Mohabbat Zinda Rehti Hai

A Lovely Poetry of Khalil Ullah Farooqi and Beautiful Design created by Creative Sign. His Real Name is Waseem Abbas. Creative Sign is not just a great urdu artwork designer, he is also a nice poet.

Amazing Watermelon Art

Such an Amazing and So Beautiful Watermelon Artwork by an Unknown Artist.

Lakeeren Jhoot Bolti Hain

Very Nice Poetry and Beautifully Designed by Queen Victoria. Her real Name is Shabnam Iqbal. She is one of the Most Renowned Urdu Poetry Designers.

All Because Of You

I awake each day with a smile, And greet it with a laugh, The world is a treasure to me, Because of you...

Mohabbat Sath Deti Hai

Very Beautiful Poetry and Such a Lovely Design Created by Guddo. His Real Name is Munir and His Creations are Always Most Likeable. He use Beautiful Natural Objects in his Most Creations.

Site Updated Daily.. Keep Visting :)

Is Shehar Main Sab Kuch Hai Bas Teri Kami Hai

Khushbuon K Jazeeron Se Sitaron Ki Hadon Tak
Is Shehar Main Sab Kuch Hai Bas Teri Kami Hai

Kia Gham Hai Kia Khushi Maloom Nahi ( Designed by Hooria Naaz )

Kia Gham Hai Kia Khushi Maloom Nahi
Wo Apna Hai K Ajnabi Maloom Nahi
Jis K Baghair Aik Pal Nahi Guzarta
Kaise Guzre Gi Zindagi Maloom Nahi

Mohabbaton Main Wafaon Main Qaid Rakhon Ga ( Poetry of Ward Bazmi n Designed by Jia Khan )

Mohabbaton Main Wafaon Main Qaid Rakhon Ga
Tamaam Umer Duaon Main Qaid Rakhon Ga
Bachaa K Rakhon Ga Nafrat Ki Dhoop Se Her Pal
Prem Pairr Ki Chaon Main Qaid Rakhon Ga
Mere Labon K Jo Darwaze Waa Na Kar Paen
Humesha Aisi Sadaon Main Qaid Rakhon Ga
Ward Bazmi

Jab Tak Khuli Nahi Thi Israr Lag Rahi Thi ( Poetry of Alam Khursheed n Design by Musa Art )

Jab Tak Khuli Nahi Thi Israr Lag Rahi Thi
Ye Zindagi Mujhe Bhi Dushwar Lag Rahi Thi
Mujh Per Jhuki Hui Thi Phoolon Ki Aik Daali
Lekin Wo Mere Sir Per Talwar Lag Rahi Thi
Alam Khursheed

Yaktarfa Mohabbat Ka Nuqsan Bohat Hai

Yaktarfa Mohabbat Ka Nuqsan Bohat Hai
Dil Toot Jane Ka Imkan Bohat Hai
Hum Toot Kar Chahen Jise Usey Khabar Nahi
Is Amar Pe Hairan Dil Nadan Bohat Hai
Faryad Karti Ye Meri Tanhai
Bas Jao Is Dil Main Ye Veeran Bohat Hai
Hum Kahan Kisi K Aib Se Parda Uthaen Gey
Chunne Ko To Apna Hi Greban Bohat Hai

Mein aprein muqaddar koon ronda wadda haan ( Poetry of Shabbir Manzar n Designed by Passion Creations )

 Saraiki Ghazal
Muqaddar
Mein aprein muqaddar koon ronda wadda haan

te hanjuwaan dy moti pironda wadda haan

kisse juram di hai saza jehra ajj taein

mein dukh,dard zindgi dy dhonda wadda haan

mede ghar di chokhat toon sukh aa ke wal gaye

kisse simt bakhtaan dy sij wanj ke dhal gaye

karri sakht hijraan di rataan toon lar ke

mein roshan saher shab ich bhonda wadda haan

tamasha haan jug te tamasha sadendaan

mein moyaan dy wangoon zamane te jeendaan

misal haan mein kaein kacche koothy dy wangoon

jo tanzaan dy sawan toon chondha wadda haan

duaein vi mangdy aye lub suk gaye hin

arash te farash vich asar ruk gaye hin

kisse di taan manzoor arshaan te thi gai

jo khushiyan koon shabbir londha wadda haan


Shabbir Manzar

Bekhudi Main Tumhain Jab Yaad Karta Hon ( Poetry of Sada Hussain Sada n Designed by Passion )

Bekhudi Main Tumhain Jab Yaad Karta Hon
Tujh Se Milne Ki Phir Faryad Karta Hon
Roz Hi Yaad Main Teri Ghazal Keh Kar
Roz Ik Gham Naya Ejad Karta Hon
Kab Gawara Hai Dil Ko Bhoolna Tera
Chain Apna Main Yon Barbad Karta Hon
Phail Jati Hai Kamre Main Teri Khushbu
Main Khayalon Ko Jab Azaad Karta Hon
Bas K Mehsoos Hoti Hai Kami Teri
Besabab Dil Ko Kab Nashad Karta Hon
Sochta Hon Kahan Jaen Ye Ranj-o-Gham
Begharon Ko Sada Aabad Karta Hon
Sada Hussain Sada

Mere Meharban Qasid ( Poetry of Mehroo n Designed by Fozi Khan )

Pegham
Mere Meharban Qasid!
Khawab Ki Musafat Pe
Jane Wale Rahi Ko
Sirf Itna Keh Dena
"Umer K Kawarron Pe
Jane Kitne Barson Ki
Gard Jam Gai Janaa
Tera Rasta Takte
Tere Dil Garifta Ki
Sans Tham Gai Janaa..!
Mehroo

Lamha Lamha Teri Khushbu Se Moattar Guzra

Tu Mere Paas Na Thi Phir Bhi Sehar Hone Tak
Tera Her Saans Mere Jism Ko Choo Kar Guzra
Qatra Qatra Tere Deedar Ki Shabnam Tapki
Lamha Lamha Teri Khushbu Se Moattar Guzra

Mujhe Aur Kahin Le Chal Sanwal

Mujhe Aur Kahin Le Chal Sanwal
Jahan Raat Kabi Bhi Soi Na Ho
Jahan Subha Kisi Pe Roi Na Ho
Jahan Hijer Ne Wehshat Boi Na Ho
Jahan Koi Kisi Ki Khoi Na Ho
Mujhe Aur Kahin Le Chal Sanwal
Jahan Dard Kisi Ko Raas Na Ho
Jahan Koi Malool Udas Na Ho
Jahan Zulmat Ki Boo Baas Na Ho
Jahan Tu Bhi Zyada Paas Na Ho
Mujhe Aur Kahin Le Chal Sanwal

Nahi Maloom Kaisa Tha Makaan Kal Shab Jahan Main Tha ( Designed by Shahid Ali Kiani )

Nahi Maloom Kaisa Tha Makaan Kal Shab Jahan Main Tha
K Her Soo Raqs-s-Bismal Tha Wahan Kal Shab Jahan Main Tha
Ameer Khusru

Ik Thaka Hua Aansu ( Designed by Queen Victoria )

Kia Mila Mohabbat Se?
Khawab Ki Musafat Se
Wisal Ki Tamazat Se
Roz-o-Shab Riyazat Se
Kia Mila Mohabbat Se
Aik Hijer Ka Sehra
Aik Sham Yadon Ki
Ik Thaka Hua Aansu

Dil Zid Kar Raha Tha K Mujhe Mohabbat Chahiye ( Designed by Khan Jan )

Zakham Khareed Laya Hon Bazar-e-Ishq Se
Dil Zid Kar Raha Tha K Mujhe Mohabbat Chahiye

Wo Is Andaz Ki Mujh Se Mohabbat Chahta Hai ( Designed by Guddo )

Wo Is Andaz Ki Mujh Se Mohabbat Chahta Hai
Mere Her Khawab Per Apni Hakumat Chahta Hai
Wo Kehta Hai Main Us Ki Zaroorat Ban Chuka Hon
To Goya Wo Mujhe Hisb-e-Zaroorat Chahta Hai

Likhi Hui Dukhon Ki Kitab Parhna ( Poet n Design b Wafa Ghulam Nabi Shaikh )

Likhi Hui Dukhon Ki Kitab Parhna
Sisakta Hua Her Ik Baab Parhna
Preshan Haal Ghoom Rahe Hain
Bina Tabeer Mere Wo Khawab Parhna
Umer Kaise Kat'ti Hai Intezar Main
Meri Aankhon K Wo Azaab Parhna
Jhooti Tehreerain Jhootey Waadey
Kiye Jo Tum Ne Be Hisaab Parhna
Bhejey Jo Tum Ne Wafa Ko Kante
Likha Hai Main Ne Unhain Gulaab Parhna
Wafa Ghulam Nabi Shaikh

Sakhi To Heer Jaisi Hai ( Poetry of Fakhira Batool n Designed by Abu Hamza )

Sakhi To Heer Jaisi Hai
Kahani Phir Chali Aai Mujhe Milne
Sakhi! Kaise Guzarti Hai?
Mere Honton Pe Taale Dekh Kar Wo Chonk Si Uthi
Wo Kuch Pal Soch Kar Boli
Sakhi To Heer Jaisi Hai
Fakhra Batool

Jo Main Ne Chaha Tha Ho Jaye ( Poetry of Saad Ullah Shah n Designed by Deepless Eyes )

Jo Main Ne Chaha Tha Ho Jaye Wo Hua To Nahi
Magar Ye Dard Meri Zaat Se Juda To Nahi
Wo Be-Niaz Hai Tum Se To Chor Do Us Ko
Wo Aik Shakhs Hai Aakhir Khuda To Nahi
Usi Ki Roshni Shamil Hai Mere Ashkon Main
Jo Deep Us Ne Jalaya Tha Wo Bujha To Nahi
Saad Ullah Shah

Dil ( Poetry of Sada Hussain Sada n Designed by Passion Creations )

Aik Toota Hua Sitara Dil
Ho Gia Ishq Main Sharara Dil
Teri Ban Gai Wafa Teri
Chahta Hai Tumhain Humara Dil
Ik Na Sajh Saki Tasweer Is Main
Umer Bhar Hi Raha Kanwara Dil
Badguman Ho Gia Zamane Se
Kar Diya Tu Ne Bhi Khasara Dil
Ja Baja Bas Gaye Tum Hi Is Main
Ab Kahan Dil Raha Humara Dil
Kyon Yaqeen Pyar Per Nahi Karta
Kis Qadar Sakht Hai Tumhara Dil
Tum Sambhalo 'Nahi Nahi' Apni
Hum Sambhalen Gham Ka Maara Dil
Phir Kahan Dhondte Phiro Gey Tum
Kar Gia Jo Sada Kinara Dil
Sada Hussain Sada