Click on pic for full view
Tehwar-e-Eid
Na Main Ne Chand Ko Dekha
Aur Na Koi Tehniyat Ka Phool Khirki Se Uthaya
Mera Malboos Ab Bhi Malgja Hai
Hina Se Hath Khali Aur Choori Se Khali
Na Mere Paas They Tum Aur
Na Mere Shehar Se Guzre
Main Kia Afshan Lagati
Maang Main Sindoor Bharti
Rang Aur Khushbu Pehanti
Chand Ki Janib Nazar Karti
K Meri Lazzat-e-Deedar Tum Ho
Mera Tehwar To Tum Ho
Parveen Shakir
Click on pic for full view
Chaak Daaman Ko Dekha To Mila Eid Ka Chand
Apni Tasweer Kahan Bhool Gia Eid Ka Chand
Un K Abroye Khameeda Ki Tarha Teekha Hai
Apni Aankhon Main Bari Dair Chubha Eid Ka Chand
Door Veeran Baserey Main Diya Ho Jaise
Gham Ki Deewar Se Dekha To Laga Eid Ka Chand
Le K Halaat K Sehraon Main Aa Jana Hai
Aaj Bhi Khuld Ki Rangeen Fiza Eid Ka Chand
Talkhiyan Barh Gaien Jab Zeest K Pemane Main
Ghol K Dard K Maron Ne Piya Eid Ka Chand
Chashm To Wussat-e-Aflaak Main Khoi Saghar
Dil Ne Ik Aur Jagah Dhoond Liya Eid Ka Chand
Saghar Siddiqui
Chaak Daaman Ko Jo Dekha To Mila Eid Ka Chand
Apni Tasweer Kahan Bhool Gia Eid Ka Chand
Un K Abroye Khamida Ki Tarha Teekha Hai
Apni Aankhon Main Bari Dair Chubha Eid Ka Chand
Door Veeran Baserey Main Diya Ho Jaise
Gham Ki Deewar Se Dekha To Laga Eid Ka Chand
Saghar Siddiqui