Click on pic for full view
Hanste Lab Aur Roti Aankhen
Kaise Apna Dard Chupaen
Bol, Bata
Is Dunia K Rangeen Mailey Se
Jane Wale
Tujh Ko Kitna Yaad Karen Ab
Tere Bina Qarya Jaan Apna
Kyon Kar Hum Aabaad Karen Ab
Andar Teri Yaad Ka Barzakh
Aur Bahir Ye Dunia-dari
Jaan Aur Tann Ko Tu Hi Bata Ja
Is Do-rangi Sham-o-Sehar Se
Kab, Kaise Aazaad Karen Hum
Hans Kar Teri Yaad Manaen
Ya Ro Kar Faryad Karen Hum
Hanste Lab Aur Roti Aankhon Se
Pooch Rahe Hain
Dunia Wale Samajh Rahe Hain
Hanste Hanste Aaj Bhi Shayd
Meri Aankhen Bheeg Gai Hain
Fakhra Gul
Click on pic for full view
Kon Kehta Hai Nafraton Main Dard Hai Mohsin
Kuch Mohabbaten Bhi Bari Aziyatnaak Hoti Hain
Mohsin Naqvi
Click on pic for full view
Aaj Dard Bhi Us Ne Alehda Kar Liye
Aaj Main Roya To Mere Sath Wo Roya Na Tha
Click on pic for full view
Ik Ye Khawahish K Koi Zakham Na Dekhey Dil Ka
Ik Ye Hasrat K Koi Dekhne Wala Hota
Click on pic for full view
Tum Dard Ki Qeemat Mat Poocho
Be Mol Khareedey Jate Hain
Afshan Afsh
Tehreeron Main Simat'te Kahan Hain Dilon K Dard
Behla Rahi Hon Khud Ko Zra Kaghazon K Sath
Qaafley Raakh Huey Dasht-e-Janoon Main Kitne
Kash! Khushiyon Ki Tarha Dard Bhi Hijrat Karte
Ashk Aankhon Main Kab Nahi Aata
Lahu Aata Hai Jab Nahi Aata
Hosh Jata Nahi Raha lekin
Jab Wo Aata Hai Tab Nahi Aata
Dil Se Rukhsat Hui Koi Khawahish
Gar Ye Kuch Be Sabab Nahi Aata
Meer Taqi Meer
Aaj To Aa Ja Zabt K Sare Hi Bandhan Tor Kar
Aaj Phir Arooj Per Hai Dard Bhi Tanhai Bhi Aur Teri Yaad Bhi