikale Koi
Khak In Hasraton Per Na Dale Koi
Wasl Ki Shab Koi Likh Mere Naam Bhi
Khawab Tere Kahan Tak Sambhale Koi

Mohabbat, Dastaan, Unwan Ho Tum


Sooraj Hath Pe Lane Ka Tha ( Poetry of Sada Hussain Sada n Designed by Ali Abbasi )


Sooraj Hath Pe Lane Ka Tha
Sapna Khawab Sajane Ka Tha
Khoon Jigar Ka De Kar Yaro
Apna Ishq Bachane Ka Tha
May Khane Main Kal Shab Tha Jo
Socha Tujhe Bhulane Ka Tha
Naama Mujh Ko Bhejne Wale
Mousam Tere Aane Ka Tha
Hijrat Kar K Jane Wale
Tujh Ko Main Apnane Ka Tha
Sada Hussain Sada