Mohabbat Zinda Rehti Hai

A Lovely Poetry of Khalil Ullah Farooqi and Beautiful Design created by Creative Sign. His Real Name is Waseem Abbas. Creative Sign is not just a great urdu artwork designer, he is also a nice poet.

Amazing Watermelon Art

Such an Amazing and So Beautiful Watermelon Artwork by an Unknown Artist.

Lakeeren Jhoot Bolti Hain

Very Nice Poetry and Beautifully Designed by Queen Victoria. Her real Name is Shabnam Iqbal. She is one of the Most Renowned Urdu Poetry Designers.

All Because Of You

I awake each day with a smile, And greet it with a laugh, The world is a treasure to me, Because of you...

Mohabbat Sath Deti Hai

Very Beautiful Poetry and Such a Lovely Design Created by Guddo. His Real Name is Munir and His Creations are Always Most Likeable. He use Beautiful Natural Objects in his Most Creations.

Site Updated Daily.. Keep Visting :)

Khawab

Bari Mushkil Se Sulaya Hai Khud Ko Me Ne
Apni Aankhon Ko Tere Khawab Ka Lalach De Kar

Ye Baat Waqt Se Pehle Kahan Samjhte Hain (Poetry by Alam Khursheed n Designed by Musa Art)

Ye Baat Waqt Se Pehle Kahan Samjhte Hain
Hum Ik Saraye Ko Apna Makaan Samjhte Hain
Yaqeen Kisi Ko Nahi Apni Be Sabati Ka
Sab Apne Aap Ko Shah-e-Zamaan Samjhte Hain
Alam Khursheed

Ek Yehi Aarzu Rahi Dil Main Muddaton Se (Designed by Faisals)

 Ek Yehi Aarzu Rahi Dil Main Muddaton Se,

Koi Mujhe Bhi Chahe Dil Ki Shiddaton Se,

Bohat Veeran Si Hai Zindagi Meri,

Koi Nawaz De Aa Kar Mujhe Mohabbaton Se.
£ØVIÑG '$' €¥€$

Friendship is a soul

Friendship is
a single soul
living in two bodies.

Nahi Shaam-e-Safar Aisa Nahi Hai

Nahi Shaam-e-Safar Aisa Nahi Hai
Musafir Lout Kar Aaya Nahi Hai
Hum Itne Dukh Me Bhi Bikhre Nahi Hain
Humara Haal Tum Jaisa Nahi Hai
 
Tumhare Naam Ka Koi Bhi Aansu
Humari Aankh Me Thehra Nahi Hai
Fahrat Abbas Shah

Yonhi anjane main tum se rafaqat ho gai

Yonhi anjane main tum se rafaqat ho gai,

Dil lagi karne chale aur tum se chahat ho gai,

Tum na ho to main khud se hi ulajhta hon,

Kia karon mujhe tumhari aadat ho gai,

Main apne wajood main tum ko talaash karta hon,

Mujhe tum se is qadar mohabbat ho gai,

Mere paas aao to jee lon do pal,

Meri to her saans teri amaanat ho gai,

Main sochta tha tumhare aage zindagi kia hai,

Per tumhain chahne k liye zindagi zaroorat ho gai.
£ØVIÑG '$' €¥€$

Mohabbat Aakhri Manzil, Mohabbat Aakhri Saya

Bohat Ghoomi Jahan Bhar Me
Mujhe Aawargi Le Kar
Kabi Sehra Samundar Me
Kabi Dunia K Melon Me
Kabi Jungle Me Bhatkaya
Ajab Wehshat Lahu Me Thi
Nazar Bhi Justaju Me Thi
Kaie Chehre They Aankhon Me
Unhi Chehron Ki Khawahish Me
Her Aik Manzil Ko Thukraya
Sakoon Phir Bhi Nahi Paya

Mohabbat Aakhri Manzil, Mohabbat Aakhri Saya

Itne Phool Khilaye Is Dil Me, Ghar Ko Sajana Bhool Gaye

Itne Phool Khilaye Is Dil Me
Ghar Ko Sajana Bhool Gaye
Mehfil Me Wo Kia Aaye
Hum Shamma Jalana Bhool Gaye

Amazing Sand House

Amazing Sand Artwork
Sand House

Zameen Par Chal Na Saka Aasman Se Bhi Gia

Zameen Par Chal Na Saka Aasman Se Bhi Gia
Katey Jo Par To Parinda Uraan Se Bhi Gia
Kisi K Hath Se Nikla Hua Wo Teer Hon Me
Hadaf Ko Cho Na Saka Aur Kamaan Se Bhi Gia
Mohsin Naqvi