Mohabbat Zinda Rehti Hai
A Lovely Poetry of Khalil Ullah Farooqi and Beautiful Design created by Creative Sign. His Real Name is Waseem Abbas. Creative Sign is not just a great urdu artwork designer, he is also a nice poet.
Amazing Watermelon Art
Such an Amazing and So Beautiful Watermelon Artwork by an Unknown Artist.
Lakeeren Jhoot Bolti Hain
Very Nice Poetry and Beautifully Designed by Queen Victoria. Her real Name is Shabnam Iqbal. She is one of the Most Renowned Urdu Poetry Designers.
All Because Of You
I awake each day with a smile, And greet it with a laugh, The world is a treasure to me, Because of you...
Mohabbat Sath Deti Hai
Very Beautiful Poetry and Such a Lovely Design Created by Guddo. His Real Name is Munir and His Creations are Always Most Likeable. He use Beautiful Natural Objects in his Most Creations.
Mousam Us Din Kyon Roya Tha ( Poetry by Aatif Saeed n Designed by Passion Creations )
Aaj Bhi Waise Hi Badal Hain
Aaj Bhi Waisa Hi Mousam Hai
Jab Hum Pehli Baar Mile They
Yaad Hai Hum Ne Ye Socha Tha
Hum Ko Milte Dekh K Mousam
Itna Khush Hai, Itna Khush K
Us Ki Aankhen Bheeg Gai Hain
Aaj Magar Hum Jaan Gaye Hain!
Mousam Us Din Kyon Roya Tha
Aatif Saeed
Raat Abi Tanhai Ki Pehli Dehleez Pe Hai ( Poetry by Parveen Shakir n Designed by Bisma's Arts )
Raat Abi Tanhai Ki Pehli Dehleez Pe Hai
Aur Meri Janib Apne Hath Barhati Hai
Soch Rahi Hon In Ko Thamon
Zeena Zeena Sannaton K Tehkhanon Main Utron
Ya Apne Kamre Main Thehron
Chand Meri Khirki Per Dastak Deta Hai
Parveen Shakir
Haasil-e-Zindagi Justaju Hai ( Poetry by Aisha Baig Aashi n Designed by Passion Creations )
Haasil-e-Zindagi Justaju Hai
Haasil-e-Justaju Sirf Tu Hai
Roshni Urr Rahi Hai Janoon Ki
Roshni Ko Teri Aarzu Hai
Orrh Kar Chandni Teri Khushbu
Saans Ki Raat Main Chaar Soo Hai
Jald Aa Kar Badal Mousam Janaa
Dhoop Hai Habs Hai Zard Lu Hai
Chashm Basta Ho Aashi K Waa Ho
Aik Soorat Hi Bas Rubaru Hai
Aisha Baig Aashi
Jo Us K Chehre Pe Rang-e-Haya Thehar Jaye ( Poetry by Farhat Abbas Shah n Designed by Bisma's Arts )
Jo Us K Chehre Pe Rang-e-Haya Thehar Jaye
To Saans, Waqt, Samundar, Hawa Thehar Jaye
Wo Muskuraye To Hans Hans Paren Kaie Mousam
Wo Gungunaye To Baad-e-Saba Thehar Jaye
Sabk Kharaam Saba Chaal Chal Pare Jab Bhi
Hazaar Phool Sir Rah Aa Thehar Jaye
Main Us Ki Aankhon Main Jhankon To Jaise Jam Jaon
Wo Aankh Jhapke To Chahon Zra Thehar Jaye
Farhat Abbas Shah
Her Ghazal Ka Kanwal ( Poetry by Mohsin Naqvi n Designed by Sunny Shah )
Nehkton Se Bhari
Ambreen Sa'aton
Yam Ba Yam Rahaton
Muskuraton Hui Sooraton K Liye
Hanste Baste Badan Ki
Mehakte Baste Badan Ki
Subho Jaisi Kiran Kaanch
Barfab Si Mooraton K Liye
Us K Nazuk Nafs
Husn K Naam Hai
Her Ghazal Ka Kanwal
Mohsin Naqvi
Kis Ko Fursat Hai ( Poetry by John Elia n Designed by Asma Duaa )
Kis Ko Fursat Hai
Mujh Se Behs Kare
Aur Sabir Kare K
Mera Wajood
Zindagi K Liye
Zaroori Hai
John Elia
Bikhar Rahe Hain Meri Zindagi K Tamam Wark ( Poetry by Ahmed Faraz n Designed by Guddo )
Bikhar Rahe Hain Meri Zindagi K Tamam Wark
Na Jane Kab Koi Aandhi Urra K Le Jaye
Main Kab Tak Dosron K Dukh Sambhal K Rakhon Faraz
Jis Jis K Hain Wo Nishani Bata K Le Jaye
Ahmed Faraz
Subscribe to:
Posts (Atom)