Mohabbat Zinda Rehti Hai

A Lovely Poetry of Khalil Ullah Farooqi and Beautiful Design created by Creative Sign. His Real Name is Waseem Abbas. Creative Sign is not just a great urdu artwork designer, he is also a nice poet.

Amazing Watermelon Art

Such an Amazing and So Beautiful Watermelon Artwork by an Unknown Artist.

Lakeeren Jhoot Bolti Hain

Very Nice Poetry and Beautifully Designed by Queen Victoria. Her real Name is Shabnam Iqbal. She is one of the Most Renowned Urdu Poetry Designers.

All Because Of You

I awake each day with a smile, And greet it with a laugh, The world is a treasure to me, Because of you...

Mohabbat Sath Deti Hai

Very Beautiful Poetry and Such a Lovely Design Created by Guddo. His Real Name is Munir and His Creations are Always Most Likeable. He use Beautiful Natural Objects in his Most Creations.

Site Updated Daily.. Keep Visting :)

Ay Meri Maa Tu Mujhe "Soora Wannaas" Sikha ( Poetry by Fakhra Gul n Designed by Passion Creations )

Click on pic for full view
Kaise Khud Ko Main Bachaon Kisi Nazar-e-Badd Se
Tu Mujhe Koi Dua Koi Manajaat Sikha
Chaaron Janib Hai Mere Sharr-o-Hasad Bikhra Hua
Ay Meri Maa Tu Mujhe "Soora Wannaas" Sikha

Fakhra Gul

Dard Jab Had Se Barha To Dhal Gia Ashaar Main ( Poetry by Sobia Naz n Designed by Ahmad Ali )

Click on pic for full view
Be Wafai, Be Rukhi, Be Gaangi, Ranj-o-Alam
Dard Jab Had Se Barha To Dhal Gia Ashaar Main
Sobia Naz

Lout Aao.. ( Designed by Nida's Art )

Click on pic for full view
Lout Aao...
K Main Ne Suna Hai
Khud Se Baten Karne Wale
Aksar Pagal Ho Jate Hain

Na Ab Tum Lout Kar Aana ( Poetry by Nusrat Naseem n Designed by Passion Creations )

Click on pic for full view
Bujhe hain sab charagh-e-dil na ab tum lout kar aana
Bohat sunsaan hai mehfil na ab tum lout kar aana

Na aaye tum to yaqeen uth gia sidq-e-mohabbat se
Hai chahat jazba-e-batil na ab tum lout kar aana

Bohat dushwar tha dil ka sambhal jana kabi lekin
Ye ab sehna nahi mushkil na ab tum lout kar aana

Teri rahon ko takte chal diye hum dasht-e-ulfat se
K rukhsat ho chali manzil na ab tum lout kar aana

Tum aate bhi to kia hota faqat ranj-o-alam barhte
Nahi qismat main jo shamil na ab tum lout kar aana

Bohat hum toot k bikhre faqat kuch lafz kehne main
Ye kehna kitna tha mushkil na ab tum lout kar aana

Nusrat Naseem

Tark-e-Talluqat Pe Roya Na Tu Na Main ( Designed by Anamika )

Click on pic for full view
Tark-e-Talluqat Pe Roya Na Tu Na Main
Lekin Ye Kia K Chain Se Soya Na Tu Na Main

Hum Ne Tumhain Itna Chaha K Inteha Kar Di ( Designed by Nida's Art )

Click on pic for full view
Be Panah Be Qadar Be Had Be Bas Ho Kar
Hum Ne Tumhain Itna Chaha K Inteha Kar Di

Ye Dukh Nahi K Andheron Se Sulah Ki Hum Ne ( Designed by Anamika )

Click on pic for full view
Ye Dukh Nahi K Andheron Se Sulah Ki Hum Ne
Malal Ye Hai K Ab Subha Ki Talab Bhi Nahi

Chup Na Rehte Byan Ho Jate ( Poetry by Noshi Gillani n Designed by Passion Creations )

Click on pic for full view
Chup Na Rehte Byan Ho Jate
Tujh Se Gr Badguman Ho Jate
Zabt-e-Gham Ne Bachaa Liya Warna
Hum Koi Dastaan Ho Jate 
Tu Ne Dekha Nahi Palat K Humen
Warna Hum Meharban Ho Jate
Tere Qissay Main Hum Bhala Khud Se
Kis Liye Badguman Ho Jate
Tere Dil Ki Zameen Hi Na Mili
Warna Hum Aasman Ho Jate
Noshi Gillani

December Ka Maheena ( Designed by Asif's Creation )

Click on pic for full view
Jane Ko Naye Baras Main Zeena To Na Hota
Ay Kash December Ka Maheena To Na Hota
Aaye Ga Naya Saal Bhi Le Kar Guzishta Haal
Her Saal Ka Bas Aik Qareena To Na Hota
Gham K Pila K Jaam Guzarte Hain Saare Saal
Ay Kash Kisi Saal Ye Peena To Na Hota
Dil Is Qadar Hai Tang K Deta Hai Sadaen
Ay Kash Mere Gird Ye Seena To Na Hota
Badle Ga Naya Saal, Na Badlen Gey Hum Ali
Ay Kash K Is Tor Ye Jeena To Na Hota

Your truth is that you are a creation of God


Your truth is that you are a creation of God. Your truth can’t change; it’s permanent. When you can see your permanent truth clearly you’ll be able to deal with any temporary condition effectively.