Mohabbat Zinda Rehti Hai

A Lovely Poetry of Khalil Ullah Farooqi and Beautiful Design created by Creative Sign. His Real Name is Waseem Abbas. Creative Sign is not just a great urdu artwork designer, he is also a nice poet.

Amazing Watermelon Art

Such an Amazing and So Beautiful Watermelon Artwork by an Unknown Artist.

Lakeeren Jhoot Bolti Hain

Very Nice Poetry and Beautifully Designed by Queen Victoria. Her real Name is Shabnam Iqbal. She is one of the Most Renowned Urdu Poetry Designers.

All Because Of You

I awake each day with a smile, And greet it with a laugh, The world is a treasure to me, Because of you...

Mohabbat Sath Deti Hai

Very Beautiful Poetry and Such a Lovely Design Created by Guddo. His Real Name is Munir and His Creations are Always Most Likeable. He use Beautiful Natural Objects in his Most Creations.

Site Updated Daily.. Keep Visting :)

Wo Shakhs Jo Haara Nahi Kisi Jang Main ( Designed by Pasha Shah )

Wo Shakhs Jo Haara Nahi Kisi Jang Main
Mohabbat Main Sir Katane Ko Tyar Betha Hai

Main Apni Zaat Se Waqif Hi Kab Hua Hota ( Poetry of Najeeh Uddin Raz n Designed by Night Jasmine )

Main Apni Zaat Se Waqif Hi Kab Hua Hota
Teri Talash Main Khud Se Na Gar Mila Hota
Wisal-s-Yaar Ki Khawahish Na Rehti Logon Main
Agar Jo Toor Pe Moosa Ko Dikh Gia Hota
Ye Kia K Chor Diya Mujh Ko Yon Achanak Se
Koi Ishara To Mere Sanam Diya Hota
Main Bhi Hazaar Gile Karta Dunia Walon K
Jo Lamakaan Se Mera Rabta Raha Hota
Main Tere Sath Saba Ki Tarha Raha Karta
Tu Aik Bar Sada Dil Se De Gia Hota
Najeeh Uddin Raz

Mohabbat Main Sari Baat Rakh Rakhao Ki Thi ( Designed by Rapunzel )

Wo Jis Ghumand Se Bichra Gila To Us Ka Hai
K Mohabbat Main Sari Baat Rakh Rakhao Ki Thi

Shab-e-Tanhai Main Izafa Bechaini ( Designed by Atif Saeed )

Shab-e-Tanhai Main Izafa Bechaini
Ek Tera Khayal Na Aana, Doosra Tera Jawab Na Aana

Eid Ka Chand ( Poetry of Saghar Siddiqui )

Chaak Daaman Ko Jo Dekha To Mila Eid Ka Chand
Apni Tasweer Kahan Bhool Gia Eid Ka Chand
Un K Abroye Khamida Ki Tarha Teekha Hai
Apni Aankhon Main Bari Dair Chubha Eid Ka Chand
Door Veeran Baserey Main Diya Ho Jaise
Gham Ki Deewar Se Dekha To Laga Eid Ka Chand
Saghar Siddiqui

Tumhari Yaad Jeevan Hai ( Poetry of Aatif Saeed n Designed by Guddo )

Kisi Mousam Main Bhi
Jo Meri Yaad Ka Dil Se
Kabi Jo Rabta Toote
To Dil Ko Dosh Mat Dena
Samajh Lena
K Jo Tum Se Ye Kehta Tha
Tumhari Yaad Jeevan Hai
Wo Ab Aisa Nahi Kehta
Aatif Saeed

Ye Jo Deewane Se Do Chaar Nazar Nazar Aate Hain ( Poetry of Saghar Siddiqui n Designed by S M Arshad )

Ye Jo Deewane Se Do Chaar Nazar Nazar Aate Hain
In Main Kuch Sahib-e-Israr Nazar Aate Hain
Teri Mehfil Ka Bharam Rakhte Hain So Jate Hain
Warna Ye Log To Bedaar Nazar Aate Hain
Door Tak Koi Sitara Hai Na Koi Jugnu
Marg-e-Umeed K Aasaar Nazar Aate Hain
Mere Daaman Main Shararon K Siwa Kuch Nahi
Aap Phoolon K Kharidar Nazar Aate Hain
Kal Jinhe Choo Nahi Sakti Thi Farishton Ki Nazar
Aaj Wo Ronaq-e-Bazaar Nazar Aate Hain
Hashar Main Kon Qawahi Meri De Ga Saghar
Sab Tumhare Hi Tarafdaar Nazar Aate Hain
Saghar Siddiqui

Kyon Rote Hain Us Ki Yaad Main Hum ( Designed by Hooria Naaz )

Kyon Rote Hain Us Ki Yaad Main Hum
Aansuon Se Taqdeer Badalti To Aaj Wo Humara Hota

Main Apni Chahton Ka Hissa Lene Jo Beth Jaon ( Designed by Khan Jan )

Main Apni Chahton Ka Hissa Lene Jo Beth Jaon
Tum To Sirf Mera Yaad Karna Bhi Na Lota Sako

Kitna Nazuk Hai Wo Pari Paikar ( Designed by Guddo )

Kitna Nazuk Hai Wo Pari Paikar
Jis Ka Jugnu Se Hath Jal Jaye

Hosh Se Hum Ne Yon Nibha Kiya Jaise Koi Bara Gunah Kiya ( Designed by Atif Saad )

Hosh Se Hum Ne Yon Nibha Kiya Jaise Koi Bara Gunah Kiya
May Qadey Main Wo Umer Hath Aai Madrisse Main Jise Tabah Kiya

Her Pal Dehan Main Basne Wale Log Fasane Ho Jate Hain ( Poetry of Amjad Islam Amjad n Designed by Night Jasmine )

Her Pal Dehan Main Basne Wale Log Fasane Ho Jate Hain
Aankhen Boorhi Ho Jati Hain Khawab Purane Ho Jate Hain
Sari Baat Talluq Wali Jazbon Ki Sachai Tak Hai
Mail Dilon Main Aa Jaye To Ghar Veerane Ho Jate Hain
Amjad Islam Amjad

Mere Humnawa Ko Khabar Karo ( Novel lines of Fakhra Gul n Designed by Faisals )


Mere Humnawa Ko Khabar Karo
Ishq Haqeeqi Ho Ya Majazi, Us Ki Had Wahan Se Shuru Hoti Hai
Jahan Per Khud Apni Zaat Per Se Ikhtiyar Ki Had Khatam Ho Jaye...
Fakhra Gul K Novel "Mere Humnawa Ko Khabar Karo" Se Iqtebas

Her Ik Pal Ka Talluq Tere Khayal Se Hai

Her Ik Pal Ka Talluq Tere Khayal Se Hai
Meri Ghazal Ka Talluq Tere Khayal Se Hai
Bhanda Hua Hai Teri Aarzu Se Sara Badan
Her Ik Amal Ka Talluq Tere Khayal Se Hai

Dooriyan Muqaddar Hain ( Poetry of Aatif Saeed n Designed by Falak Creation )

Sogwar Lehje Main
Pairr Khushk Patton Se
Keh Rahe Hain Pat Jharr Hai
Dooriyan Muqaddar Hain
Aatif Saeed

Technology for all

Technology for all

Kisi Khushi Ka Hai Muddat Se Intezar Mujhe ( Poetry of Waseem Abbas n Designed by Faisals )

Kisi Khushi Ka Hai Muddat Se Intezar Mujhe
Ye Aur Baat Na Raas Aaye Gi Bahar Mujhe
Main Jo Bhi Zakham Chupata Hon Khol Dete Hain
Ajab Tarha K Mile Hain Waseem Yaar Mujhe
Waseem Abbas

Hui Hai Sham To Aankhon Main Bas Gia Phir Tu ( Poetry of Ahmed Faraz n Designed by Fozi Creations )

Hui Hai Sham To Aankhon Main Bas Gia Phir Tu
Kahan Gia Hai Mere Shehar K Musafir Tu
Bohat Udas Hai Ik Shakhs Tere Jane Se
Jo Ho Sake To Chala Aa Usi Ki Khatir Tu
Ahmed Faraz

Chup Na Rehte Byan Ho Jate ( Poetry of Noshi Gillani n Designed by Atif Saad )

Chup Na Rehte Byan Ho Jate
Tujh Se Gar Badguman Ho Jate
Zabt-e-Gham Ne Bacha Liya Warna
Hum Koi Dastan Ho Jate
Tu Ne Dekha Nahi Palat K Humen
Warna Hum Meharban Ho Jate
Tere Qisse Main Hum Bhala Khud Se
Kis Liye Badguman Ho Jate
Tere Dil Ki Zameen Hi Na Mili
Warna Hum Aasman Ho Jate
Noshi Gillani

Beautiful Green Grass Art

Amazing n Beautiful Green Grass Art

Ki Mohammad (s.a.w) Se Wafa Tu Ne ( Poetry of Allama Iqbal n Designed by Falak Creation )

Ki Mohammad (s.a.w) Se Wafa Tu Ne To Hum Tere Hain
Ye Jahan Cheez Hai Kia Loh-o-Qalam Tere Hain
Allama Iqbal

Ashk Aankhon Main Kab Nahi Aata ( Poetry of Meer Taqi Meer n Designed by Anamika )

Ashk Aankhon Main Kab Nahi Aata
Lahu Aata Hai Jab Nahi Aata
Hosh Jata Nahi Raha lekin
Jab Wo Aata Hai Tab Nahi Aata
Dil Se Rukhsat Hui Koi Khawahish
Gar Ye Kuch Be Sabab Nahi Aata
Meer Taqi Meer

Kadi Aa Mil Sanwal Yaar Ve ( Designed by Atif Saeed )

Kadi Aa Mil Sanwal Yaar Ve
Mere Loon Loon Cheenkh Pukar Ve

Janaa Tum Ne Dair Laga Di ( Poetry of Fakhra Gul n Designed by Shahid Ali Kiani )

Janaa Tum Ne Dair Laga Di
Wo Sab Kehne Main
Jin Meethey Bolon Ki Khatir
Hum Ne Apni Umer Ganwa Di
Ab Aaye Ho...
Waqt Ne Jab Aankhon Per Sham Bitha Di
Janaa Tum Ne Dair Laga Di
Fakhra Gul

Jan Kar Hum Ne Unhain Na Meharban Rehne Diya ( Poetry of Shagufta Basit n Designed by Creative Sign )

Jan Kar Hum Ne Unhain Na Meharban Rehne Diya
Wo They Is Main Khush To Un Ko Shadman Rehne Diya
Hum Ne Chehre Pe Jami Sab Dhool Dho Dali Magar
Dil Pe Teri Be Wafai Ka Nishan Rehne Diya
Hum Ne Un Ko Sonp Di Chahat Ki Sari Garmiyan
Aur Apne Aap Ko Shohla Byan Rehne Diya
Shagufta Basit

Jurrat K Aasman Pe Hain Zufishan Ali ( Poetry of Aisha Baig Aashi n Designed by Musa Art )

Jurrat K Aasman Pe Hain Zufishan Ali
Mushkil Kusha Hain Reham o Karam Ki Hain Jaan Ali
Aisha Baig Aashi

Aaj To Aa Ja Zabt K Sare Hi Bandhan Tor Kar ( Designed by Khan Jan )

Aaj To Aa Ja Zabt K Sare Hi Bandhan Tor Kar
Aaj Phir Arooj Per Hai Dard Bhi Tanhai Bhi Aur Teri Yaad Bhi

Unsiyat Pal Ki Rafaqat Ki Ataa Ho Shayd ( Poetry of Azhar Nazir n Designed by Atif Saad )

Unsiyat Pal Ki Rafaqat Ki Ataa Ho Shayd
Tujh Se Milna Hi Mohabbat Ki Khata Ho Shayd
Main Khafa Kar K Tujhe Chain Kabi Pa Na Saka
Mera Hi Aks Kaho Mujh Se Khafa Ho Shayd
Bas Tere Hijer Main Jalta Hon Tarap Jata Hon
Is Bhali Shay Ka Hi Bas Naam Wafa Ho Shayd
Mohammad Azhar Nazir

Mujhe Doston Ki Talash Hai ( www.urduartwork.blogspot.com )

Main Udas Rasta Hon Sham Ka
Mujhe Aahaton Ki Talash Hai
Ye Sitare Sab Hain Bujhe Bujhe
Mujhe Jugnuon Ki Talash Hai
Ye Khushi Hai Mujh Se Khafa Khafa
Mujhe Zindagi Ki Talash Hai
Meri Pyas Main Wo Talab Nahi
Mujhe Tishnagi Ki Talash Hai
Aik Hajoom Sa Hai Rawan Dhawan
Mujhe Doston Ki Talash Hai

Shakista Aitbar ( Poetry of Narjis Afroz Zaidi n Designed by Queen Victoria )

Wohi Chashm-e-Num Mujhe Khojti
Wohi Hont Mujh Ko Pukarte
Wohi Hath Mere Talab Zada
Wohi Chand Matha Wo Roshni
Wohi Sehar Ka Rasa Lams Bhi
Tujhe Shab K Sath Tha Loutna
Magar Aah! Dil Ka Ye Faisla
Mera Aitmad Alam Zada
Ay Mere Azeem Talism Gar
Mujhe Azan De De Rehai Ka
Narjis Afroz Zaidi

Batao Aaj Kahan Milo Gey Tum ( Designed by S M Arshad )

Batao Aaj Kahan Milo Gey Tum
Tumhain Ik Phool Dena Hai
Tum Se Ik Ehad Lena Hai
Tumhain Eman Kehna Hai
Tumhain Dil Dharkan Jaan Kehna Hai
Jo Juda Karne Ki Hain Sazishen
Unhen Bejan Kehna Hai
Haan! Tum Se Bohat Kuch Kehna Hai

Barha K Pyas Meri Us Ne Hath Chor Diya ( Poetry of Qateel Shafai n Designed by Shakeel Khan )

Barha K Pyas Meri Us Ne Hath Chor Diya
Wo Kar Raha Tha Murawwat Bhi Dil Lagi Ki Tarha
Qateel Shafai

Mujhe Jab Bhi Wo Milta Hai Wafaon Sa Lagta Hai ( Designed by Tipu Shaikh )

Mujhe Jab Bhi Wo Milta Hai Wafaon Sa Lagta Hai
Bari Shiddat Se Mangi Jo Duaon Sa Lagta Hai
Tujhe Kaise Bhula Paon Jahan Sara Her Lamha
Tumhare Pyar Se Mehki Adaon Sa Lagta Hai


Chand ( Poetry of Ahmed Nadeem Qasmi n Designed by Asma Duaa )

Chand
Usey Me Ne Dekha
To Socha
K Ab Chand Ne
Apne Sooraj Se
Lo Mangna Chor Di Hai
Ahmed Nadeem Qasmi

Chupke Chupke Ashk Sarhane Dhar Jata Hai ( Poetry of Mehru n Designed by Rapunzel )

Chupke Chupke Ashk Sarhane Dhar Jata Hai
Hijer Ka Neela Chand Bhi Ye Kia Kar Jata Hai
Tujh Tak Aate Aate Sadiyan Lag Jaen Gi
Tere Mere Beech Zamana Parh Jata Hai
Ye To Batao Mujh Ko Rehai Dene Walo
Rasta Bhool K Koi Kaise Ghar Jata Hai
Aankh Main Kuch Aisi Khamoshi Utri Hai
Khawab Bhi Apni Aahat Sun K Dar Jata Hai
Mehru

Chalo Chalte Hain Veeraniyon Ki Taraf ( Designed by Khan Jan )

Chalo Chalte Hain Veeraniyon Ki Taraf
Bohat Din Huey Apne Dil Se Mulaqat Kiye

Koi Chupke Chupke Kehta Hai, Koi Geet Likho Meri Aankhon Per

Koi Chupke Chupke Kehta Hai
Koi Geet Likho Meri Aankhon Per
Koi Shair Kaho Mere Lafon Per
In Khushbu Jaisi Baton Per
Chup Chap Main Sunta Rehta Hon
Phir In Jheel Si Gehri Aankhon Per
Ik Taaza Ghazal Likh Deta Hon
In Phool Jaisi Baton Per
Ik Shair Naya Keh Deta Hon
Ye Geet Ghazal Ye Shair Mere
Sab Us K Pyar Ka Darpan Hai
Sab Us K Roop Ka Darshan Hai
Sab Us Ki Aankh Ka Kajal Hai

Jab Saawan Booden Barsaya Kare ( Designed by Mr. Virgo )

Jab Saawan Booden Barsaya Kare
Hum Us Ko Bohat Yaad Aaya Karen
Sapne Bana Kar Apni Aankhon Se Wo
Mujhe Khayalon Me Samne Laya Kare
Geet Gaate Hain Jis Mosam Me Bulbul
Wo Bhi Sakhiyon Me Beth Kar Gungunaya Kare

Bohat Yaad They Tum Magar Bhool Bethey ( Poetry of Sada Hussain Sada n Designed by Faisals )

Bohat Yaad They Tum Magar Bhool Bethey
Fasana Jo Tha Mukhtasir Bhool Bethey
K Ab Yaad Aate Ho Bas Rog Ban Kar
Mohabbat Ki Tum Bhi Qadar Bhool Bethey
Sada Hussain Sada

Tu Ne Dekha Hai Kabi Chand Pe Behta Hua Pani ( Designed by Guddo )

Tu Ne Dekha Hai Kabi Chand Pe Behta Hua Pani
Me Ne Dekha Hai Ye Manzar Us K Rukhsar  Pe Aksar

Ab To Us Se Milna ( Urdu Poetry Facebook Cover)

 Ab To Us Se Milna Aur Bhi Zaroori Ho Gia Hai,
Log Kehte Hain K Us Ki Aankhon Main Mera Aks Nazar Aata Hai.
£ØVIÑG '$' €¥€$

Aflaak Se Aata Hai Nalon Ka Jawab Aakhir ( Designed by Abu Hamza n Poetry by Allama Iqbal )

Aflaak Se Aata Hai Nalon Ka Jawab Aakhir
Karte Hain Khitab Aakhir Uthte Hain Hijab Aakhir
Allama Iqbal