Mohabbat Zinda Rehti Hai

A Lovely Poetry of Khalil Ullah Farooqi and Beautiful Design created by Creative Sign. His Real Name is Waseem Abbas. Creative Sign is not just a great urdu artwork designer, he is also a nice poet.

Amazing Watermelon Art

Such an Amazing and So Beautiful Watermelon Artwork by an Unknown Artist.

Lakeeren Jhoot Bolti Hain

Very Nice Poetry and Beautifully Designed by Queen Victoria. Her real Name is Shabnam Iqbal. She is one of the Most Renowned Urdu Poetry Designers.

All Because Of You

I awake each day with a smile, And greet it with a laugh, The world is a treasure to me, Because of you...

Mohabbat Sath Deti Hai

Very Beautiful Poetry and Such a Lovely Design Created by Guddo. His Real Name is Munir and His Creations are Always Most Likeable. He use Beautiful Natural Objects in his Most Creations.

Site Updated Daily.. Keep Visting :)

Teri Yaden Bhool Jane Tak ( Designed by Raja Azhar )

Click on pic for full view
Teri Yaden Bhool Jane Tak
Maar De Ga Tera Khayal Mujhe

Jo Us Ki Chah Main Guzri Wo Zindagi Thi Meri ( Designed by Waheed's Art )

Click on pic for full view
Jo Us Ki Chah Main Guzri Wo Zindagi Thi Meri
Phir Us K Baad Guzara Hai Zindagi Ne Mujhe

Wo Sawan Jis Main Zulfon Ki Ghata Chai Nahi Hoti ( Poetry by Qateel Shafai n Designed by Bisma's Arts )

Click on pic for full view
Wo Sawan Jis Main Zulfon Ki Ghata Chai Nahi Hoti
Jo Barse Bhi To Serab Apni Tanhai Nahi Hoti
Janab-e-Ishq Karte Hain Karam Kuch Khas Logon Per
Her Insan K Muqaddar Main To Ruswai Nahi Hoti
Samundar Pur Sakoon Hai Is Liye Gehra Bhi Hai Warna
Machalti Nadiyon Main Koi Gehrai Nahi Hoti
Ye Wa'az Hai, Nahi Taqreer Main Rakhta Jawab Apna
Magar Us Shakhs Ki Baton Main Sachai Nahi Hoti
Qateel Shafai

I love the way you say, "I Love You"

I love the way you look at me,
Your eyes so bright and blue.
I love the way you kiss me,
Your lips so soft and smooth.

I love the way you make me so happy,
And the ways you show you care.
I love the way you say, "I Love You"
And the way you're always there.

I love the way you touch me,
Always sending chills down my spine.
I love that you are with me,
And glad that you are mine.

Being in love with you

Being in love with you makes every morning worth getting up for...

Suno! Ay Mom Ki Gurya ( Designed by Waheed's Art )

Click on pic for full view
Suno! Ay Mom Ki Gurya
Suno! Ay Mom Ki Gurya
Ab Is Dour K Andar
Koi Majnu Nahi Banta Koi Ranjha Nahi Hota
Qadam Do Chaar Chalne Se
Safar Saanjha Nahi hota
To In Bekaar Sochon Pe
Suno! Rone Ka Dar Kaisa
Jise Paya Nahi Tum Ne
Usey Khone Ka Dar Kaisa

Ehsas-e-Jurm ( Novel Lines by Fakhra Gul n Designed by Passion Creations )

Click on pic for full view
Ehsas-e-Jurm Irtkab-e-Jurm Se Zyada Balke Kahin Ziada Khalish Ka
Baais Banta Hai Kyon K Irtkab-e-Jurm To Waqt Ki Chand Ghariyon K Sath Khatam
Ho Jata Hai Is K Bar-aks Ehsas-e-Jurm Dil Main Zinda Ho Jaye To Phir
Marta Nahi Hai Balke Murtakib Ki Zindagi Ko Ghan Ki Tarha Chat Leta Hai.

Iqtebas: "Wohi Aik Lamha Zeest Ka" by "Fakhra Gul"

Mohabbat Kia Hui Ruswa Zamane Main ( Poetry by Sada Hussain Sada n Designed by Passion Creations )

Click on pic for full view
Mohabbat Kia Hui Ruswa Zamane Main
Jise Dekha Wohi Tanha Zamane Main
Hazaron Rang Hain Dunia K Dunia Main
Koi Jhoota Koi Sacha Zamane Main
Koi Samjha Mujhe Na Main Kisi Ko Yaan
Na Marta Main To Kia Karta Zamane Main
Khuda Se Lo Lagai To Sakoon Paya
Sakoon-e-Qalb Kab Dekha Zamane Main
Wo To Shah Rag Se Bhi Nazdeek Tha Mere
Jise Din Raat Hai Dhoonda Zamane Main
Ye Qasmain Aur Waadey Yar Sab Jhoote
Main Ne Dekha Nahi Kia Kia Zamane Main
Safar Dunia, Musafat Zindagi, Such Hai
To Phir Main Kyon Sada Uljha Zamane Main

Sada Hussain Sada

Roz-o-Shab K Meley Main Ghaflaton K Maare Hum ( Designed by Guddo )

Click on pic for full view
Roz-o-Shab K Meley Main Ghaflaton K Maare Hum
Shayd Ye Samajhte Hain Hum Ne Jis Ko Dafnaya
Bas Usi Ko Marna Tha

Mujhe Tum Yaad Aate Ho ( Poetry by Farhat Abbas Shah n Designed by Guddo )

Click on pic for full view
Kahin Barish Baras Jaye
Kahin Sehra Taras Jaye
Kahin Kali Ghata Utre
Kahin Bad-e-Saba Thehre
Tumhare Aur Mere Darmiyan
Aa Kar Khuda Thehre
To Meri Zindagi K Awwal-o-Aakhir
Tum Us Lamhe
Khuda K Baad Aate Ho
Mujhe Tum Yaad Aate Ho
Farhat Abbas Shah

Main Jise Yaad Kar Raha Hon Yahan ( Poetry by Aatif Saeed n Designed by Pasha Shah )

Click on pic for full view
Main Jise Yaad Kar Raha Hon Yahan
Main Usey Yaad Bhi Nahi Hon Ga
Aatif Saeed

Farigh Na Janiye Mujhe, Masroof-e-Jang Hon ( Designed by Bisma's Arts )

Click on pic for full view
Farigh Na Janiye Mujhe, Masroof-e-Jang Hon
Us Chup Se Jo Kalam Se Aage Nikal Gai

Aaj Dard Bhi Us Ne Alehda Kar Liye ( Designed by Alone Fairy )

Click on pic for full view
Aaj Dard Bhi Us Ne Alehda Kar Liye
Aaj Main Roya To Mere Sath Wo Roya Na Tha

Main Bohat Thak Gai Thi ( Poetry by Rabia Basri n Designed by Guddo )

Click on pic for full view
Main Bohat Thak Gai Thi
Tumhari Be-Aitnai Bari Jaan Leva Thi
Jabhi
Ik Shajar Apna Saya Liye Meri Aur Aaya
To Main Ne
Umer Bhar K Liye
Us Ki Chaon Orrh Lene Ka Faisla Kar Liya
Teri Yadon Se Khud Ko Reha Kar Liya
Suno Ho Sake To
Khud Ko Meri Jaga Rakh K Sochna
Aur Dil Ki Chubhan
Meri Uljhan
Safar Ki Thakan Samne Rakh K
Mujhe Maaf Kar Dena
Rabia Basri

Haqeeqat Main Ye Khamoshi Humesha Chup Nahi Hoti ( Designed by Anamika )

Click on pic for full view
Haqeeqat Main Ye Khamoshi Humesha Chup Nahi Hoti
Kabi Tum Ghor Se Sunna Bohat Qissay Sunati Hai

Jin Shamon Main Tujhe Bhoolna Chahen ( Designed by Khurram Warsi )

Click on pic for full view
Jin Shamon Main Tujhe Bhoolna Chahen
Wohi Raaten Azaab Hoti Hain
Apni Yaadon K Silsiley Roko
Humari Neenden Kharab Hoti Hain

Kaafi Arsa Beet Gia ( Designed by Hooria Naaz )

Kaafi Arsa Beet Gia
Jane Ab Wo Kaisa Ho Ga,

Waqt Ki Saari Karwi Baten
Chup Chap Hi Wo Sehta Ho Ga,

Ab Bhi Bheegi Barish Main Wo
Bin Chatri K Chalta Ho Ga,

Mujh Se Bichre Arsa Beeta
Ab Wo Kis Se Larta Ho Ga,

Acha Tha Jo Sath Hi Rehte
Baad Main Us Ne Socha Ho Ga,

Apne Dil Ki Sari Baten
Khud Se Khud Hi Kehta Ho Ga,

Aankhen Num Bhi Hoti Hon Gi
Yaad Wo Aanchal Karta Ho Ga,

Naam Wafa Ka Aaye Jab To
Yaad Mujhe Wo Karta Ho Ga.

Abi Ye Hijer Ki Tasweer Namukammal Hai ( Poetry by Aatif Saeed n Designed by Deepless Eyes )

Click on pic for full view
Abi To Is Main Mujhe Bebasi Dikhani Hai
Abi Ye Hijer Ki Tasweer Namukammal Hai
Aatif Saeed

Kyon Bheeg Rahi Hai Raat Meri ( Poetry by Samina Raja n Designed by Arabian Artist )

Click on pic for full view
Kyon Bheeg Rahi Hai Raat Meri
Kia Koi Kahin Pe Ro Raha Hai
Samina Raja

Main Tere Sang Sada Hon Jahan Ho Tu Janaa ( Poetry by Nusrat Naseem n Designed by Passion Creations )

Click on pic for full view
Main Tere Sang Sada Hon
Jahan Ho Tu Janaa
Shab-e-Siyah Main Taron Ki Rida Ki Soorat
Zair-e-Lab Pinha Kisi Hurf-e-Dua Ki Soorat
Bahaar-e-Subha Main Baad-e-Saba Ki Soorat
Tere Wajood Main Gardish-e-Lahu Ban Kar
Falak Pe Rang-e-Dhanak Aur Gul Main Boo Ban Kar
Dil-e-Hazeen Main Betab Aarzu Ban Kar
Main Tere Sang Sada Hon
Jahan Ho Tu Janaa
Daaman-e-Abar Se Barish Ho Kabi Yadon Ki
Bhigoye Oss Jo Siskarte Se Khawabon Ki
Sahi Na Jaye Saza Hijer K Ataabon Ki
Akaile Pan Ki Udasi Mehsoor Karne Lage
Gham-e-Firaq Rag-o-Jaan Main Gr Utarne Lage
Sada Dena Mujhe Jab Bhi Tu Bikharne Lage
Main Tere Sang Sada Hon
Jahan Ho Tu Janaa...

Nusrat Naseem

Her Ik Mitti Ki Fitrat Main Wafadari Nahi Hoti ( Designed by Alone Fairy )

Click on pic for full view
Shajar Tab Hi Lagana Jab Zameenon Ko Parakh Lena
Her Ik Mitti Ki Fitrat Main Wafadari Nahi Hoti

Kisi Roz Barish Me Ghar Se Nikalna ( Designed by Passion Creations )

Click on pic for full view
Kisi Roz Barish Me Ghar Se Nikalna
Khizan Me Gire Toote Patton Pe Chalna
Tapakne Lage Jab Darakhton Se Pani
Tumain Yaad Aaye Gi Beeti Kahani
K Jab Hum Kisi Sham Tum Se Mile They
Mohabat K Raston Pe Hum Tum Chale They
Teri Neeli Ankhon Me Rang-e-Wafa Tha
Kanwal Jheel Me Jaise Khilne Laga Tha
Wo Saddiyon K Kissey Wo Baten Purani
Karen Yaad Kyon Kar Wo Beeti Kahani
Mohabat Ki Shamma Jala Di Bujha Di
Ajab Ik Kahani Hai Rang-e-Wafa Ki

Zindagi Kia Kehti Hai ( Designed by Lucky Naz Creations )

Click on pic for full view
Khushiyan Aur Gham Sehti Hai
Phir Bhi Ye Chup Rehti Hai
Ab Tak Kisi Ne Na Jana
Zindagi Kia Kehti Hai

Kabi Lafz Bhool Jaon Kabi Baat Bhool Jaon ( Designed by Passion Creations )

Click on pic for full view
Kabi Lafz Bhool Jaon Kabi Baat Bhool Jaon,
Tujhe Is Qadar Chahon Apni Zaat Bhool Jaon,
Uth Kar Kabi Jo Tere Paas Se Chal Don,
Jate Huey Khud Ko Tere Paas Bhool Jaon.

Ajnabi Sham ( Poetry by Samina Raja n Designed by Arabian Artist )

Click on pic for full view
Ajnabi Sham Aankhon K Raste Main Thehri Hui Hai
Khmoshi K Jaisi Hawa Narm Ro Hai
Hawa Ki Nashebi Guzargah Per
Apne Saye Samete Huey
Sab Shajar Sadhuon Ki Tarha Chup Khare Hain
Kisi Dehaan Main Gum...Kisi Jaap K Sehar Main
Baad-e-Sar Sabz Ka
Koi Chanchal Sa Jhonka Jo Guzre
To Sab Chonk Uthte Hain
Pat Jharr Se Surkhaye Kuch Paat Jharte Hain
Aur Door Tak Raston Per Bikhar Jate Hain
Bareek Boondon Ki Rim Jhim Se Halki Hawa Main Nami Hai
Fiza Surmai
Aur Mere Dil Main Ik Aashna Ki Kami Hai
Samina Raja

Mere humnawa ko khabar karo ( Novel lines by Fakhra Gul n Designed by Passion Creations )

Click on pic for full view
Agar kabi aisa ho k aik hi zameen per rehte huey
humare darmiyan koson ya meelon ki bhi doori ho
jaye to yaad rakhna k faslee sirf unhi logon k liye
waswason aur khadshat ka baais bante hain jin k dil
me Mohabbat kamzor ho warna jitni bhi aur jaisi bhi doori
ho us se Mohabbat do aatsha ho jaya karti hai..mazeed
qareeb le aati hai.

Fakhra Gul k novel "Mere humnawa ko khabar karo" se iqtebas

Baat Se Baat Banane Ki Zaroorat Kia Hai ( Poetry by Syed Athar Ali n Designed by Bisma's Arts )

Click on pic for full view
Baat Se Baat Banane Ki Zaroorat Kia Hai
Rabte Had Se Barhane Ki Zaroorat Kia Hai
Ye Agar Tay Hai Humen Aik Nahi Hona To
Is Qadar Milne Milane Ki Zaroorat Kia Hai
Syed Athar Ali

Chahta Tha Me Toot Kar Us Ko ( Designed by Guddo )

Click on pic for full view
Chahta Tha Me Toot Kar Us Ko
Wo Bhi Mujh Per Fareefta Tha Bohat
Hum They Aik Jaan Aur Do Qalib
Wisal Hota Tha Jab Naseeb Humen
Dono Ik Doosre Se Kehte They
Hijer Hum Ko Na Raas Aaye Ga
Hum Jo Bichre To Bas Yehi Ho Ga
Saans Ki Dor Toot Jaye Gi
Mout Hum Ko Gale Lagaye Gi
Aur Phir Ye Hua K Qismat Ne
Doosre Ka Bana Diya Us Ko
Gham To Mujh Ko Bohat Hua Lekin
Toot Pai Na Saans Ki Dori
Aur Phir Aik Din Ba Majboori
Main Bhi Tajdeed-e-Ishq Kar Betha
Ehd-o-Pemaan Kiye They Jo Hum Ne
Ab Kahan Un Ki Yaad Taza Hai
Jaan Se Guzra Na Ishq Main Koi
Main Bhi Zinda Hon Wo Bhi Zinda Hai

Hararat ( Designed by Passion Creations )

Click on pic for full view
Sardiyon Ki
Yakh Bastgi Main
Kahin Mere Andar
Main Ne
Pai Hai Aisi Hararat
Jo Naqabil-e-Shikast Hai

Azab dar Azab Dekhe Hain Hum Ne ( Poetry by Sada Hussain Sada n Designed by Passion Creations )

Click on pic for full view
Azab dar Azab Dekhe Hain Hum Ne
Kaie Bikharte Khawab Dekhe Hain Hum Ne
Haqarton Ki Rut Bulai Hai Kis Ne
Bilakte Kuch Gulab Dekhe Hain Hum Ne

Sada Hussain Sada

Jo Ayan Ayan Thien Adawaten Mujhe Raas Thien ( Designed by Ahmad Ali )

Click on pic for full view
Jo Ayan Ayan Thien Adawaten Mujhe Raas Thien
Ye Jo Zehar Khand Salam They Mujhe Kha Gaye