Mohabbat Zinda Rehti Hai

A Lovely Poetry of Khalil Ullah Farooqi and Beautiful Design created by Creative Sign. His Real Name is Waseem Abbas. Creative Sign is not just a great urdu artwork designer, he is also a nice poet.

Amazing Watermelon Art

Such an Amazing and So Beautiful Watermelon Artwork by an Unknown Artist.

Lakeeren Jhoot Bolti Hain

Very Nice Poetry and Beautifully Designed by Queen Victoria. Her real Name is Shabnam Iqbal. She is one of the Most Renowned Urdu Poetry Designers.

All Because Of You

I awake each day with a smile, And greet it with a laugh, The world is a treasure to me, Because of you...

Mohabbat Sath Deti Hai

Very Beautiful Poetry and Such a Lovely Design Created by Guddo. His Real Name is Munir and His Creations are Always Most Likeable. He use Beautiful Natural Objects in his Most Creations.

Site Updated Daily.. Keep Visting :)

Ashaaq K Taeen Hai Ajz-o-Niaz Wajib ( Poetry by Meer Taqi Meer n Designed by Anamika )

Click on pic for full view
Ashaaq K Taeen Hai Ajz-o-Niaz Wajib
Hai Farz-e-Ain Rona Dil Ka Gadaaz Wajib
Meer Taqi Meer

Hum To Bas Khawab Hain Kuch Pal Main Bikharne Wale...!! ( Designed by Asif's Creation )

Click on pic for full view
Hum To Bas Khawab Hain
Kuch Pal K Liye Dekho Humen
Phir Kisi Aankh Kisi Neend
Main Aane K Nahi
Phir Kisi Rah Kisi Mor Per
Hum Hon Gey Nahi
Hum To Bas Gard Hain
Kuch Dair Main Mit Jaen Gey
Hum To Khushbu Hain
Humen Rang Na Koi Dena
Sirf Ehsas Ko Choo Kar Hai Guzar Jana Humen
Hum To Aansu Hain Bahen Gey
To Na Loten Gey Kabi
Hum To Bas Zakham Hain
Seeney Ka.....Humen Bharna Hai
Hum Wo Ehsas Ki Bailen Hain Jo Chaon Chahen
Door Ki Dhoop Jo Choo Le To Humen Marna Hai
Hum To Bas Khawab Hain Kuch Pal Main Bikharne Wale...!!

Pro Diye Mere Aansu Hawa Ne Shakhon Main ( Poetry by Parveen Shakir n Designed by Bisma's Arts )

Click on pic for full view
Pro Diye Mere Aansu Hawa Ne Shakhon Main
Bharam Bahar Ka Baqi Rahe Nigahon Main
Saba To Kia K Mujhe Dhoop Tak Jaga Na Saki
Kahan Ki Nend Utar Aai Hai In Aankhon Main
Kuch Itni Taiz Hai Surkhi K Dil Dharakta Hai
Kuch Aur Rang Pas-e-Rang Hai Gulabon Main
Spurdgi Ka Nasha Tootne Nahi Paata
Anaa Samai Hui Hai Wafa Ki Bahon Main
Badan Pe Girti Chali Ja Rahi Hai Khawab Si Barf
Khanak Spedi Ghuli Ja Rahi Hai Sanson Main
Parveen Shakir

Raqs Karte Huey Darwesh Ko Maloom Hai Sab ( Poetry by Adnan Khan Asar n Designed by Raja Azhar )

Click on pic for full view
Raqs Karte Huey Darwesh Ko Maloom Hai Sab
Kitne Adwar Hain Urti Hui Is Khak Main Gum
Adnan Khan Asar

Wo Mohabbat Main Qalandar Bhi To Ho Sakta Hai ( Designed by Waheed's Art )

Click on pic for full view
Aik Muddat Se Tujhe Wird Main Rakha Jis Ne
Wo Mohabbat Main Qalandar Bhi To Ho Sakta Hai
Tere Koochey Main Jo Aaya Hai Ghulamon Ki Tarha
Wo Apni Basti Ka Sikandar Bhi To Ho Sakta Hai
Silsila Waar Agar Ashk Giraye Jaen
Ye Jo Sehra Hai Samundar Bhi To Ho Sakta Hai
Kab Talak Tere Khayalon K Sahare Pe Jiyen
Dil Teri Yaad Se Munkar Bhi To Ho Sakta Hai

Ik Ye Khawahish K Koi Zakham Na Dekhey Dil Ka ( Designed by Bisma's Arts )

Click on pic for full view
Ik Ye Khawahish K Koi Zakham Na Dekhey Dil Ka
Ik Ye Hasrat K Koi Dekhne Wala Hota

Sabab Jo Dhoondo Gey To Umren Beet Jaen Gi ( Designed by Black Pearl )

Click on pic for full view
Sabab Jo Dhoondo Gey To Umren Beet Jaen Gi
Kaha Naa Yaad Aate Ho To Bas Phir Yaad Aate Ho

Talab Ko Ajar Na Don Fiker-e-Rahguzar Na Karon ( Poetry by Mohsin Naqvi n Designed by Sunny Shah )

Click on pic for full view
Talab Ko Ajar Na Don Fiker-e-Rahguzar Na Karon
Safar Main Ab K Hawa Ko Bhi Humsafar Na Karon
Ubharte Doobte Suraj Se Tor Lon Rishta
Main Sham Orrh K So Jaon Aur Sehar Na Karon
Ye Mere Dard Ki Dolat Meri Mata-e-Firaq
In Aansuon Ki Wazahat Main Umer Bhar Na Karon
Ujaar Shab Ki Khalash Ban K Ban Main Kho Jaon
Main Chandni Ki Tarha Khud Ko Dar Badar Na Karon
Wo Aik Pal Ko Dikhai To De Kahin Mohsin
Main Jaan Ganwa Kar Bhi Us Pal Ko Mukhtasir Na Karon
Mohsin Naqvi

Eid Ka Chand ( Poetry by Saghar Siddiqui n Designed by Jawaid Khan )

Click on pic for full view
Chaak Daaman Ko Dekha To Mila Eid Ka Chand
Apni Tasweer Kahan Bhool Gia Eid Ka Chand
Un K Abroye Khameeda Ki Tarha Teekha Hai
Apni Aankhon Main Bari Dair Chubha Eid Ka Chand
Door Veeran Baserey Main Diya Ho Jaise
Gham Ki Deewar Se Dekha To Laga Eid Ka Chand
Le K Halaat K Sehraon Main Aa Jana Hai
Aaj Bhi Khuld Ki Rangeen Fiza Eid Ka Chand
Talkhiyan Barh Gaien Jab Zeest K Pemane Main
Ghol K Dard K Maron Ne Piya Eid Ka Chand
Chashm To Wussat-e-Aflaak Main Khoi Saghar
Dil Ne Ik Aur Jagah Dhoond Liya Eid Ka Chand
Saghar Siddiqui

Meri Dehleez Per Bethi Hui ( Poetry by Gulzar n Designed by Bisma's Arts )

Click on pic for full view
Meri Dehleez Per Bethi Hui
Zanon Pe Sar Rakhe
Ye Shab Afsos Karne Aai Hai
K Mere Ghar Pe
Aaj Hi Jo Mar Gia Hai Din
Wo Din Hamzaad Tha Is Ka
Wo Aai Hai K Mere Ghar Main Us Ko
Dafan Kar K Aik Diya Dehleez Per Rakh Kar
Nishani Chor De K Mehv Hai Ye Qabar
Is Main Koi Dosra Aa Kar Nahi Lete
Main Shab Ko Kaise Batlaon
Bohat Din Mere Aangan Main Yon Aadhe Adhoore Se
Kafa Orrhay Parre Hain Kitne Salon Se
Jinhen Main Aaj Tak Dafna Nahi Paya
Sampooran Singh Gulzar

Aaiye Barishon Ka Mousam Hai ( Designed by Anamika )

Click on pic for full view
Aaiye Barishon Ka Mousam Hai
In Dino Chahaton Ka Mousam Hai
Kyon Lagate Ho Pyar Per Pehre
Umer Hai Khawahishon Ka Mousam Hai
Waqt Be Waqt Ghar Se Mat Niklo
Her Gali Aashiqon Ka Mousam Hai
Aaj Kuch Maang Lo Naseem Un Se
Aaj Farmaishon Ka Mousam Hai

Abi To Dard Hai Jis Ne Samet Rakha Hai ( Poetry by Aatif Saeed n Designed by Pasha Shah )

Click on pic for full view
Abi To Dard Hai Jis Ne Samet Rakha Hai
Ye Na Raha To Bikhar Jaye Gi Ye Tanhai
Aatif Saeed

Mujhe Mat Chor Kar Jana ( Poetry by Nusrat Naseem n Designed by Passion Creations )

Click on pic for full view
Pukara Karb Se Dil Ne Mujhe Mat Chor Kar Jana
Nahi Phir Raste Milne Mujhe Mat Chor Kar Jana
Judai K Tasawwar Se Ye Dharti Kanp Uthi Hai
Laga Hai Arsh Bhi Hilne Mujhe Mat Chor Kar Jana
Karo Tum Yaad Wo Pemaan Humare Sath Jeene K
Kaha Tha Dil Se Jab Dil Ne Mujhe Mat Chor Kar Jana
Musarrat Ki Kiran Phaile Gi Chatt Jaye Gi Tareeki
Wafa K Phool Hain Khilne Mujhe Mat Chor Kar Jana
Jigar Main Chaid Kar De Gi Faqat Ik Pal Ki Doori Bhi
Hain Zakham-e-Hijer Kab Silne Mujhe Mat Chor Kar Jana

Nusrat Naseem

Main Aasman K Aangan Main Ghar Bana Leta ( Designed by Guddo )

Click on pic for full view
Mujhe Faraib Na Milta Agar Sitaron Se
Main Aasman K Aangan Main Ghar Bana Leta

Udasi Naam Hai Jis Ka ( Designed by Bisma's Arts )

Click on pic for full view
Udasi Naam Hai Jis Ka
Us Azab Main Barson Se Muqeed Hon

Tumhain Mujh Se Mohabbat Thi ( Poetry by Seema Ghazal n Designed by Maira Haider )

Click on pic for full view
Shikayat
Mujhe Tum Se Shikayat Hai
K Tum Ne Umer Bhar Mujh Ko
Khabar Ye Bhi Na Hone Di
Tumhain Mujh Se Mohabbat Thi
Seema Ghazal

Dunia Ki Mehfilon Se Ukta Gia Hon Ya Rab ( Designed by Queen Victoria )

Click on pic for full view
Dunia Ki Mehfilon Se Ukta Gia Hon Ya Rab
Kia Lutf Anjuman Ka Jab Dil Hi Bhuj Gia Ho

Mohabbat Chehre Dekh K Nahi Hoti ( Poetry by Rabia Basri n Designed by Guddo )

Click on pic for full view
Mohabbat Chehre Dekh K Nahi Hoti
Kaie Chahat Bhare Se Dil
Bohat Se Chand Chehre
Kaie Jadu Bhari Aankhen
Mohabbat Se Bhari Bahen
Bulati Hain
Us Khushnawa Ki Halki Si Sada Sunne Ko
Jane Kis Kis Ne
Apni Samahaten Rehan Rakhwai Thien
Lekin Suraj Ne Ik Subah
Apni Aankhen Khol K Khirki Se Jhanka
To Hairan Ho Gia
Palken Tak Jhapakna Bhool Betha
Wo Ziddi Teekhi Si
Khush Adaa Aur Khush Galo Larki
Bohat Hi Aam Se Ik Shakhs K
Qadmon Main Sar Rakh K
Mohabbat Mangti Thi
Rabia Basri

Kabi Lamhon Ki Qabron Se ( Poetry by Fakhra Gul n Designed by Passion Creations )

Click on pic for full view
Kabi Lamhon Ki Qabron Se
Purane Lafz Uth Kar
Be Zubani Ki Faseelon Tak Pohnchte Hain
Badan Per Chand Adhoore Khawab Aur Alfaz Be Chehra
Haroof-e-Be Zuban, Pasmurda Aur Be Chain Benaiyan
Sham Ki Yaad Ki Dehleez K Us Paar Aksar
Waqt Ko Dorta Paate Hain To Ro Parte Hain
Larkharaye Jo Kabi Ankahi Baton Ka Khayal
Aik Veeran Hansi Hanste Hi Ro Parte Hain
Jaise Pardes Main Pohnche Koi Ghamnak Khabar
Aur Ghut Ghut K Roye Jate Hain Tanha Aksar
Jaise Awaz Ki Parchaen Sar-e-Koocha-e-Dil
Jane Walon Ko Pukare Hi Chali Jati Ho
Bazgasht Ban K Kisi Ghonj Main Dhal Jati Ho
Neem Bedaar Tamanna Tere Aa jane Ki
Neem Soi Hui Hasrat Bhi Agar Bas Main Ho
Ankahi Baton K Veeran Jazeeray Se Kahin
Bhoolna Is Se To Behtar Hai Agar Bas Main Ho.

Fakhra Gul

Agar Tum Khol Bethey Ho ( Designed by Bisma's Art )

Click on pic for full view
Agar Tum Khol Bethey Ho
Ye Safa Sham Se Pehle
Muqaam Sabar Se Pehle
Had-e-Ilzam Se Pehle
Kahani Khatam Hi Karni Hai
Agar Anjam Se Pehle
To Ye Bhi Faisla Kar Lo
K Hum Likhen To Kia Likhen
Tumhare Naam Se Pehle

Sab Ashk Beh Gaye To Udasi Thehar Gai ( Designed by Ahmad Ali )

Click on pic for full view
Khali Nahi Raha Kabi Aankhon Ka Ye Makaan
Sab Ashk Beh Gaye To Udasi Thehar Gai

Kitab Aur Khawab ( Designed by Guddo )

Main Tumhari Aankhon K Kinare Beth Kar
Khawabon K Bare Main
Aik Kitab Likhna Chahta Hon

Kitna Aasan Tha Tere Hijer Main Marna Janaa ( Designed by Lucky Naz Creations )

Click on pic for full view
Kitna Aasan Tha Tere Hijer Main Marna Janaa
Phir Bhi Ik Umer Lagi Jaan Se Jate Jate

Sakoot-e-Qarb Main Utro To Yaad Kar Lena ( Designed by Waheed's Art )

Click on pic for full view
Sakoot-e-Qarb Main Utro To Yaad Kar Lena
Kabi Jo Toot K Bikhro To Yaad Kar Lena
Khushi K Waqt Main Chahe Humen Bhula Dena
Ghamon Ki Rah Jo Dekho To Yaad Kar Lena
Ganwa Na Dena Kahin Umer Pashemani Main
Khud Apne Aap Se Uljho To Yaad Kar Lena
Maana Tum Guftagu K Mahir Ho
Wafa K Lafz Pe Atko To Yaad Kar Lena

Mere Andar Bhi Ro Raha Hai Koi ( Poetry by Farhat Abbas Shah n Designed by Queen Victoria )

Click on pic for full view
Shehar Barbad Ho Raha Hai Abi
Aur Tu Hai K So Raha Hai Abi
Dekh Veeran Ho Raha Hai Jahan
Aur Tu Dagh Dho Raha Hai Abi
Tere Andar Bhi Koi Dukh Main Hai
Mere Andar Bhi Ro Raha Hai Koi
Farhat Abbas Shah

Agar Tum Pas Rehte To ( Designed by Guddo )

Click on pic for full view
Mohabbat K Sawalon Ko Hawale Mil Gaye Hote
Jahan Phoolon Ko Khilna Tha Wahin Per Khil Gaye Hote
Meer Emaan Ki Takmeel Bhi Aasan Ho Jati
Faraiyat Mujhe Be Simt Raston Per Na Bhatkati
Zaroort Mujh Ko Be Awaz Chehron Se Na Milwati
Hazar Sooraton Main Yon Kabi Tajseem Na Hota
Agar Tum Pas Rehte To
Main Yon Taqseem Na Hota...!!

Kis Tarha Khud Ko Teri Fikar Se Azaad Karon ( Poetry by Aatif Saeed n Designed by Creative Sign )

Click on pic for full view
Kis Tarha Khud Ko Teri Fikar Se Azaad Karon
Apni Sochen Teri Sochon Se Churaon Kaise
Aatif Saeed

Jankani Main Mareez-e-Hasti Hai ( Poetry by Aitbar Sajid n Designed by Jia Khan )

Click on pic for full view
Jankani Main Mareez-e-Hasti Hai
Mangta Hai Dawa Zamane Se
Charasazo Sunehri Moqa Hai
Zehar De Do Isi Bahane Se
Aitbar Sajid

Teri Yaden ( Designed by Fozi Creations )

Click on pic for full view
Teri Yaden
Zaat Ki Chatano Per
Jism-o-Jaan K Sahil Per
Aik Ajab Talatum Hai
Aankhon Ki Nami Dil Se
Moj Ban Kar Milti Hai
Hum To Bas Akaile Hain
Jane Kyon Teri Yaden
Foj Ban Kar Milti Hain

Ye Khoobru Log Jin Ki Aankhen ( Poetry by Mohsin Naqvi n Designed by Sunny Shah )

Click on pic for full view
Ye Khoobru Log Jin Ki Aankhen
Tumhare Ujley Badan Per Chispaan
Tumhare Naqsh-e-Qadam Ki Khushbu Main
Sabt Aise
Bhanwar Main Jaise Hina K Pattey
Main Sochta Hon
K Itni Aankhon K Dairon Main
Meri Akaili
Udas Aankhon Ki
Hesiyat Kia Hai
Meri Wafa Ka Muqaam Kia Hai
Meri Mohabbat Ka Naam Kia Hai
Mohsin Naqvi

Tum Dard Ki Qeemat Mat Poocho ( Poetry by Afshan Afsh n Designed by Nida's Art )

Click on pic for full view
Tum Dard Ki Qeemat Mat Poocho
Be Mol Khareedey Jate Hain
Afshan Afsh

Ye Dasht-e-Hijer Ye Wehshat Ye Sham K Saye ( Poetry by Amjad Islam Amjad n Designed by Bisma's Art )

Click on pic for full view
Ye Dasht-e-Hijer Ye Wehshat Ye Sham K Saye
Khuda Ye Waqt Teri Aankh Ko Na Dikhlaye
Usi K Naam Se Lafzon Main Chand Utre Hain
Wo Aik Shakhs K Dekhon To Aankh Bhar Aaye
Jo Kho Chuke Hain Unhen Dhoondna To Mumkin Hai
Jo Ja Chuke Hain Unhen Koi Kis Tarha Laye
Kali Se Main Ne Gul-e-Tr Jise Banaya Tha
Ruten Badalti Hain Kaise Mujhe Hi Samjhaye
Jo Be Charagh Gharon Ko Charagh Deta Hai
Usey Kaho K Mere Shehar Ki Taraf Aaye
Ye Iztarab Musalsal Azaab Hain Amjad
Mera Nahi To Kisi Aur Hi Ka Ho Jaye
Amjad Islam Amjad

Meri Aankhon Se Dhoonden Tujhe Her Soo Dekhen ( Poetry by Ahmed Nadeem Qasmi n Designed by Deepless Eyes )

Click on pic for full view
Meri Aankhon Se Dhoonden Tujhe Her Soo Dekhen
Sirf Khalwat Main Jo Karte Hain Nazara Tera
Wo Andheron Se Bhi Drana Guzar Jate Hain
Jin K Mathey Main Chamakta Hai Sitara Tera
Nadiyan Ban Kar Paharon Main To Sab Ghoomte Hain
Rehguzaron Main Bhi Behta Raha Darya Tera
Ahmed Nadeem Qasmi

Beautiful Handmade Paintings by Nadia Birru

Click on pic for full view

Paring (illustration to story "The Island', canvas, acrill)

Meeting (painting on a wall, 2011)

The lanscape with a cross (canvas, actill, 2010)

Vegatables (tray, iron, oil)

Nastya (canvas, acrill, 2010)

Scarlet sails (canvas, acrill)

Crimean Lavra (canvas, acrill)

The Island (illustaration to the same story, paper, water-colors)

Flowers (tray, plastic, oil)

Fruits (tray, iron, oil)

Orpheus and Eurydice (paper, charcoal pencil, 2010)

Asoka the Great (cancas, acrill, 2009)

Aamir (canvas, acrill, 2012)

Pray (wood, oil, 2007)
Beautiful Handmade Paintings by Nadia Birru

Kia Kahon Tum Se Talluq Ka Ye Kaisa Mor Hai ( Poetry by Aatif Saeed n Designed by Lucky Naz Creations )

Click on pic for full view
Kia Kahon Tum Se Talluq Ka Ye Kaisa Mor Hai
Guftagu Ka Rukh Mura Hai Ab Bahano Ki Taraf
Aatif Saeed

Gham-e-Hijran Ki Aziyat Sahi Na Jaye Gi ( Poetry by Saqib Ali Saaqi n Designed by Waheed's Art )

Click on pic for full view
Gham-e-Hijran Ki Aziyat Sahi Na Jaye Gi
Hum Juda Hote Hi Mar Jaen To Acha Ho Ga
Saqib Ali Saaqi