Mohabbat Zinda Rehti Hai

A Lovely Poetry of Khalil Ullah Farooqi and Beautiful Design created by Creative Sign. His Real Name is Waseem Abbas. Creative Sign is not just a great urdu artwork designer, he is also a nice poet.

Amazing Watermelon Art

Such an Amazing and So Beautiful Watermelon Artwork by an Unknown Artist.

Lakeeren Jhoot Bolti Hain

Very Nice Poetry and Beautifully Designed by Queen Victoria. Her real Name is Shabnam Iqbal. She is one of the Most Renowned Urdu Poetry Designers.

All Because Of You

I awake each day with a smile, And greet it with a laugh, The world is a treasure to me, Because of you...

Mohabbat Sath Deti Hai

Very Beautiful Poetry and Such a Lovely Design Created by Guddo. His Real Name is Munir and His Creations are Always Most Likeable. He use Beautiful Natural Objects in his Most Creations.

Site Updated Daily.. Keep Visting :)

Is Se Pehle Mera Kamra Bhi Ghazal Jaisa Tha ( Designed by Black Pearl )

Tujh Se Bichra To Pasand Aa Gai Be Tarteebi
Is Se Pehle Mera Kamra Bhi Ghazal Jaisa Tha

Ab Tere Khawab Kon Dekhe Ga ( Designed by Raja Azhar )

Meri Neendein Ujarne Wale
Ab Tere Khawab Kon Dekhe Ga

Hijraton K Mousam Main ( Poetry by Fakhra Gul n Designed by Passion Creations )

Click on photo to view in full size
Tanbih
Hijraton K Mousam Main
Ghar Se Jab Nikalna Ho
Itna Yaad Rakh Lena
Ghar Se Jane Wale Sab
Manzilen Nahi Paate
Hijer Ki Tamazat Ko
Phool Jaise Ye Chehre
Hans K Seh Nahi Paate
Hijraton K Mousam Main
Ghar Se Jab Nikalna Ho
Itna Yaad Rakh Lena
Umer Bhar K Bandhan Main
Gr Duaen Shamil Hon
Umer Bhar K Rishton Ki
Tab Ye Mo'atbar Hon Ge
Maa K Pyar Ki Manind!
Warna Thar K Sehra Ki
Ajnabi Fizaon Main
Khak Aur Khawahish Ka
Ik Ghazaal-e-Ram Khorda
Ik Misaal Zinda Hai
Hijraton K Mousam Main
Ghar Se Aane Walon Ki.....
Fakhra Gul

Aap Apne Likhe Ashaar Bhool Jata Hon ( Poetry by Sada Hussain Sada n Designed by Passion Creations )

 Click on photo to see it bigger
 
Guftagu K Sare Mayar Bhool Bhool Jata Hon
Samne Wo Aaye Izhar Bhool Jata Hon
Waqt Ne Kiya Hai Kamzor Hafza Mera
Aap Apne Likhe Ashaar Bhool Jata Hon
Aik Shakhs Hi Thehra Zindagi Najane Kyon
Darmiyan Hai Kia Kia Dewaar Bhool Jata Hon
Roz Geet Likhta Hon Pyar K Mohabbat K
Kis Qadar Hai Jeena Dushwar Bhool Jata Hon
Sanp Aasteen Ka Dasta Hai Jab Kabi Mujh Ko
Dushmano K Sare Hi Waar Bhool Jata Hon
Jab Dua Deti Hai Maa Choom Choom Kar Maatha
Zindagi K Sare Aazaar Bhool Jata Hon
Her Faraib Khaya Hai Pyar Se Sada Main Ne
Matalbi Hai Dunia Her Baar Bhool Jata Hon
Sada Hussain Sada

Mohabbat Jeet Hoti Hai Magar Ye Haar Jati Hai ( Designed by Hass )

Mohabbat Jeet Hoti Hai
Magar Ye Haar Jati Hai

Mousam Us Din Kyon Roya Tha ( Poetry by Aatif Saeed n Designed by Passion Creations )


Aaj Bhi Waise Hi Badal Hain
Aaj Bhi Waisa Hi Mousam Hai
Jab Hum Pehli Baar Mile They
Yaad Hai Hum Ne Ye Socha Tha
Hum Ko Milte Dekh K Mousam
Itna Khush Hai, Itna Khush K
Us Ki Aankhen Bheeg Gai Hain
Aaj Magar Hum Jaan Gaye Hain!
Mousam Us Din Kyon Roya Tha
Aatif Saeed

Raat Abi Tanhai Ki Pehli Dehleez Pe Hai ( Poetry by Parveen Shakir n Designed by Bisma's Arts )

Raat Abi Tanhai Ki Pehli Dehleez Pe Hai
Aur Meri Janib Apne Hath Barhati Hai
Soch Rahi Hon In Ko Thamon
Zeena Zeena Sannaton K Tehkhanon Main Utron
Ya Apne Kamre Main Thehron
Chand Meri Khirki Per Dastak Deta Hai
Parveen Shakir

Haasil-e-Zindagi Justaju Hai ( Poetry by Aisha Baig Aashi n Designed by Passion Creations )

Haasil-e-Zindagi Justaju Hai
Haasil-e-Justaju Sirf Tu Hai
Roshni Urr Rahi Hai Janoon Ki
Roshni Ko Teri Aarzu Hai
Orrh Kar Chandni Teri Khushbu
Saans Ki Raat Main Chaar Soo Hai
Jald Aa Kar Badal Mousam Janaa
Dhoop Hai Habs Hai Zard Lu Hai
Chashm Basta Ho Aashi K Waa Ho
Aik Soorat Hi Bas Rubaru Hai
Aisha Baig Aashi

Jo Us K Chehre Pe Rang-e-Haya Thehar Jaye ( Poetry by Farhat Abbas Shah n Designed by Bisma's Arts )

Jo Us K Chehre Pe Rang-e-Haya Thehar Jaye
To Saans, Waqt, Samundar, Hawa Thehar Jaye
Wo Muskuraye To Hans Hans Paren Kaie Mousam
Wo Gungunaye To Baad-e-Saba Thehar Jaye
Sabk Kharaam Saba Chaal Chal Pare Jab Bhi
Hazaar Phool Sir Rah Aa Thehar Jaye
Main Us Ki Aankhon Main Jhankon To Jaise Jam Jaon
Wo Aankh Jhapke To Chahon Zra Thehar Jaye
Farhat Abbas Shah