Mohabbat Zinda Rehti Hai

A Lovely Poetry of Khalil Ullah Farooqi and Beautiful Design created by Creative Sign. His Real Name is Waseem Abbas. Creative Sign is not just a great urdu artwork designer, he is also a nice poet.

Amazing Watermelon Art

Such an Amazing and So Beautiful Watermelon Artwork by an Unknown Artist.

Lakeeren Jhoot Bolti Hain

Very Nice Poetry and Beautifully Designed by Queen Victoria. Her real Name is Shabnam Iqbal. She is one of the Most Renowned Urdu Poetry Designers.

All Because Of You

I awake each day with a smile, And greet it with a laugh, The world is a treasure to me, Because of you...

Mohabbat Sath Deti Hai

Very Beautiful Poetry and Such a Lovely Design Created by Guddo. His Real Name is Munir and His Creations are Always Most Likeable. He use Beautiful Natural Objects in his Most Creations.

Site Updated Daily.. Keep Visting :)

Waqt-e-Maghrab Hai Ye ( Poetry by Noshi Gillani n Designed by Pasha Shah )

Click on pic for full view
Waqt-e-Maghrab Hai Ye
Hath Uthte Nahi Hain Dua K Liye
Zabt-e-Gham Thak Gia
Hosla Batt Gia
Aik Heran Thehri Hui Ye Fiza
Na Koi Wisal Ka Khawab Aankhon Main
Na Koi Hijer Ki Sham Yadon Main Hai
Sajda-e-Ishq Bhi
Aaj Meri Jabeen Per Simatne Laga
Wo Jo Badal Yaqeen Ka Tha Chatne Laga
Sans Rukne Lagi Dil Bhatakne Laga
Ay Mere Rab Mehr-o-Wafa
Ik Nazar
Ho Koi Mojza
Waqt-e-Maghrab Hai Ye
Hath Uthte Nahi Hain Dua K Liye
Noshi Gillani

Gulon Ko Bhi Nahi Aaya Abi Tak Is Tarha Khilna ( Designed by Guddo )

Click on pic for full view
Gulon Ko Bhi Nahi Aaya Abi Tak Is Tarha Khilna
Sawerey Jis Tarha Wo Nend Se Bedaar Hoti Hai

Saans Lena Aazab Ho Ga ( Designed by Khan Jan )

Click on pic for full view
Sehar Ki Khushiyan Manane Walo! Sehar K Tevar Bata Rahe Hain
Abi To Itni Ghutan Barhe Gi K Saans Lena Aazab Ho Ga

Jab Nazar Nazar Se Milti Hai Pyar Hota Hai ( Poetry by Sada Hussain Sada n Designed by Passion Creations )

Click on pic for full view
Jab Nazar Nazar Se Milti Hai Pyar Hota Hai
Besabab Kahan Dil Ye Beqarar Hota Hai
Le K Naam Tera Khilte Hain Phool Gulshan Main
Dekh Kar Tumhain Mousam Bhi Bahar Hota Hai
Bhool Jate Hain Khud Ko Bhool Jati Hai Dunia
Wisal Ka Tumhare Aisa Khumar Hota Hai
Cheer Phaar Dete Hain Dagh Hasraton K Dil
Furqaton Ka Mousam Jab Jab Sharar Hota Hai
Lakh Tum Bacha Kar Daman Chalo Mohabbat Se
Aik Teer Nazron Ka Dil K Paar Hota Hai
Her Khushi Hui Hai Mansoob Naam Se Tere
Raat Din Tumhara Hi Intezar Hota Hai
Dhoond Parsaon Main Mat Sada Mujhe Aise
Naam Mera Deewano Main Shumar Hota Hai
Sada Hussain Sada

Hum Ne Ilaj-e-Zakham-e-Dil Ko Dhoond Liya Lekin ( Designed by Shahid Ali Kiani )

Click on pic for full view
Hum Ne Ilaj-e-Zakham-e-Dil Ko Dhoond Liya Lekin
Gehre Zakhmon Ko Bharne Main Waqt To Lagta Hai

Tum Mere Paniyon Ka Safar Karne Wali ( Designed by Guddo )

Click on pic for full view
Tum Mere Paniyon Ka Safar Karne Wali
Wo Pehli Sada Ho
Jise Main Ne Apne
Hazaron Baras Pehle
Khoye Kinaron Ki Daryaft Ka
Dukh Diya Tha

Ye Aarzu Hai K Khushbu Hassaar Ho Mera ( Poetry by Ward Bazmi n Designed by Maira Haider )

Click on pic for full view
Ye Aarzu Hai K Khushbu Hassaar Ho Mera
Jo Apni Bahon Ko Sandal Bana Sako To Kaho
Ward Bazmi

Ye Hijraton Ka Safar Ab Taley Mere Malik ( Poetry by Naheed Virk n Designed by Basit Habib )

Click on pic for full view
Hain Be Ghari K Kaie Mah-o-Saal Daaman Main
Ye Hijraton Ka Safar Ab Taley Mere Malik
Naheed Virk

Bewafai Ka Dukh Nahi Hai Mujhe ( Designed by Alone Fairy )

Bewafai Ka Dukh Nahi Hai Mujhe
Bas Kuch Log Aise They Jin Se Umeeden Bohat Thien

Tum Jo Chaho To Hum ( Poetry by Farhat Abbas Shah n Designed by Bisma's Arts )

Tum Jo Chaho To Hum
Aaj Bhi Apni Sanson
Ka Her Sur Tumhain Sonp Den
Sirf Beeti Hui
Chahaton K Iwaz
Farhat Abbas Shah