Site Updated Daily.. Keep Visting :)

Bheegi January Phir Lout Aai Hai ( Designed by Guddo )

Wohi Galiyan Wohi Kooche Wohi Sardi Ka Mousam Hai
Isi Andaz Se Apna Nizam-e-Zeest Barham Hai
Ye Husn-e-Itefaq Aisa K Nikhri Chandni Bhi Hai
Wohi Her Simt Veerani, Udasi Tishnagi Si Hai
Wohi Hai Bheer Sochon Ki Wohi Tanhaiyan Phir Se
Musafir Ajnabi Aur Dasht Ki Pehnaiyan Phir Se
Mujhe Sab Yaad Hai Kuch Saal Pehle Ka Qissa Hai
Wohi Lamha To Veerane Ka Aan Abaad Hissa Hai
Meri Aankhon Main Wo Ik Lamha Mojood Ab Bhi Hai
Wo Zinda Raat Ki Tanhai Main Sargoshiyan Ki Thien
Kisi Ki Narm Guftari Ne Dil Ko Loriyan Di Thien
Kisi Ne Meri Tanhai Ka Sara Karb Banta Tha
Kisi Ne Raat Ki Chunri Main Roshan Chand Taanka Tha
Chamakte Jugnuon Ka Sell Ik Bakhsha Tha Raton Ko
Dharkta Sa Naya Unwan Diya Tha Mere Khawabon Ko
Mere Shairon Main Ilhaam Ki Soorat Wo Utra Tha
Maani Ban K Jo Lafzon Main Pehli Baar Dharka Tha
Wo Jis K Hone Se Zindagi Naghma Sarai Hai
Usey Kehna! Bheegi January Phir Lout Aai Hai

0 comments:

Post a Comment