Click on pic for full view
Jis taraf dekhon faqat ek rukh-e-zeba dekhon
Wo nazar aaye na mujh ko to main phir kia dekhon
Qaid-e-tanhai main gum sum si khari hon kab se
Jis ki koi nahi manzil main wo rasta dekhon
Raha qurbat main bhi doori hi ka ehsas mujhe
Aik wehshat ka samaa hai isey kitna dekhon
Apne hathon ki lakeeron main tujhe dhoondti hon
Kaisa mujh ko meri taqdeer ne likha dekhon
Her taraf phail gai tishnagi-e-hirs-o-hawas
Shehar ka shehar hai is dour main pyasa, dekhon
Doobna mera muqaddar hai to phir dabo de mujhe
Teri aankhon main to main doobta dariya dekhon
Gham-e-doraan ne teri yaad mita di janaa
Kitna anjana lage jab tera chehra dekhon
Nusrat Naseem

0 comments:
Post a Comment