Mohabbat Zinda Rehti Hai

A Lovely Poetry of Khalil Ullah Farooqi and Beautiful Design created by Creative Sign. His Real Name is Waseem Abbas. Creative Sign is not just a great urdu artwork designer, he is also a nice poet.

Amazing Watermelon Art

Such an Amazing and So Beautiful Watermelon Artwork by an Unknown Artist.

Lakeeren Jhoot Bolti Hain

Very Nice Poetry and Beautifully Designed by Queen Victoria. Her real Name is Shabnam Iqbal. She is one of the Most Renowned Urdu Poetry Designers.

All Because Of You

I awake each day with a smile, And greet it with a laugh, The world is a treasure to me, Because of you...

Mohabbat Sath Deti Hai

Very Beautiful Poetry and Such a Lovely Design Created by Guddo. His Real Name is Munir and His Creations are Always Most Likeable. He use Beautiful Natural Objects in his Most Creations.

Site Updated Daily.. Keep Visting :)
Showing posts with label Khawab. Show all posts
Showing posts with label Khawab. Show all posts

Tumhare Khawab Humen Zindagi Se Pyare Hain (Poetry by Aatif Saeed n Designed by Creative Sign )

Click on pic for full view
Tumhare Khawab Humen Zindagi Se Pyare Hain
Ye Ista'are Mohabbat K Ista'are Hain
Aatif Saeed

Hum To Bas Khawab Hain Kuch Pal Main Bikharne Wale...!! ( Designed by Asif's Creation )

Click on pic for full view
Hum To Bas Khawab Hain
Kuch Pal K Liye Dekho Humen
Phir Kisi Aankh Kisi Neend
Main Aane K Nahi
Phir Kisi Rah Kisi Mor Per
Hum Hon Gey Nahi
Hum To Bas Gard Hain
Kuch Dair Main Mit Jaen Gey
Hum To Khushbu Hain
Humen Rang Na Koi Dena
Sirf Ehsas Ko Choo Kar Hai Guzar Jana Humen
Hum To Aansu Hain Bahen Gey
To Na Loten Gey Kabi
Hum To Bas Zakham Hain
Seeney Ka.....Humen Bharna Hai
Hum Wo Ehsas Ki Bailen Hain Jo Chaon Chahen
Door Ki Dhoop Jo Choo Le To Humen Marna Hai
Hum To Bas Khawab Hain Kuch Pal Main Bikharne Wale...!!

Kitab Aur Khawab ( Designed by Guddo )

Main Tumhari Aankhon K Kinare Beth Kar
Khawabon K Bare Main
Aik Kitab Likhna Chahta Hon

Khawab Aur Khushbu ( Designed by Raja Azhar )

Click on pic for full view
Khawab Aur Khushbu
Dono Hi Azad Ro Hain
Dono Qaid Nahi Ho Sakte
Mere Khawab
Tumhari Khushbu...!!

Ik Us K Lams Ka Ehsas Ho Aur Hayat Lout Aaye ( Poetry by Faisal Shabir n Designed by Waheed's Art )

Click on pic for full view
Jo Kahi Us Ne Sargoshi Main Wo Baat Lout Aaye
Teri Yaad Ho Sath Aur Wisal Ki Her Soghat Lout Aaye Aaye
Ye Mousam-e-Hijer Tall Jaye Aur Khil Uthey Bahaar
Ik Us K Lams Ka Ehsas Ho Aur Hayat Lout Aaye
Main Nahi Tanha K Wo Shamil Hai Mujh Me Is Qadar
Jo Wo Nikle To Tanhai Main Meri Zaat Lout Aaye
Na Ho Paas-e-Aadab-e-Talab Ab Jab K
WO Sath Ho Mere Aur Wisal Ki Ik Raat Lout Aaye
Is Chashm-e-Sehra Ko Ab Ashk Ki Boond Bhi Hasil Nahi
Ik Lamha Jo Deedar Ho Tera To Barsat Lout Aaye
Ab To Tabeer Ki Hasrat Nahi Rahi Mujh Ko Faisal
Jise Dhondta Hon Main Her Shab Wo Khawab Lout Aaye
Faisal Shabir

Hum Aur Tum ( Poetry by Aleena Itrat Rizvi n Designed by Shakeel Khan )

Click on pic for full view
Raat, Khawab, Khamoshi Aur Hum
Meelon Lambe Raste Aur Tum
Aleena Itrat Rizvi

Tu Wohi Khawab Hai ( Designed by Hass )

Click on pic for full view
Jo Barson Meri
Palkon Main Tha
Tu Wohi Khawab Hai

Ab Tere Khawab Kon Dekhe Ga ( Designed by Raja Azhar )

Meri Neendein Ujarne Wale
Ab Tere Khawab Kon Dekhe Ga

Mere Khawab Mujh Se Kabi Baat Kar ( Poetry of Naheed Virk n Designed by Abu Hamza )

Mere Khawab Mujh Se Kabi Baat Kar
Mere Taalu Se Chipke Huey Saare Wo Lafz Parh Jo
Kabi Tujh Se Main Keh Na Pai
Mere Khawab Tu Meri Takmeel Kar
Koi Jugnu, Mohabbat, Dua Ban Kar Tabeer Main Dhal
Kisi Lams Ka Koi Marham Meri Rooh K Ghao Per Rakh
Nahi To
Shab-o-Roz Ka Khokhla Silsila Khatam Kar
Jahan Phaili Tanhai Ki Aag Main
Rooh Ko Yon Na Jalna Pare
Dukh Ki Lehron K Phaile Huey Jaal Main
Paon Apna Na Dharna Pare
Naheed Virk

Kuch Kaghaz Gungey Lafzon K ( Poetry of Athar Hamdani n Designed by Sunny Shah )

Amaanat
Kuch Kaghaz Gungey Lafzon K
Kuch Rang Barangi Si Yaden
Kuch Sookhey Phool Gulabon K
Kuch Khawab Adhoori Raton K
Un Khawabon Ki Kuch Tabeeren
Kuch Gungi Behri Tasweeren
Mere Pas Amaanat Hain Teri
Jab Chaho Aa Kar Le Jana!!!
Athar Hamdani

Ghairat-e-Muslim Ab Zinda Na Rahi ( Designed by Khan Jan )

Khawab Main Dekha Aanchal Hawwa Ki Beti K Sir Per Na Tha
Tabeer Batati Hai K Ghairat-e-Muslim Ab Zinda Na Rahi

Naie Subhain, Naie Shaamen, Naye Lamhe, Naye Saathi ( Poetry of Amjad Bukhari n Designed by Night Jasmine )

Saal-e-Nau
Naie Subhain, Naie Shaamen, Naye Lamhe, Naye Saathi
Magar Ik Main.....
K Jo Waise Ka Waisa Hon!
Furat-e-Waqt Pe Bikhre
Guzishta Saal Ki Saari
Adhoori Khawahishon K
Ann-ginat Tukron Ko Chunta Hon!
Unhain Ik Aik Kar K Jorta Hon
Shakal Deta Hon.....
Main Phir Ik Khawab Bunta Hon...!!
Amjad Bukhari

Mere Meharban Qasid ( Poetry of Mehroo n Designed by Fozi Khan )

Pegham
Mere Meharban Qasid!
Khawab Ki Musafat Pe
Jane Wale Rahi Ko
Sirf Itna Keh Dena
"Umer K Kawarron Pe
Jane Kitne Barson Ki
Gard Jam Gai Janaa
Tera Rasta Takte
Tere Dil Garifta Ki
Sans Tham Gai Janaa..!
Mehroo

Wo Is Andaz Ki Mujh Se Mohabbat Chahta Hai ( Designed by Guddo )

Wo Is Andaz Ki Mujh Se Mohabbat Chahta Hai
Mere Her Khawab Per Apni Hakumat Chahta Hai
Wo Kehta Hai Main Us Ki Zaroorat Ban Chuka Hon
To Goya Wo Mujhe Hisb-e-Zaroorat Chahta Hai

Chupke Chupke Ashk Sarhane Dhar Jata Hai ( Poetry of Mehru n Designed by Rapunzel )

Chupke Chupke Ashk Sarhane Dhar Jata Hai
Hijer Ka Neela Chand Bhi Ye Kia Kar Jata Hai
Tujh Tak Aate Aate Sadiyan Lag Jaen Gi
Tere Mere Beech Zamana Parh Jata Hai
Ye To Batao Mujh Ko Rehai Dene Walo
Rasta Bhool K Koi Kaise Ghar Jata Hai
Aankh Main Kuch Aisi Khamoshi Utri Hai
Khawab Bhi Apni Aahat Sun K Dar Jata Hai
Mehru

Khawab

Bari Mushkil Se Sulaya Hai Khud Ko Me Ne
Apni Aankhon Ko Tere Khawab Ka Lalach De Kar

Khawab Sajane Wali Aankhen ( Poetry of Aatif Saeed n Designed by Maira Haider )

Khawab Sajane Wali Aankhen
Pal Bhar Main Banjar Ho Jaen
Rasta Takte Takte Thak Kar
Umeeden Pathar Ho Jaen
Lab Per Thehri Ho Khamoshi
Aur Seene Main Hashar Bpa Ho
Lafzon Ki Maala Ka Dhaaga
Beech Se Jaise Toot Gia Ho
Bhooli Bisri Sari Baten
Main Bhi Shayd Yaad Bana Lon
Bhool K Apne Dukhre Sare
Honton Pe Muskan Saja Lon
Tum Dhoondo Phir Mujh Main Mujh Ko
Aur Main Khud Main Gum Ho Jaon
Aisa Bhi To Ho Sakta Hai
Main Bhi Ik Din Tum Ho Jaon
Aatif Saeed