Click on pic for full view
Ay Baad-e-Saba Eid Mubarak Usey Kehna
Kehna K Koi Karta Hai Tujhe Yaad Abi Tak
Ik Dil Teri Yadon Se Hai Abaad Abi Tak
Kehna K Humen Eid-e-Guzishta Ki Tarah Se
Shiddat Se Khayal Aaye Ga Is Baat Ka Din Bhar
Ik Aur Baras Beet Gia Tujh Se Bichar Kar
Kehna Ye Faqat Un K Liye Eid Ka Din Hai
Jin K Liye Mehboob Ki Ye Deed Ka Din Hai
Ay Kash K Ye Eid Bhi Apne Liye Hoti
Mehndi Se Tera Naam Apne Hath Pe Likhte
Ay Kash K Is Saal To Hum Eid Manate
Click on pic for full view
Tehwar-e-Eid
Na Main Ne Chand Ko Dekha
Aur Na Koi Tehniyat Ka Phool Khirki Se Uthaya
Mera Malboos Ab Bhi Malgja Hai
Hina Se Hath Khali Aur Choori Se Khali
Na Mere Paas They Tum Aur
Na Mere Shehar Se Guzre
Main Kia Afshan Lagati
Maang Main Sindoor Bharti
Rang Aur Khushbu Pehanti
Chand Ki Janib Nazar Karti
K Meri Lazzat-e-Deedar Tum Ho
Mera Tehwar To Tum Ho
Parveen Shakir
Click on pic for full view
Chaak Daaman Ko Dekha To Mila Eid Ka Chand
Apni Tasweer Kahan Bhool Gia Eid Ka Chand
Un K Abroye Khameeda Ki Tarha Teekha Hai
Apni Aankhon Main Bari Dair Chubha Eid Ka Chand
Door Veeran Baserey Main Diya Ho Jaise
Gham Ki Deewar Se Dekha To Laga Eid Ka Chand
Le K Halaat K Sehraon Main Aa Jana Hai
Aaj Bhi Khuld Ki Rangeen Fiza Eid Ka Chand
Talkhiyan Barh Gaien Jab Zeest K Pemane Main
Ghol K Dard K Maron Ne Piya Eid Ka Chand
Chashm To Wussat-e-Aflaak Main Khoi Saghar
Dil Ne Ik Aur Jagah Dhoond Liya Eid Ka Chand
Saghar Siddiqui
Click on pic for full view
Jane Kia Dhondte Rehte Hain Charagar Mujh Main
Mere Pehlu Main Tere Gham K Siwa Kuch Bhi Nahi
Eid Ka Bharam Rakha Pehan Kar Naye Kapre
Warna Dil Main To Moharram K Siwa Kuch Bhi Nahi
Saami Ijaz
Click on pic for full view
Meri Aankhon Se Behte
Ashkon Ne
Tere Jate Huey
Qadmon Se
Kaha.....!
Ay Lamha Firaq Dene Wale
Tujhe Eid Mubarak
Najeeh Uddin Raz
Click on pic for full view
Is Eid Per
Wo Mere Sath Nahi
Magar Wo, Us Ki Yaden, Us Ki Baten
Sab Mujhe Yaad Hain
Us Ne Bhi Mujhe Yaad Kiya Ho Ga
Phir Mere Khayalon Main Khoye Huey
Tasawwur K Kisi Lamhe Main
Dheere Se Kaha Ho Ga
Eid Mubarak
Chaak Daaman Ko Jo Dekha To Mila Eid Ka Chand
Apni Tasweer Kahan Bhool Gia Eid Ka Chand
Un K Abroye Khamida Ki Tarha Teekha Hai
Apni Aankhon Main Bari Dair Chubha Eid Ka Chand
Door Veeran Baserey Main Diya Ho Jaise
Gham Ki Deewar Se Dekha To Laga Eid Ka Chand
Saghar Siddiqui