Mohabbat Zinda Rehti Hai

A Lovely Poetry of Khalil Ullah Farooqi and Beautiful Design created by Creative Sign. His Real Name is Waseem Abbas. Creative Sign is not just a great urdu artwork designer, he is also a nice poet.

Amazing Watermelon Art

Such an Amazing and So Beautiful Watermelon Artwork by an Unknown Artist.

Lakeeren Jhoot Bolti Hain

Very Nice Poetry and Beautifully Designed by Queen Victoria. Her real Name is Shabnam Iqbal. She is one of the Most Renowned Urdu Poetry Designers.

All Because Of You

I awake each day with a smile, And greet it with a laugh, The world is a treasure to me, Because of you...

Mohabbat Sath Deti Hai

Very Beautiful Poetry and Such a Lovely Design Created by Guddo. His Real Name is Munir and His Creations are Always Most Likeable. He use Beautiful Natural Objects in his Most Creations.

Site Updated Daily.. Keep Visting :)

Jis Ka Naam Hai UrduShanas ( Poetry of Faisal Shabir n Designed by Passion Creations )

Internet Ki Dunia Main Ik Basti Hai
Jahan Doston Ki Mehfil Sajti Hai
Bahaar Ruton Ki Hai Wo Assaas
Jis Ka Naam Hai UrduShanas

Dhanak Rangon Ka Hai Haseen Imtezaj
Jise Dekh K Dil Hota Hai Bagh Bagh
Wahan Rehte Hain Yaar Dilon K Paas
Jis Ka Naam Hai UrduShanas

Mohabbaton K Phool Khilte Hain Wahan
Dilon K Rishte Palte Hain Wahan
Pyar Wahan Aata Hai Sabhi Ko Raas
Jis Ka Naam Hai UrduShanas

Wahan Baste Hain Log Kuch Sahib-e-Zoq
Milta Hai Wahan Duniaye Adab Ko Farogh
Urdu Zuban Ki Tarakki Ki Hai Ik Aas
Jis Ka Naam Hai UrduShanas

Hareem Ka Hai Ik Muqaam Wahan
Nomi Bhi Hai Ik Naam Wahan
Banate Hain Wo Usey Bohat Hi Khas
Jis Ka Naam Hai UrduShanas

Faisal Ab Nahi Raha Gumnaam
Shairy Ne Diya Usey Ik Naam
Mila Hai Usey Wo Ehsas
Jis Ka Naam Hai UrduShanas
Faisal Shabir

Teri Mukhtasir Si Chahat Ko Hum Bhulaen Kaise ( Designed by Mr. Virgo )

Teri Mukhtasir Si Chahat Ko Hum Bhulaen Kaise,

Tum Ko Bhool Kar Khud Ko Chain Dilaen Kaise,

Na Jane Kon Si Kashish Tere Pas Le Aati Hai,

Tere Pas Aa Kar Tujh Main Samaen Kaise,

Hum Ne Dil Se Chaha Hai Tujhe,

Teri Chahat K Kabil Khud Ko Banaen Kaise,

Kyon Poochte Ho Hum Se Aansuon Ki Shiddat,

Hum Us Main Tera Aks Tujhe Dikhaen Kaise,

Hum Tumhain Bohat Mohabbat Karte Hain,

Magar Tumhain Ye Ehsas Dilaen Kaise.

Amazing Orange Art

Amazing Fruit Art

Beyaqeeni K Sard Mousam Main ( Poetry of Noshi Gillani n Designed by Pasha Shah )

Beyaqeeni K Sard Mousam Main
Jab Mohabbat Hawa Ki Bahon Main
Patiyon Ki Tarha Bikharti Hai
Dil Pe Gehri Lakeer Parti Hai
Chandni K Udas Rangon Main
Aik Khamosh Raat Dhalti Hai
Noshi Gillani

Is Tarha Hon Tere Khayal Main Gum ( Poetry of Aatif Saeed n Designed by Rapunzel )

Is Tarha Hon Tere Khayal Main Gum
Aina Ainon K Jaal Main Gum
Wo Bhi Deta Nahi Khabar Apni
Main Bhi Rehta Hon Apne Haal Main Gum
Aatif Saeed

Love The Feeling When We Are Together

Love The Feeling When We
Are Together
I Love Thought Of Being
With You Forever
I Love It When Our Dream
Comes True
I Love The Time I Spend
With You
Because I Feel Perfect With
You.. ♥♥♥

Barish-e-Khoon-e-Shaheedan Se Wo Aaye Gi Bahaar ( Poetry of Allama Iqbal n Designed by Creative Sign )

Barish-e-Khoon-e-Shaheedan Se Wo Aaye Gi Bahaar
Saari Dharti Humen Gulrang Dikhai De Gi
Allama Iqbal

Humare Such Ki Gawahi Pe Ungliyan Na Utha ( Designed by Nomi Khan )

Humare Such Ki Gawahi Pe Ungliyan Na Utha
Yehi To Aib Hum Apne Huner Main Rakhte Hain

Bharam Rakha Hum Ne Chand Ka

Bharam Rakha Hum Ne Chand Ka Warna Irada Tha
Tera Bazu Pakar Lete Aur Us Ki Rubaru Karte

Izafi Harf They Teri Zindagi Ki Kitab Main

Kuch Is Tarha Se Nazar Andaz Ho Gaye
Jaise Izafi Harf They Teri Zindagi Ki Kitab Main

Is Shehar Main Sab Kuch Hai Bas Teri Kami Hai

Khushbuon K Jazeeron Se Sitaron Ki Hadon Tak
Is Shehar Main Sab Kuch Hai Bas Teri Kami Hai

Kia Gham Hai Kia Khushi Maloom Nahi ( Designed by Hooria Naaz )

Kia Gham Hai Kia Khushi Maloom Nahi
Wo Apna Hai K Ajnabi Maloom Nahi
Jis K Baghair Aik Pal Nahi Guzarta
Kaise Guzre Gi Zindagi Maloom Nahi

Mohabbaton Main Wafaon Main Qaid Rakhon Ga ( Poetry of Ward Bazmi n Designed by Jia Khan )

Mohabbaton Main Wafaon Main Qaid Rakhon Ga
Tamaam Umer Duaon Main Qaid Rakhon Ga
Bachaa K Rakhon Ga Nafrat Ki Dhoop Se Her Pal
Prem Pairr Ki Chaon Main Qaid Rakhon Ga
Mere Labon K Jo Darwaze Waa Na Kar Paen
Humesha Aisi Sadaon Main Qaid Rakhon Ga
Ward Bazmi

Jab Tak Khuli Nahi Thi Israr Lag Rahi Thi ( Poetry of Alam Khursheed n Design by Musa Art )

Jab Tak Khuli Nahi Thi Israr Lag Rahi Thi
Ye Zindagi Mujhe Bhi Dushwar Lag Rahi Thi
Mujh Per Jhuki Hui Thi Phoolon Ki Aik Daali
Lekin Wo Mere Sir Per Talwar Lag Rahi Thi
Alam Khursheed

Yaktarfa Mohabbat Ka Nuqsan Bohat Hai

Yaktarfa Mohabbat Ka Nuqsan Bohat Hai
Dil Toot Jane Ka Imkan Bohat Hai
Hum Toot Kar Chahen Jise Usey Khabar Nahi
Is Amar Pe Hairan Dil Nadan Bohat Hai
Faryad Karti Ye Meri Tanhai
Bas Jao Is Dil Main Ye Veeran Bohat Hai
Hum Kahan Kisi K Aib Se Parda Uthaen Gey
Chunne Ko To Apna Hi Greban Bohat Hai

Mein aprein muqaddar koon ronda wadda haan ( Poetry of Shabbir Manzar n Designed by Passion Creations )

 Saraiki Ghazal
Muqaddar
Mein aprein muqaddar koon ronda wadda haan

te hanjuwaan dy moti pironda wadda haan

kisse juram di hai saza jehra ajj taein

mein dukh,dard zindgi dy dhonda wadda haan

mede ghar di chokhat toon sukh aa ke wal gaye

kisse simt bakhtaan dy sij wanj ke dhal gaye

karri sakht hijraan di rataan toon lar ke

mein roshan saher shab ich bhonda wadda haan

tamasha haan jug te tamasha sadendaan

mein moyaan dy wangoon zamane te jeendaan

misal haan mein kaein kacche koothy dy wangoon

jo tanzaan dy sawan toon chondha wadda haan

duaein vi mangdy aye lub suk gaye hin

arash te farash vich asar ruk gaye hin

kisse di taan manzoor arshaan te thi gai

jo khushiyan koon shabbir londha wadda haan


Shabbir Manzar

Bekhudi Main Tumhain Jab Yaad Karta Hon ( Poetry of Sada Hussain Sada n Designed by Passion )

Bekhudi Main Tumhain Jab Yaad Karta Hon
Tujh Se Milne Ki Phir Faryad Karta Hon
Roz Hi Yaad Main Teri Ghazal Keh Kar
Roz Ik Gham Naya Ejad Karta Hon
Kab Gawara Hai Dil Ko Bhoolna Tera
Chain Apna Main Yon Barbad Karta Hon
Phail Jati Hai Kamre Main Teri Khushbu
Main Khayalon Ko Jab Azaad Karta Hon
Bas K Mehsoos Hoti Hai Kami Teri
Besabab Dil Ko Kab Nashad Karta Hon
Sochta Hon Kahan Jaen Ye Ranj-o-Gham
Begharon Ko Sada Aabad Karta Hon
Sada Hussain Sada

Mere Meharban Qasid ( Poetry of Mehroo n Designed by Fozi Khan )

Pegham
Mere Meharban Qasid!
Khawab Ki Musafat Pe
Jane Wale Rahi Ko
Sirf Itna Keh Dena
"Umer K Kawarron Pe
Jane Kitne Barson Ki
Gard Jam Gai Janaa
Tera Rasta Takte
Tere Dil Garifta Ki
Sans Tham Gai Janaa..!
Mehroo

Lamha Lamha Teri Khushbu Se Moattar Guzra

Tu Mere Paas Na Thi Phir Bhi Sehar Hone Tak
Tera Her Saans Mere Jism Ko Choo Kar Guzra
Qatra Qatra Tere Deedar Ki Shabnam Tapki
Lamha Lamha Teri Khushbu Se Moattar Guzra

Mujhe Aur Kahin Le Chal Sanwal

Mujhe Aur Kahin Le Chal Sanwal
Jahan Raat Kabi Bhi Soi Na Ho
Jahan Subha Kisi Pe Roi Na Ho
Jahan Hijer Ne Wehshat Boi Na Ho
Jahan Koi Kisi Ki Khoi Na Ho
Mujhe Aur Kahin Le Chal Sanwal
Jahan Dard Kisi Ko Raas Na Ho
Jahan Koi Malool Udas Na Ho
Jahan Zulmat Ki Boo Baas Na Ho
Jahan Tu Bhi Zyada Paas Na Ho
Mujhe Aur Kahin Le Chal Sanwal

Nahi Maloom Kaisa Tha Makaan Kal Shab Jahan Main Tha ( Designed by Shahid Ali Kiani )

Nahi Maloom Kaisa Tha Makaan Kal Shab Jahan Main Tha
K Her Soo Raqs-s-Bismal Tha Wahan Kal Shab Jahan Main Tha
Ameer Khusru

Ik Thaka Hua Aansu ( Designed by Queen Victoria )

Kia Mila Mohabbat Se?
Khawab Ki Musafat Se
Wisal Ki Tamazat Se
Roz-o-Shab Riyazat Se
Kia Mila Mohabbat Se
Aik Hijer Ka Sehra
Aik Sham Yadon Ki
Ik Thaka Hua Aansu

Dil Zid Kar Raha Tha K Mujhe Mohabbat Chahiye ( Designed by Khan Jan )

Zakham Khareed Laya Hon Bazar-e-Ishq Se
Dil Zid Kar Raha Tha K Mujhe Mohabbat Chahiye

Wo Is Andaz Ki Mujh Se Mohabbat Chahta Hai ( Designed by Guddo )

Wo Is Andaz Ki Mujh Se Mohabbat Chahta Hai
Mere Her Khawab Per Apni Hakumat Chahta Hai
Wo Kehta Hai Main Us Ki Zaroorat Ban Chuka Hon
To Goya Wo Mujhe Hisb-e-Zaroorat Chahta Hai

Likhi Hui Dukhon Ki Kitab Parhna ( Poet n Design b Wafa Ghulam Nabi Shaikh )

Likhi Hui Dukhon Ki Kitab Parhna
Sisakta Hua Her Ik Baab Parhna
Preshan Haal Ghoom Rahe Hain
Bina Tabeer Mere Wo Khawab Parhna
Umer Kaise Kat'ti Hai Intezar Main
Meri Aankhon K Wo Azaab Parhna
Jhooti Tehreerain Jhootey Waadey
Kiye Jo Tum Ne Be Hisaab Parhna
Bhejey Jo Tum Ne Wafa Ko Kante
Likha Hai Main Ne Unhain Gulaab Parhna
Wafa Ghulam Nabi Shaikh

Sakhi To Heer Jaisi Hai ( Poetry of Fakhira Batool n Designed by Abu Hamza )

Sakhi To Heer Jaisi Hai
Kahani Phir Chali Aai Mujhe Milne
Sakhi! Kaise Guzarti Hai?
Mere Honton Pe Taale Dekh Kar Wo Chonk Si Uthi
Wo Kuch Pal Soch Kar Boli
Sakhi To Heer Jaisi Hai
Fakhra Batool

Jo Main Ne Chaha Tha Ho Jaye ( Poetry of Saad Ullah Shah n Designed by Deepless Eyes )

Jo Main Ne Chaha Tha Ho Jaye Wo Hua To Nahi
Magar Ye Dard Meri Zaat Se Juda To Nahi
Wo Be-Niaz Hai Tum Se To Chor Do Us Ko
Wo Aik Shakhs Hai Aakhir Khuda To Nahi
Usi Ki Roshni Shamil Hai Mere Ashkon Main
Jo Deep Us Ne Jalaya Tha Wo Bujha To Nahi
Saad Ullah Shah

Dil ( Poetry of Sada Hussain Sada n Designed by Passion Creations )

Aik Toota Hua Sitara Dil
Ho Gia Ishq Main Sharara Dil
Teri Ban Gai Wafa Teri
Chahta Hai Tumhain Humara Dil
Ik Na Sajh Saki Tasweer Is Main
Umer Bhar Hi Raha Kanwara Dil
Badguman Ho Gia Zamane Se
Kar Diya Tu Ne Bhi Khasara Dil
Ja Baja Bas Gaye Tum Hi Is Main
Ab Kahan Dil Raha Humara Dil
Kyon Yaqeen Pyar Per Nahi Karta
Kis Qadar Sakht Hai Tumhara Dil
Tum Sambhalo 'Nahi Nahi' Apni
Hum Sambhalen Gham Ka Maara Dil
Phir Kahan Dhondte Phiro Gey Tum
Kar Gia Jo Sada Kinara Dil
Sada Hussain Sada

Wo Shakhs Jo Haara Nahi Kisi Jang Main ( Designed by Pasha Shah )

Wo Shakhs Jo Haara Nahi Kisi Jang Main
Mohabbat Main Sir Katane Ko Tyar Betha Hai

Main Apni Zaat Se Waqif Hi Kab Hua Hota ( Poetry of Najeeh Uddin Raz n Designed by Night Jasmine )

Main Apni Zaat Se Waqif Hi Kab Hua Hota
Teri Talash Main Khud Se Na Gar Mila Hota
Wisal-s-Yaar Ki Khawahish Na Rehti Logon Main
Agar Jo Toor Pe Moosa Ko Dikh Gia Hota
Ye Kia K Chor Diya Mujh Ko Yon Achanak Se
Koi Ishara To Mere Sanam Diya Hota
Main Bhi Hazaar Gile Karta Dunia Walon K
Jo Lamakaan Se Mera Rabta Raha Hota
Main Tere Sath Saba Ki Tarha Raha Karta
Tu Aik Bar Sada Dil Se De Gia Hota
Najeeh Uddin Raz

Mohabbat Main Sari Baat Rakh Rakhao Ki Thi ( Designed by Rapunzel )

Wo Jis Ghumand Se Bichra Gila To Us Ka Hai
K Mohabbat Main Sari Baat Rakh Rakhao Ki Thi

Shab-e-Tanhai Main Izafa Bechaini ( Designed by Atif Saeed )

Shab-e-Tanhai Main Izafa Bechaini
Ek Tera Khayal Na Aana, Doosra Tera Jawab Na Aana

Eid Ka Chand ( Poetry of Saghar Siddiqui )

Chaak Daaman Ko Jo Dekha To Mila Eid Ka Chand
Apni Tasweer Kahan Bhool Gia Eid Ka Chand
Un K Abroye Khamida Ki Tarha Teekha Hai
Apni Aankhon Main Bari Dair Chubha Eid Ka Chand
Door Veeran Baserey Main Diya Ho Jaise
Gham Ki Deewar Se Dekha To Laga Eid Ka Chand
Saghar Siddiqui

Tumhari Yaad Jeevan Hai ( Poetry of Aatif Saeed n Designed by Guddo )

Kisi Mousam Main Bhi
Jo Meri Yaad Ka Dil Se
Kabi Jo Rabta Toote
To Dil Ko Dosh Mat Dena
Samajh Lena
K Jo Tum Se Ye Kehta Tha
Tumhari Yaad Jeevan Hai
Wo Ab Aisa Nahi Kehta
Aatif Saeed

Ye Jo Deewane Se Do Chaar Nazar Nazar Aate Hain ( Poetry of Saghar Siddiqui n Designed by S M Arshad )

Ye Jo Deewane Se Do Chaar Nazar Nazar Aate Hain
In Main Kuch Sahib-e-Israr Nazar Aate Hain
Teri Mehfil Ka Bharam Rakhte Hain So Jate Hain
Warna Ye Log To Bedaar Nazar Aate Hain
Door Tak Koi Sitara Hai Na Koi Jugnu
Marg-e-Umeed K Aasaar Nazar Aate Hain
Mere Daaman Main Shararon K Siwa Kuch Nahi
Aap Phoolon K Kharidar Nazar Aate Hain
Kal Jinhe Choo Nahi Sakti Thi Farishton Ki Nazar
Aaj Wo Ronaq-e-Bazaar Nazar Aate Hain
Hashar Main Kon Qawahi Meri De Ga Saghar
Sab Tumhare Hi Tarafdaar Nazar Aate Hain
Saghar Siddiqui

Kyon Rote Hain Us Ki Yaad Main Hum ( Designed by Hooria Naaz )

Kyon Rote Hain Us Ki Yaad Main Hum
Aansuon Se Taqdeer Badalti To Aaj Wo Humara Hota

Main Apni Chahton Ka Hissa Lene Jo Beth Jaon ( Designed by Khan Jan )

Main Apni Chahton Ka Hissa Lene Jo Beth Jaon
Tum To Sirf Mera Yaad Karna Bhi Na Lota Sako

Kitna Nazuk Hai Wo Pari Paikar ( Designed by Guddo )

Kitna Nazuk Hai Wo Pari Paikar
Jis Ka Jugnu Se Hath Jal Jaye

Hosh Se Hum Ne Yon Nibha Kiya Jaise Koi Bara Gunah Kiya ( Designed by Atif Saad )

Hosh Se Hum Ne Yon Nibha Kiya Jaise Koi Bara Gunah Kiya
May Qadey Main Wo Umer Hath Aai Madrisse Main Jise Tabah Kiya

Her Pal Dehan Main Basne Wale Log Fasane Ho Jate Hain ( Poetry of Amjad Islam Amjad n Designed by Night Jasmine )

Her Pal Dehan Main Basne Wale Log Fasane Ho Jate Hain
Aankhen Boorhi Ho Jati Hain Khawab Purane Ho Jate Hain
Sari Baat Talluq Wali Jazbon Ki Sachai Tak Hai
Mail Dilon Main Aa Jaye To Ghar Veerane Ho Jate Hain
Amjad Islam Amjad

Mere Humnawa Ko Khabar Karo ( Novel lines of Fakhra Gul n Designed by Faisals )


Mere Humnawa Ko Khabar Karo
Ishq Haqeeqi Ho Ya Majazi, Us Ki Had Wahan Se Shuru Hoti Hai
Jahan Per Khud Apni Zaat Per Se Ikhtiyar Ki Had Khatam Ho Jaye...
Fakhra Gul K Novel "Mere Humnawa Ko Khabar Karo" Se Iqtebas

Her Ik Pal Ka Talluq Tere Khayal Se Hai

Her Ik Pal Ka Talluq Tere Khayal Se Hai
Meri Ghazal Ka Talluq Tere Khayal Se Hai
Bhanda Hua Hai Teri Aarzu Se Sara Badan
Her Ik Amal Ka Talluq Tere Khayal Se Hai

Dooriyan Muqaddar Hain ( Poetry of Aatif Saeed n Designed by Falak Creation )

Sogwar Lehje Main
Pairr Khushk Patton Se
Keh Rahe Hain Pat Jharr Hai
Dooriyan Muqaddar Hain
Aatif Saeed

Technology for all

Technology for all

Kisi Khushi Ka Hai Muddat Se Intezar Mujhe ( Poetry of Waseem Abbas n Designed by Faisals )

Kisi Khushi Ka Hai Muddat Se Intezar Mujhe
Ye Aur Baat Na Raas Aaye Gi Bahar Mujhe
Main Jo Bhi Zakham Chupata Hon Khol Dete Hain
Ajab Tarha K Mile Hain Waseem Yaar Mujhe
Waseem Abbas

Hui Hai Sham To Aankhon Main Bas Gia Phir Tu ( Poetry of Ahmed Faraz n Designed by Fozi Creations )

Hui Hai Sham To Aankhon Main Bas Gia Phir Tu
Kahan Gia Hai Mere Shehar K Musafir Tu
Bohat Udas Hai Ik Shakhs Tere Jane Se
Jo Ho Sake To Chala Aa Usi Ki Khatir Tu
Ahmed Faraz

Chup Na Rehte Byan Ho Jate ( Poetry of Noshi Gillani n Designed by Atif Saad )

Chup Na Rehte Byan Ho Jate
Tujh Se Gar Badguman Ho Jate
Zabt-e-Gham Ne Bacha Liya Warna
Hum Koi Dastan Ho Jate
Tu Ne Dekha Nahi Palat K Humen
Warna Hum Meharban Ho Jate
Tere Qisse Main Hum Bhala Khud Se
Kis Liye Badguman Ho Jate
Tere Dil Ki Zameen Hi Na Mili
Warna Hum Aasman Ho Jate
Noshi Gillani

Beautiful Green Grass Art

Amazing n Beautiful Green Grass Art

Ki Mohammad (s.a.w) Se Wafa Tu Ne ( Poetry of Allama Iqbal n Designed by Falak Creation )

Ki Mohammad (s.a.w) Se Wafa Tu Ne To Hum Tere Hain
Ye Jahan Cheez Hai Kia Loh-o-Qalam Tere Hain
Allama Iqbal

Ashk Aankhon Main Kab Nahi Aata ( Poetry of Meer Taqi Meer n Designed by Anamika )

Ashk Aankhon Main Kab Nahi Aata
Lahu Aata Hai Jab Nahi Aata
Hosh Jata Nahi Raha lekin
Jab Wo Aata Hai Tab Nahi Aata
Dil Se Rukhsat Hui Koi Khawahish
Gar Ye Kuch Be Sabab Nahi Aata
Meer Taqi Meer